Ch 8- MATA KUSHMANDA

4 2 0
                                    

          Mahadev aur Parvati kailash pahuche. Wahan Devi Saraswati aur lakshmi pehle se hi upasthit thi.wahan Narayan aur Brahma bhi the.

"Ab jab trimurti purna ho hi rahi hai toh puri tarah hi honi chahiye na",Devi saraswati ne kaha. Mata lakshmi ne haatho mein sindur ki thali le rakhi thi aur devi saraswati ne kalash rakha naye var vadhu ke saamne. Aur phir dono ki aarti utari.

"Devi Parvati aap iss kalash ko laat maar ke andar pravesh kariye",Devi saraswati ne kaha aur devi Parvati ne waisa hi kiya.

"Ab aap iss sinduri rang ko apne hatheli mein lekar kailash ke kisi shila ya ped par laga dijiye devi",Devi lakshmi ne kaha.

Mata parvati ne waisa hi kiya .

"Ab hume prasthan karna chahiye , hum shigra hi wapas aenge parvati",Devi lakshmi ne kaha. Iske baad Narayan aur brahmadev apni ardhangini ke saath apne apne lok chale gaye. Parvati ne apne kadam aage bhadaaye toh dekha ki mahadev ruk gye hai.

"Kya hua mahadev?"parvati ne pucha.

"Tum kon ho Parvati?"Mahadev ne pucha.

"Yeh kaisa prashna hai mahadev?"

"Kaho parvati kon ho tum?"

"Main shailputri parvati hoon , devo ke dev mahadev ki ardhangini hoon",Parvati ne garv se kaha.

"Bas?"

"Aur? ..... Aur kya mahadev?"

"Tumhe pata hai sansar ka nirman kaise hua tha?"

"Haan swami, 'om' ke naam se is sansar ka nirmaan hua hai, jab kuch nahi tha toh keval ek naad tha om ki naad jisne sampurn sansaar ki rachna ki".

"Aur uss naad ka nirman kisne kiya tha yeh gyaat hai?"

"Nahi mahadev".

"Uss om ki naad ki utpatti tumse hui thi parvati".

"Kya? Kintu mera toh janm hi kuch varsh purv hua hai, aur main toh manushya hoon!!".

"Tum hi ne abhi kaha na ki main devon ka dev Mahadev hoon, toh mahadev ki ardhangini keval manushya toh nahi ho sakti".

"Paheliyan mat uljhaeye dev, spasth roop se sab samjhaiye".

Mahadev Parvati ko ek parvat ke tatt par le gaye.

"Hum kaha hai swami?"Parvati ne pucha .

"Yeh woh sthan hai jahan tum mujhse apne purva janm mein mili thi",Mahadev ne kaha.

"Purva janam?"

"Haan parvati , mujhe gyaat hai tumhe abhi kuch samajh nahi aa rha parantu dheere dheere sab samajh aa jaega".

Mahadev ne ek drishya aasmaan mein utpann kiya.

"Yeh tab ki baat hai jab sansaar mein kuch nahi tha",mahadev ne kaha.

Achanak uss drishya se om ki aawaz aayi , parvati ne dekha uss om ke naad se ek damru bana.

"Yeh om ki naad toh ek stree ki awaz mein nikli hai",parvati ne chauk kr kaha.

Uss drishya mein ek devi ne avtar liya, hari saree, swarna abhushan, baagh pe sawar 8 bhujhaayen aur unmien kalash, kamandala, mala, teer, dhanush, kamal, chakra aur gada.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
DEVIWhere stories live. Discover now