Ch 2- DAS MAHAVIDYA

13 2 0
                                    

Ek taraf daksh ne apni yagya ki tayaari shuru kr di thi aur dusri taraf asruro ke raja Tarkasur ka Putra vidyunmali mahadev ki tapasya kr rha tha. Usse tap krte kai saal ho gaye the. Mahadev vidyunmaali se prassan the toh uske saamne prakat huye.

"Apne netra kholo Vidyunmaali",Mahadev ne kaha.

"Pranam Bholenath",Vidyunmaali ne mahadev ko naman kiya.

"Maango kya chahte ho mujhse?"

"Mahadev meri ichchha hai ki aap mere ang rakhshak ban jaaye".

"Tathatstu",mahadev ne asshirvaad diya aur Vidyunmaali ke saath chale gaye. Iska bhaan Maata Sati ko hua aur woh vidyunmaali ke ghar gayi. Unke piche nandi bhi gaye.

"Devi aap yahan?"vidyunmaali ne Maata Sati se kaha.

"Jaha mere shiv waheen main",Maata Sati ne Kaha.

"Parantu Devi aap yahan nhi reh skti".

"Kintu kyu, main mahadev ki ardhangini hoon".

"Parantu yahan aap nhi reh sakti aap ek naari hai aapke liye yeh sthaan uchit nhi aur naahi main aap dono ko ghar de skta hoon".

"Ek stree ko kamzaoor samjhne ki bhul mat kro vidyunmaali".

"Kshama kre devi parantu main aapko patal mein ghar nhi de skta".

Yeh sunte hi Maata Sati krodith ho gyi, unhone ke mahadev ka trishul uthaya and vidyunmaali ko dekha. Achanak Maata Sati ne ek vikraal rup dhara, aseem tej tha, das bujhaaye aur unmein kayi shastra, maa ki ankhein laal, woh krodh mein thi.

Tabhi wahan Shukracharya aaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Tabhi wahan Shukracharya aaye.

"Gurudev, yeh kon hai?"Vidyunmaali ne Shukracharya se pucha.

"Vidyunmaali, yeh devi adishakti hai", Shukracharya ne adishakti ko naman kiya, "yeh sapurn shrishti ko prakat krne waali hai, sansar ki saari shaktiyan in se hi hai, aur tumne sampurna jagat ki Maata ko hi krodhit kr diya, putra kshama maango devi se warna devi sab tahas nahas kr degi".

"Maata kshama kre mujhe",vidyunmaali ne apne haath jod liye.

"Bol Vidyunmaali, mujhe aur mahadev ko rehne ke liye ghar dega ki nahi",devi Aadishakti ne krodh mein kaha.

"Trahimaam trahimaam maata agar aapko yahan sthaan diya toh saare asur pravarti kaha jaegi?"shukracharya ne pucha.

"Unhe kaheen jaane ki awashyakta nhi , unn sabka ahaar krungi main",Adishakti ne garjana lagaai.

"Nahi maata aisa na kre",Shukracharya gidgidaaye, "aapke dwara rachi asur pravarti bhi iss sansaar ka ek bhaag hai".

"Ya toh mujhe yahan rehne ko ghar de ya toh mahadev ko mukt kre , Bol vidyunmaali konsa vikalp chunega tu"adishakti boli.

DEVIWhere stories live. Discover now