Y/n aur armaan ke beech ab sab normal ho gaya tha (sab matlab sab nahi 🌚) afsana aur salim bhi aa gaye the inn dino armaan ko office ke kaam ka bohot pressure tha itna ke raat ko usse sone ka time nahi milta tha aur iss se ghar mein sab hi usski health ko leke tensed the
Armaan har baar ki tarha aaj bhi ghar late aata hai sab khake so chuke the par y/n abhi bhi armaan ke liye hi baithi hui thi
Y/n- Aap change karke haath muh dhoke aa jaaiye main khana nikalti hoon.
Armaan- Hmm.
Aur woh apne room mein chala jaata hai thodi der baad woh aata hai aur dinning table pe baithta hai
Armaan- Tumne khaya?
Y/n- Aap khaiye main baad mein kha lungi.
Armaan- Chalo baitho.
Y/n- Arre kha lungi-
Armaan- Baitho!
Armaan y/n ka haath pakadke usse apne paas wale chair mein baithata hai aur phir y/n ko apne liye bhi khana nikalna padta hai
Armaan- Sab so gaye?
Y/n- Hmm.
Armaan- Aur noor?
Y/n- Woh darishta ke room mein hai usske paas.
Armaan- Hmm.
Next scene
Y/n bathroom se nikalti hai aur dekhti hai armaan bas karvate hi badal raha hai aur so nahi paa raha hai y/n bed pe apni jagah pe jaake baithti hai
Y/n- Uthiye.
Armaan- Hmm?
Y/n- Uthiye.
Armaan- Kyun kya hua?
Y/n- Arre uthiye na.
Phir armaan jo ki leta hua tha woh uthke baithta hai phir y/n apne paeron ke upar takiya rakhti hai
Y/n- Ab letiye idhar main sar daba deti hoon aapka.
Armaan- Arre koi zaroorat nahi hai tum so jao-
Y/n- Armaan.....
Phir armaan ko y/n ki baat maan ni padti hai aur woh usske paer pe let jaata hai aur phir y/n usska sar sehlane lagti hai
Y/n- Aur bataiye din kaisa gaya aaj aapka?
Armaan- Har baar ki tarha tired, tumhara?
Y/n- Mera kya hai sab thik hi gaya.
Armaan- Hmm...
Y/n- Waise ek baat kahun?
Armaan- Hmm.
Y/n- Kal na roshni bhabhi aur haris ki marriage anniversary hai toh....kya hum chal sakte hain bas thodi der ke liye?
Ab armaan uthke baith jaata hai
Armaan- Y/n dekho tum chaho toh jaa sakti ho par yakeen karo mujhe bohot kaam hai kal.
Y/n- Lekin thodi der ke liye-
Armaan- Y/n......
Y/n aage kuch nahi kehti hai aur let jaati hai
Armaan- (sigh) Accha thik hai hum chalenge kal.
Aur phir y/n fatak se uthke baithti hai
Y/n- Sacchi?!!
Armaan- (chukle) Haan sacchi.
Y/n- Thank you.
Aur yeh kehke y/n armaan ko excitedly hug karleti hai par jab usse realize hota hai ke yeh ussne kya kardiya toh woh hug todti hai
Y/n- I-i am sorry w-woh main kuch-
Armaan- K-koi baat nahi.
Aur phir woh dono hi ek doosre ko back face karke so jaate hain
Y/n in mind- Yaar y/n yeh kya kardiya tha tune.....main unke kitna kareeb- nahi nahi yeh kya kya soch rahi hoon main.
Armaan in mind- Mujhe itna ajeeb kyun laga usske itna paas aane se- main bhi na yeh kya sab soch raha hoon.
Time skip
Next dayArmaan ko office se jaldi aana padta hai kyun ki y/n ko apne maike jo jaana tha aur y/n ka maike jaana sunke darishta bhi unke sath chalti hai
Y/n aati hai apne maike aur jaake hi apne papa bhai log aur roshni ko hug karti hai
Y/n- Kaise ho aap sab?
Y/d- Ek dum thik beta.
Phir y/n haris aur roshni ke paas jaati hai
Y/n- Shaadi ki saalgira bohot bohot mubarak ho bhai bhabhi.
Haris, roshni- Thank you.
Roshni- Chalo sab chalke khana kha lo pehle tab baatein karte hain.
Aur phir sab khana khane chale jaate hain
Next scene
Sab khana khake baithe hue the aur idhar udhar ke baatein kar rahe the
Iqbal- Toh armaan beta kaisa chal raha hai tumhara kaam?
Armaan- Ji papa aap sab ki dua se thik hi chal raha hai.
Iqbal- Hmm acchi baat hai accha thik hai tum sab baat karo main jaata hoon apne room mein thoda aaram karne.
Aur phir Iqbal wahan se chala jaata hai
Y/n- Haan toh bhabhi khushkhabri kab de raho aap aur bhai.
Roshni- K-kya 😳?
Y/n- Haan😏....
Roshni- C-chup kar.
Aur yeh kehke roshni sharma ke wahan se chali jaati hai
Ahad- Accha tu jo bhabhi se puch rahi hai woh samajh mein aata hai par tu kab khushkhabri sunane wali hai.
Y/n- 😳😳 Chup kar tu b-besharam.
Darishta- Sahi toh bol raha hai woh😏.
Ahad- See.
Y/n in mind- Waah bete tum dono ne toh party hi badal di😑😑 tum dono ko toh baad mein dekhungi....
To be continue
Sorry for late update guys aur haan please comment mein batana ke chapter kaisa hua hai
Bye ☺️💜😊
YOU ARE READING
Fanaa
FanfictionEk ladki thi bohot pyari si. Y/n naam tha usska. Bacchon se bohot pyar karti thi. Lekin usska bacchon se pyar karna ek din baandh dega usse ek aise shaadi ke bandhan mein jahan usska shauhar usse pyar hi nahi karta. Armaan ek ladka jissne kabhi ek l...