Devi Sati

35 2 0
                                    

sampurna Kailash khushi se jhooma hua tha , har shaka har phool prassan tha . kailash mein, mahadev ke nivaas par dhol nagaade baj rahe the. Mahadev  apne gano ke saath khade the, wahan bhagwaan vishnu,  Brahmdev bhi the.    tabhi wahan  Maata sati aayi, uske saath Maata lakshmi aur maata Saraswati bhi aayi. 

woh ek dulhan ki tarah saji hui thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

woh ek dulhan ki tarah saji hui thi. unke haath mein var maala thi. woh gayi aur woh var maala Mahadev ko pehna diya. 

"dev, mujhe yakeen nhi ho rha ki aaj hum vivah kr rahe hai",Maata Sati bhawuk hoke boli. 

"apne netro pe wishwaas krlo Sati yeh sab satya hai",Mahdev ne muskuraate huye kaha. 

phir Maata Saraswati ne Mahadev ko var maala pakdaayi. Mahadev ne Maata sati ko var maala pehnaayi. uske baad mahadev ne mata sati ki maang bhari aur  mangal sutra pehnaya. 

sabh ne un dono ka gun gaan kiya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

sabh ne un dono ka gun gaan kiya. Raatri ka samay tha aur shivshakti saath baithe the , Maata Sati ne mahadev ka haath pakda. Jab mahadev ne Maata sati ki or dekha toh dekha ki Maata Sati ki aankhon mein aansu the.

"Yeh kya sati, tumhare pushpa jaise nayan mein ashru kyu?"Mahadev ne pucha .

"Jab kisi vyakti ko uski priya vastu ya priya jan mil jaata hai toh aankhein bhar hi aati hai, aur mujhe toh mere swaami ke rup mein aap mil gye hain mahadev, mera jeevan safal ho gya", Maata sati ne kaha.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
DEVIWhere stories live. Discover now