07:00 AM
Y/n mast soyi thi par usska phone bajne lagta hai woh uthti hai aur phone uthati hai
Otp
Y/n- Kya behen itni subha subha call kyun kiya? (Yawn).
Darishta- Arre yaar bhul gayi aaj meri pehli rasoi hai.
Y/n- Haan toh?
Darishta- Woh tu jo woh badam ki kheer banati hai na usski recipe bata na zara.
Y/n- Bas iss liye tune meri pyari neend kharab ki?
Darishta- Main zyada pyari hoon!
Y/n- Haan woh bhi hai accha chal note kar main batati hoon.
Darishta- Ok.
Y/n- So...........
Phir y/n ussko badam ki kheer ki recipe bata deti hai aur phir phone rakhke fresh hone chali jaati hai
Ab thoda zyada time skip~
3 months later 😅Y/n ki delivery ka bhi time bohot paas aa gaya tha aur armaan toh usska zyada se bhi zyada khayal rakh raha tha balke sirf armaan hi nahi poori family hi y/n ka bohot khayal rakh rahi thi darishta toh sasural jaake bhi time to time y/n se poochti thi ke ussne khana khaya dawai li
Armaan- Bas last bite hai yeh say aaa......
Y/n- Nahi nahi khana mujhe aur.
Armaan- Y/n...bas thoda sa toh hai.
Y/n- Nahi aur nahi khana mujhe armaan please dil nahi chah raha hai.
Armaan- (sigh) Accha thik hai par dinner mein tumhe ab thoda zyada khana hoga kyun ki tumne abhi nahi khaya.
Y/n- (whining) Khaya toh hai......aur kitna khaun........
Armaan- (chukle) Accha baba thik hai.
Armaan plate leke jaane wala hota hai ki
Y/n- Suniye.
Armaan- Haan boliye.
Y/n- Woh....dad ko aur bhai ko dekhne ka bada mann kar raha tha aap le jaayenge mujhe?
Armaan- Haan of course chalo.....
Y/n- Abhi hi 😃?
Armaan- Haan.
Aur yeh sunke y/n bohot khush ho jaati hai aur armaan ko excitedly hug karti hai phir thodi der mein hi woh dono ghar se nikal jaate hain
Next scene
Woh log aa gaye the y/n ke ghar aur y/n ghar aate hi iqbal ke paas jaake baith jaati hai
Iqbal- Aur thik hai mera baccha?
Y/n- Haan dad.
Iqbal- Accha? Toh tera muh kyun itna utra hua hai?
Y/n- N-nahi- Woh kuch dino se na maa ki bohot yaad aa rahi hai.
Iqbal- Arre woh toh hain hi woh hamesha tere sath hai tu ager aise rahegi toh teri maa ko bura lagega na....hmm toh ab mood accha kar kal hi tera favorite halwa bana tha ruk.
Woh darishta ko halwa laane ko bolte hain aur thodi hi der mein darishta halwa leke aati hai
Darishta- Nahi......aaj main khilaungi tujhe 😀.
Y/n- Main kha lungi yaar.
Darishta- Bhabhi ki baat nahi taalte..........😁😂😂 Chal ab aa kar.
Aur phir woh y/n ko halwa khilane lagti hai
YOU ARE READING
Fanaa
FanfictionEk ladki thi bohot pyari si. Y/n naam tha usska. Bacchon se bohot pyar karti thi. Lekin usska bacchon se pyar karna ek din baandh dega usse ek aise shaadi ke bandhan mein jahan usska shauhar usse pyar hi nahi karta. Armaan ek ladka jissne kabhi ek l...