His Emotions

335 53 15
                                    

Continuation from previous part.....

💮 Anuseena's Room 💮

Anubhav was gazing at Aishwarya's photo frame.

Anubhav: kabhi kabhi hum sochte hai tum humari zindagi mein aayi hi kyun agar aise jana hi tha toh. Kitne akele ho gaye hai hum tumhare bina. Tumse pyar karte hai aur gussa Haseena ji pe aa jata hai. Unki toh koi galti bhi nahi hai na. Hum kya karen humein samjh hi nahi aata (tears brimmed in his eyes)

Haseena saw him and she also had tears in her eyes. She took baby steps to him and kept her hand on his shoulder. He wiped his tears

Haseena: aasoon chupane se dard kam nahi hota Anubhav. Humne pyar karke kisi ko khoya nahi hai par hum aapka dard samjhte hai

Anubhav: woh kyun chali gayi Haseena ji. Usne kaha tha ki woh humse dur nahi jayegi , kabhi nahin toh woh kyun chali gayi

Haseena: uska jana kismat mein likha tha Anubhav. Humari Maa kehti hai ki hum upar wale se apne din likhwa kar aate aur uske baad ek minute kya ek second bhi jyada nahi rehte.

Anubhav: Lekin hum hi kyun? Humne kuch nahi bigada na kisi ka toh phir hum hi kyun ???

Haseena: Anubhav sambhaliye khud ko. Iss tarah se tut jayenge toh kaise chalega.

He composed himself and said sorry to her

Haseena: sorry mat boliye. Humsafar ka toh pata nahi lekin humdard toh ban hi sakte hum aapke liye

He looked at her and felt an urge to hug her tightly but he controlled.

Haseena: aap bura na maane toh kuch puch sakte hai aapse

Anubhav: hmm.

Haseena: ye sab hua kaise , I mean Aishwarya ki death

Anubhav smiled sadly remembering that day

Anubhav: humari aur Aishwarya ki haldi thi aur woh bahut excited thi. Woh uss wakt ek fashion show ke USA jaane wali thi kyunki woh ek fashion influencer thi. Haldi shuru hone se phele usse call aaya ki jiske saath uska collaboration tha uss company ke Malik ko usse milna hai isiliye usse urgently jana pada. Hum khud leke gaye the usse. Kaam khatam karne ke baad hum laut rahe the tab usse pyaas lagi aur humari gaadi mein Pani nahi tha toh humne usse kaha ki woh wahi ruke aur hum jaakar Pani laate hai. Hum Pani lene gaye aur lekar aaye aur usse diya phir hum gaadi reverse lekar aa rahe the lekin humari gaadi ke breaks fail ho gaye the aur gaadi khayi mein gir gayi

Haseena was shocked hearing him, tears rolled down her cheeks

Anubhav: Bahut samay baad jab humein hosh aaya toh humne idhar udhar dekha woh nahi tha wahan. Aadhe ghante ke baad humein pata chala ki usse hospital lekar gaye hain toh hum bhage bhage hospital gaye tab pata chala ki....uski...already.....death...ho... gayi.... thi (tears again fell from his eyes)

Haseena rubbed her hand on his shoulder to comfort him

Anubhav: pata nahi aisa kyun hua. Kaash bhagwan uski jagah humein le jaate (tears not ready to stop)

Haseena: shh aisa nahi kehte. Jo hua woh bhagwan ki marzi thi lekin apne munh se aisi baatein mat nikaliye.

Anubhav: aapko pata hai Aishwarya ki family ko yahi lagta hai ki ye sab humari galti. Humein usse rokna chahiye tha lekin hum khud haldi chodke usse wahan leke gaye

Haseena: ye kya baat huyi, aap ko toh uske career ki fikr thi isiliye aapne aisa kiya na

Anubhav: ye aap aur humara parivar samjhta hai lekin uski family nahi samjhi aur woh log shehar chodke chale gaye.

Haseena: hum samjhte hai Anubhav ki aapne kitna kuch saha hai lekin we have to be out of our past right warna zindagi tham jayegi. Hum aapse ye nahi keh rahe ki aap usse bhul jaiye lekin uski yaadon mein khudko dukh dena bhi toh galat hai na.

He looked at her hugged her tightly, she was shocked but then understood that he needs comfort, she lightly caresses his hair

Haseena's POV

Humein aisa kyun lag raha ki uss din Anubhav ki gaadi ka brake kisi ne jaanbujhkar fail kiya tha unhe fasane ke liye ya phir Aishwarya ko maarne ke liye. Kanha ji jo hua woh toh badal nahi sakte hum lekin Anubhav ko khush rakhiye bas.

To be continued.....

🄿🅁🄴🄲🄰🄿

Visiting his Villa

Do shower your love ❤️
Vote and comment if you like it!!
Sorry for grammatical mistakes!

Light of His Life Where stories live. Discover now