Ch 4- DEVI BHADRAKALI

10 2 0
                                    

“Ghor anarth”,vishnu dev ne kaha, “ab iss paap ka dand milne ke liye sajj ho jao daksh”.

“Kintu Narayan aap hai na aap meri raksha karenge aapne vachan diya hai”,daksh ne kaha.

“Jab awashyakta hogi main aa jaunga kitnu ab mujhe jaana hoga”,yeh keh kr Naarayan wahan se chale gaye.
Mahadev shamshaan mein krodh mein tandav kr rhe the.

Mahadev ne apni jataon se ek tukda toda, aur usmein se mahadev ka ek rup prakat hua

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Mahadev ne apni jataon se ek tukda toda, aur usmein se mahadev ka ek rup prakat hua . neel warna ka, gale mein mund maal, shere jaisi dahar and agni sa krodh.

“Jao veerbhadra, jaakar vinaas krdo uss ahankaari daksh ka”,Mahadev ne kaha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

“Jao veerbhadra, jaakar vinaas krdo uss ahankaari daksh ka”,Mahadev ne kaha.
Veerbhadra ne zor ke dahada aur daksh ke mahal jaane laga. Daksh ko iska aabhaas ho gya. Usne apni sena bheji, veer bhadra ne uss sena ko tahas nahas kr diya .

“NARAYAN!!! NARAYAN , prabhu meri raksha krne aaye”,daksh ne bhagwaan vishnu se guhaar lagayi. Thakur ji wahan prakat huye.

“Main apne kartavya ko nibhaunga parantu smaran rahe utna hi hoga mujhse jitna bal padega”,Narayan bole.

Uske baad Narayan ran bhumi mein pahuch gaye.Veerbhadra Daksh ki sena ka naash kiye jaa rha tha tabhi uski shastra narayan ke gaale tak jaake ruk gaya.

“Ruk jao veer bhadra”narayan ne kaha, kintu aaj woh kahan sunne waala tha. Woh phirse sena ki or muda aur unhe marne laga.

“Isse rokiye Narayan”,daksh ne Nivedan kiya.

Narayan ne apna paash pheka aur veerbhadra ko band liya.
Yeh dekh Mahadev aur krodhit hue.unhone phir se apni jata ki tukdi todi, woh tukdi sati ne kapde ke tukde pe jaa gira . usmein se ek devi prakat hui,

 usmein se ek devi prakat hui,

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
DEVIWhere stories live. Discover now