Ch 12- MAHAMAYA MAATA

3 2 0
                                    

Shiv aur shakti apne lok mein baithe thhe aur Brahmalok mein Devi Saraswati apni veena baja rahi thi jisse sun sara brahmand matramukt ho gya tha.

"Devi Saraswati ki veena sapurn sansar mein shaanti aur gyan bhar deti hai",Parvati ne kaha, "sunte hi mano aisa lagta hai jaise moksh hi prapt ho gya ho"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Devi Saraswati ki veena sapurn sansar mein shaanti aur gyan bhar deti hai",Parvati ne kaha, "sunte hi mano aisa lagta hai jaise moksh hi prapt ho gya ho".

"Parvati Devi saraswati hi thi jinhone sansar mein swar ki utpatti ki thi", Mahadev ne kaha.

"Haan swami, purva janam mein devi Saraswati meri matamahi thi, pita shree daksh ne mujhe unki srijan ki kahani sunai thi".

Achanak devi Saraswati ki veena bajni band ho gayi.

"Prabhu lagta hai kuch hua hai",Parvati ne kaha, "hume jakar dekhna chahiye".

"Uski koi avashyakta nhi maate",Indra dev sabhi dev gano ke saath Kailash padhare. Unse saath Brahmadev, Devi sarawati, bhagwaan Narayan aur Devi Lakshmi bhi aayi.

"Parabhu , yeh Tarkasur kam the jo ab asur prajaati ke baaki Asur bhi jaag rahe hai", Indradev ne kaha.

"Jaag rahe hai arthat?"Parvati ne pucha.

"Shumbh nishumbh bhi ap hum devtaon ko maarne ke liye daitya mata diti ne unhe bhej diya",Suryadev ne kaha.

"Toh jesht haina, aur mahadev bhi hai unka sanghar krne ke liye",Parvati ne kaha.

"Unhe vardaan hai ki unhe keval ek stree maar sakti hai",Indradev ne kaha.

"Jab jab sansar par koi apda aayi hai, aur tridev kuch nahi kar paaye hai tab tab shakti ne rup dhara hai aur sabka uddhar kiya hai",Mahadev ne kaha.

"Jaise madhu kaitabh ka mardan Mahamaya ne kiya tha",Devi lakshmi ne kaha.

Parvati ko madhu kaithabh ki kahani smaran nahi thi.

"Chinta mat kijiye devraj, Parvati kali hai, uske roop ko dekh kr hi saare daanav bhag jaenge",Mahadev ne kaha.

Parvati ko Mahadev ka yeh parihaas acha nahi laga, woh wahan se naraz hoke chali gayi.

"Mahadev, humne jaisa socha hai waisa hoga?"Narayan ne mahadev se mann mein kaha.

"Apni Behen par vishwaas rakhiye aaradhya",Mahadev ne Narayan se mann mein kaha.

"Aap sab nishchint hoke apne apne lok jayiye, aapke saare dhukho ko anth sheegra hoga",Mahadev ne kaha.

"Devi", Narayan ne Devi lakshmi se kaha, "Parvati ko aap dono ki zaroorat hai".

Devi lakshmi aur devi Saraswati parvati ko gufa mein milne gaye.

"devi",Devi lakshmi ne Parvati se kaha.

"Kya mera varn inta kala hai?" Parvati ne pucha.

"Kya aapko madhu kaitabh ki kahani sach mein smaran nahi?"Devi saraswati ne pucha.

Parvati ne naa mein sar hilaya.

"Srishti ka jab nirman karne ke liye adi shakti ne Narayan ko utpan kiya tha tab unke nabhi se ek kamal prakat hua tha", Devi lakshmi ne kaha.

"Uss kamal se Brahmadev ka janm hua, Narayan yog nidra mein chale gaye aur brahma dev apni asthitva ko jaan ne ke liye tap karne lage", Devi saraswati ne kaha.

"Narayan jab yognindra mein the tab unke karn mein dard ho rha tha, aur woh laal ho gaya tha. Tab unke karn se mail gira jo samudra mein gir gaya. Usse do rakshason ka janm hua",Devi lakshmi ne kaha.

"Unn dono ne devi Lakshmi ki tapasya kar vardaan paya ki unka anth keval unki iccha se hoga ",Devi Saraswati ne kaha, ", unn dono ka naam tha Madhu kaitabh".

"Madhu kaithabh apne aap ko ati shakti shaali samajhne lage the aur dhyaan karte Brahma se Vedo ko chheen liya , jis karan srishti ka nirman hone se pehle hi ruk gaya".

"Brahmadev ne Narayan ko jagane ki khub koshish ki parantu woh nahi uthe. Phir Brahmadev ne unka avahaan kiya jinhone yeh sab leela rachi hai".

"Tab ek devi prakat hui",Parvati ko sab yaad aa rha tha, "woh devi Mahamaya thi".

"Tab ek devi prakat hui",Parvati ko sab yaad aa rha tha, "woh devi Mahamaya thi"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Aapko sab yaad aa rha hai devi", Devi  sarasrwati khush thi, "uske baad brahmadev ne Mahamaya se nivedan kiya ki woh Narayan ko jagaaye"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Aapko sab yaad aa rha hai devi", Devi sarasrwati khush thi, "uske baad brahmadev ne Mahamaya se nivedan kiya ki woh Narayan ko jagaaye".

"Phir Narayan uthe aur unn dono se yudh kiya",Devi lakshmi boli, "parantu unko harana katthin tha".

"Phir Mahamaya ne Narayan se kaha ki woh unn dono ki prashansa kijiye aur unhe vardaan maange ke liye kahiye Mahamaya ke Narayan se mann mein kaha",Devi parvati ne kaha.

"Narayan ne Mahamaya ki baat mani aur madhu kaitabh ki prashansa karne lage, aur unn dono ko vardan mangne ko kaha",Devi lakshmi boli.

"Mahamaya ki maya ke karan Apne shakti ki ahankaar mein inte chur the dono ki Narayan se hi keh diya ki woh unn dono se Vardaan maang le",Devi saraswati boli.

"Mahamaya ke kehne par Narayan ne unko maarne ka vardaan maang liya",Parvati boli, "par unn dono ne kaha ki unko sirf aise sthan pe mara jaa sakta hai jaha jal na ho".

"Aur uss samay keval jal tha",Devi lakshmi ne kaha, "tab Narayan ne hayagriv avtar lekar unsse yudh kiya".

"Mahamaya ne Narayan ko shakti di aur kaha ki unn dono ko apni jhaangh pe rakh kar maar de",Parvati ne kaha.

"Aur narayan ne unn dono ko apni jhaangh par rakh unka vadh kiya",Narayan gufa mein aakar bole.

"Aur vedon ko brahmadev ko saunp diya",Brahmadev bhi wahan aa gaye.

"Aur phir madhu kaitabh ke shareer ke 6-6 tukde ho gaye jisse dharti ka nirman hua , ek thal ki utpatti hui",Parvati ko yeh sab yaad aa gaya, "isliye jesht ke do naam aur hai, Madhusudan and kaitabjit".

"Yeh sab Adi shakti ki leela thi",Mahadev bhi wahan aa gaye, "Adi shakti keval ek Devi nahi hai, sapurn jagat ka adi aur anth hai".

Parvati ko kuch samajh nhi aa rha tha ki yeh katha usse kyu sunayi gayi.

"Samadhan tum hi ho",Mahadev ne kaha.

Parvati ne socha aur woh samajh gayi.

"Mujhe pata hai ki ab mujhe kya karna hai",Parvati ne kaha. 

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 19 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

DEVIWhere stories live. Discover now