Ch 6- DEVI BRAHMACHARINI

6 2 0
                                    

Devi parvati kailash mein brahman kar rahi thi, dhundhte dhunte woh maan sarovar ke paas pahuchi.

“Kaha dhundu Mahadev ko 🥺”,devi paravti boli.

Phir usse ek raasta dikha, woh uss raste chalti gayi aur ek gufa mein pahuchi. Jab woh andar gayi toh uski aankhein bhar aayi. Usne mahadev ko dekha, samadhi mein leen the Mahadev parantu Paravti ko dekh ke aisa lag raha tha usse aur kuch ab dekhna hi nahi hai, usse jaise moksh mil gaya ho.

Usne Mahadev ko jagane ki koshish ki, kintu mahadev nahi uthe

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Usne Mahadev ko jagane ki koshish ki, kintu mahadev nahi uthe.

“Main jaanti hoon, mera aap ke prati prem aur bhakti aap ko zaroor jagayega”,parvati ko yeh vishwas tha ki ek din aisa zaroor hoga.

Ab woh har din mahadev ko phool arpit karti, uske trihsul ko apne sthaan pe hi saaf kr deti, gufa ko saaf kar deti, aur mahadev ke saamne baith kar unka dhyaan lagati.

Aise karte karte kai warsh beet gaye parantu mahadev nhi uthe aur naa hi parvati ne apna sabra toda. Kintu devta bade hi chintit the, kyuki tarkasur naamak ek asur ko vardaan tha ki uska anth keval shiv shakti ke putra ke haatho hi ho sakta hai.usne teeno loko mein hahakaar macha rakha tha.

“Prabhu kuch kijiye”,sabhi devta Narayan ke paas pahuche.

“Mahadev ko jagana kaafi kathin hai”,Narayan bole.

“Agar hum kamdev ko bhej de Mahadev ko jagane?”indradev ne kaha. 

“Agar iska parinaam humare hit mein nahi hua toh?”Narayan ne kaha. 

“Prabhu main yeh prayas karne ke liye sajj hoon”,wahan kamdev aaye.

“Prabhu main yeh prayas karne ke liye sajj hoon”,wahan kamdev aaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Devtaon ke inta agreh karne par narayan unhe mana nahi kar paye.  Parvati har din ki tarah apne dhyaan mein baithi hui thi, aur mahadev samadhi pe. Kamdev uss gufa mein pahuche aur apne teer ko mahadev ki ore sadha. 

Pehla teer unhone mahadev ke hriday pe chora parantu mahadev hile tak nahi. Kamdev ke phir se ek teer chora jo mahadev ki teesri aankh ke saamne aakar ruk gya. Mahadev ne pani dono ankhein khrodh mein kholi aur teesri ankh bhi kholi, parvati ne mahadev ko dekh liya, aur mahadev ki teesri ankh se kamdev par agni aur jwala ki varsha hui jis karan kamdev bhasm ho gaye. 

DEVIWhere stories live. Discover now