chapter 1

2.8K 60 17
                                    

(Disclaimer: This is the wonderful story by Umera Ahmed it's not written by me I am just translating it to Roman Urdu)

"Umer a rha hai prso"

Lunch pr nano ne achanak usse kaha.  wo khana khana bhul gyi .

"Prso a rha hai aapko kisne bataya ?"
Usne bechaini se nano se pucha .

"Tum us waqt so rhi thi, wo bhi  tumse baat Krna cha rha tha , magar jb meine ye bataya ki tum so rhi ho , usne jagane se mna kr diya ."

Nano ne tafseel batai, Aleezay ke cherey pr muskurahat ubri.

"Chuttiya guzarne a rha hai ?"
Usne poocha.

" Haan yahi smjh lo foreign services chorr rha hai, keh rha tha , Chand kfte tk police services join kr lega."

Aleezay ko hairat ka  jhatka laga.

" Umer ko police service mujhe yakeen nhi a rha nano, itni acchi post chorr kr aakhir wo karega kya yahan?

Uncle ne usse kuch nhi kha ?"

Use abhi bhi yakeen nhi a rha tha .
"Jehangir se uska koi jhagda ho gya hai. Usne mujhe tafseel nhi batai lekin   the are not on talking terms now a days ".

" Isme konsi nyi baat hai ye toh pichle kayi saal se ho rha hai ".
Aleezay ko waqai koi hairani nhi hui thi .

" Haan magar abhi phir koi jhagda hua hai dono mein . Ab ayega toh pta chalega kya hua ."

Nano bhi zayada fikarmand nhi lg rhi thi .

" Yahi rahega kya ?"

Usne nano se pucha.

"Haan keh toh rha tha ki posting milney tk yahi rahega. Mujhse puch rha tha ki tumhare ya apne liye kisi cheez ki zaroorat ho toh usse bta dein
Wo le ayega. Apne liye toh meine kuch nhi kha lekin tumhare liye kuch perfumes laane ko kha tha. meri baat pr wo hasne lga ."

Aleezay ke zehen mein beikhtiar ek yaad lehrayi .

" Keh rha tha ye toh koi magane wali cheez nhi Hai , janta hu Aleezay ke saamne jaoonga toh perfume ke bagair kaise jaunga . Phir meine usse kha ki kuch acchi kitabe le aana tumhare liye khas tor pe painting ke baare mein koi nyi kitab ."

Nano use batati gyi thi .

"Aapne aese hi  takleef di nano"

" Arey nhi wo khud israr kr rha tha, khair tum uske liye kmra set krwa dena or annexe bhi zra saaf krwa dena uska Sara saman bhi a rha hai abhi toh filhal thi rahega jab posting hogi toh le jayega ."

Nano ne usse hidayat dete hue kha phir wo lunch krne ke baad uth kr chli gyi thi wo bhut der to wahi baith kr kuch sochne lagi thi zehen mein bhut kuch taza hota ja rha tha .

"To Umer Jehangir akhir kar tum wapas a hi rahe ho !"

Usne muskurate hue socha phir kuch zehen mein aane pr wo uth kr ek kmre ki taraf a gyi jahan wo hamesha
therta tha darwaza kholte hue usse bhut khushgawar ehsas hua tha. wo aksar is kmre mein aakr kuch waqt guzara krti thi aur hamesha yahan aakr usse aesa lgta ki wo yahi kahi maujood tha.
Uski rocking chair usse skait halat mein bhi usse tarah jhoolti nazar aati thi jis tarah wo usse jhulaya krta tha har cheez pr jaise uska lams tha ek taraf uski jaise awaz goonjti thi wahi dheema, gehra aur thera hua lehja  wahi purskoon dil ke kahi andar tk  theher  jaane wali awaz aur phir wahi khilkhilata hua beikhtiar qehqehay , is kmre .ein aakr jaise sb kuch zinda ho jata tha, aur aks hakikat bnkar uske ird gird ghumne lgta tha.
Kmre mein wahi makhsoos khushboo basi hui thi . Umer ke istimaal mein aane wali choti choti cheeze usi tarah apne jagah pr thi jaise unhe kl hi rakha gya ho. Usne yaad krne ki koshish ki ki pehli baar wo kb aaya tha , usse apne zehen pr zor nhi dena pada usse acchi tarah yaad tha ki wo kis saal, kis tareek, kis din aur
kis waqt pr aaya tha.
Baaz baatein aap bhulna nhi chahte, or wo kb gya tha wo bhi usse yaad tha baaz baatein aap kbhi yaad rakhna nhi chahte.

Aleezay ke liye tb se ab tk wo yakeen tha isi kmre mein Kam az Kam uske ke liye , use apne  peeche darwaza khulne ki awaj aayi thi, wo beikhtiar plti.

" Accha kya tum abhi ye kmra dekhne a gyi meine socha mein bhi ek Nazar daal hi lu."

Nano andar a gyi thi chand lmhe tanqeede  narzo se wo kmre ka jaisa leti rahi phir jaise mutmaeen bhi ho gyi .

" Mera khayal hai ki sb kuch thik hai lekin phir bhi tum Zara har cheez ko acchi tarah check kr lena mein nhi chahti ki usse tha koi takleef ho ."

wo mur kr kmre se nikl gyi thi , wo dressing table ki taraf badh gyi thi aur wha pra hua ek perfume usne hath mein le liye ahista ahista usne perfume ka dhakkan utar kr usme se khusbu mehsoos krne ki koshish ki beikhtiar muskurahat uske hoton pr aayi  ek baar phir ek image uske zehen mein lehrayi thi usne dressing table ke aainey ko dekh ekdum wha koi aur nazar aane lga tha. Wahi usi jagah chand saal pehle wo beikhtiar peeche hat gyi thi , usse apne gardan aur baalo pr phuwar padhti mehsoos Hui thi .

Thanks for reading 😊

Plzz follow me for more translated stories .

AmarbailWhere stories live. Discover now