CHAPTER 48

258 14 5
                                    

(Kunti cried and told him whatever had happened to Nitya and all this was done by Rajendra when they were in the forest before Pandavas marriage, this was also shocking to karn and also angered him, he was also determined to put away Nitya from the hands of Rajendra)

***************************

(As Kunti had informed Karn what had happened to Nitya, he was angry and feeling bad for his little sister as she has been bearing through this all and had not informed him once too, they went into the common hall where everyone was sitting, laughing and enjoying themselves)

Drithrashtra : aapka punha bohot swagat hai Hastinapur mei Maharaj Jai

Jai (Rajendra's father) : dhanyawaad Maharaj Drithrashtra

Duryodhan : meri behen ka aapke putra se vivaah hone wala hai, ye toh humare liye saubhagya ka vishay hai

Vijaya (Rajendra's mother) : aapki putri humari bahu bankr aane wali hai, ye humara liye bhi saubhagya ka vishay hai Yuvraj Duryodhan

Jai : ji humara putra hai hi aisa, samajdaar, sarva gunn sampann, prem karne wala aapke putri ko, mei aapko ashwashan deta hu, ki koi kasht nhi hone wala humara rajya mei, wo anand mei rahegi

Gandhari : yehi aasha thi ki aap humari putri ko aache tarah se rakhenge, aur kya chahiye hume?

(Gandhari said being emotional)

Vijaya : aap bilkul chinta na karo, parantu humari hone wali putra vadhu kaha hai? milna hai mujhe usse

Shakuni : wo kya hai Maharani ji kshama kijiye parantu humari Nitya ki swasth thik nhi hai, ved ji ne usse akele rehne keliye kaha hai, iskaran varsh uski vivaah ki suchna bhi uss tak hum pohocha nhi sakte, aap keval usse vivaah ke mandap pe hi dekh sakte hai

(Shakuni lied to them, as he knew Nitya will definitely make a scene, he didn't want this to happen, meanwhile everyone accepted his saying too)

Vijaya : uchit hai agar uska swasth thik nhi hai toh mei usse milne nhi jaungi, prarthana karungi ki wo jaldi swasth ho jaye

Shakuni : ji Maharani ji, ved ji ke kaha hai ki woh vivaah ke din tak thik hojayegi

Jai : ye toh aachi baat hai

Gandhari : bohot sari taiyaari baki hai, chaliye Maharani Vijaya hum Nitya keliye kuch vastra aur abhushan dekh lete hai

Vijaya : uski awashakta nhi hai, mei humari rajya ka vivaah ka joda lekar aayi hu, usko maine bhi apne vivaah ke samay pehna tha, aur ye hi mei chahti hu ki Nitya bhi pehne

Gandhari : jaisi aapki iccha

(Everyone left for their rooms after some more discussion and now it was time for Karn to do it's work, on the indication of Vidhur they both met at the same place when they yesterday met, discussed everything like what to write? how to deliver it to Pandavas? and then dispersed on their respective ways)

(Karn was going to write the letter at night so that no one will know about it and was going to deliver at night only in the trusted hands of Vidhur's men, in the meantime when Karn was thinking about his plan Duryodhan entered his room)

Duryodhan : mitra? (Karn didn't respond to him) mitra??...........miiiittttrrrrraaaa??

Karn : ha....ha....kya hua mitra? itne zor se kyu chilla rahe ho?

(Duryodhan's voice gained his attention)

Duryodhan : kabse tumhe bula raha hu, kaha dhyaan hai tumhara?

NITYA - THE ETERNAL ONE Where stories live. Discover now