CHAPTER 73

221 13 12
                                    

Bheem : wo jyest, mujhe koi toh mila tha, mere saath kya hua wo sunkar aap sabhi chakit ho jayenge

Draupadi : aur kya hua aapke sath arya?

*****************

Bheem : are Panchali tumhe vishwas nhi hoga mei kisse milke aaya hu, mei itna khush hu na, heyy prabhu aapki leela aprampar ha......

Yudhisthir : batao na Bheem, hum sab ki utsukta badti jaa rahi hai

Nitya (in mind) : mei baad mei kshama mang dungi, pehle inko jo kehna hai wo kehne deti hu

Bheem : ha ha jyest wo hua yu ki mei lakdiya dhund raha tha aur tabhi........

FLASHBACK

Bheem : ye lakdiya kyu nhi mil rahi hai mujhe? he prabhu abhi toh bhuk bhi lag gayi, pehle kuch khaa leta hu, uske paschath lakdiya dhund lunga, haa ye uchit hai

(He started searching for something to eat, and after sometime he saw an apple tree at a distance, this watered Bheem's mouth, he started going to that direction)

(But after a few steps, he immediately stopped seeing a monkey sleeping before him)

Bheem : are ye bandar beech mei aise kaise soo gaya? (To Monkey) kripaya apni pooch hataiye (Monkey didn't paid any heed to him) maine kaha apni pooch hataiye, mujhe prasthan karna hai!!

(The monkey woke up, yawned, sat and looked at him)

Monkey : are vishram karne do vanvasi, mujhe nidra aa rahi hai

(Monkey again went into its previous position)

(This triggered Bheem)

Bheem : pooch uthate ho, ya uthakar phek du?

Monkey : agar itna sahas hai, toh uthakar phek do meri pooch, mei bhi toh dekhu kitni shakti hai tum mei

(Saying the monkey again slept)

Bheem : bada vichitra bandar hai!! (To Monkey) tum mujhe jante nhi ho, ruko abhi mei jaunga toh ye pooch uthakar hi

(Bheem bend down a little, got hold of the tail, and tried taking it off from his way, but to his surprise, the tail didn't even moved an inch)

(Bheem now tried with his both hands but again the tail didn't moved away, he tried and tried but all in vain, after sometime, the monkey spoke)

Monkey : are itne shaktishali lagte ho, ek pooch nhi hata sakte?

(Monkey taunted Bheem)

Bheem : mei purn prayant kar raha hu, parantu ye pooch toh hatt hi nhi rahi hai....hahhhh

(Bheem said while trying hard to move away the tail, later being tired he sat on the floor)

(After sometime, Bheem understood that the monkey is not an ordinary one)

Bheem : tum kisi maya ka prayog toh nhi kar rahe ho na?

(Bheem enquired looking at the monkey suspiciously)

Monkey : ye kaisi baat kr rahe ho tum? meri maya tum jaise baalshali par kaise karya kar sakti hai? upar se itne baalshali pratit hote ho, parantu andar se shaktiheen hi ho

(The monkey laughed out)

Bheem : tumhe gyat nhi shayad mei kon hu, aur tum kiske samaksh kya baat kar rahe ho, huhh

(Anger was visible on Bheem's face)

Monkey : mujhe toh tumhare inn karmo se gyat nhi ho raha hai ki tum kon ho, swayam hi bata do, mujhe bhi gyat ho jayega

NITYA - THE ETERNAL ONE Where stories live. Discover now