Chapter 5

575 21 3
                                    

Us din dopeher ko uthne ke baad usne hasb-e- mamool se Kristy ko dhoondhna shuru kiya tha wo seediyon ke neeche nhi tho is waqt wo bahir lawn mein bhi nhi ho skti thi uski makhsoos jagahon par usse paane mein nakaam rehne ke baad usne awaaz dena shuru kar diya tha magr wo nhi a rhi thi.

"Nano Kristy kha hai ?''

Woh nano ke kamre mein chli aayi thi woh abhi aaram kar rhi thi.

"Umar ke kamre mein dekho wha hogi."

Unhone use bataya.

"Umar ke kamre mein...... Lekin Kristy toh kabhi kisi ke pass nhi jaati.....

Usse unki baat pr jese sadma hua tha.

" Ha! Lekin Umar ke sath bhut attach ho gyi hai tumhare baad sara din wo uske saath hoti thi abhi bhi wahi hogi.

Nano ne aakhe band krte hua kha tha .

Woh chup chap unke kamre se nikal aai thi usse abhi bhi unki baat par yakeen nhi aarha tha ki Kristy uske ilawa kisi aur ke pass bhi ja skti hai. Umar ke kamre ke darwaze par usne kuch hichkichate hue dastak di thi .

" Yes ! Come in ."

Andar se fauran hi uski awaaz ubhri thi aur wo darwaza khol kar andar chlai gyi.

"Kristy yha too...."

Usne baat adhuri chorr di , woh saamne hi rocking cahir par jhool rha tha uske hath mein ek kitaab thi aur dusre hath se wo Kristy ko sehla rha tha wo uski goad mein bethi hui thi .

Aleezay ko dekhkar bhi Kristy ne apni jagah se hilne ki koshish nhi ki thi wo bade itminan se apni jagah par bethi rahi thi Aleezay sadme aur mayusi se usse dekhti rahi .

"Hn ! Kristy mere pass hai , jao Kristy" .

Usne Kristy ki goad se utar diya aur Kristy bhagte hue Aleezay ki taraf lagi Aleezay ko in dono par betahasha gussa aaya tha .

" Just go to hell ."

Usne buland aawaz mein kaha tha aur zindagi mein pehli baar puri quwaat se darwaza band karte hue bhaag aai thi woh apne kamare mein chali gyi thi aur shaam tak kaamre se bahir nhi nikli thi shaam tak uska gussa tashveesh  mein badal chuka tha. Usko fikar thi ki khai Umar Nano ko uski is harkat ke baare mein bta diya toh woh kya sochengi. Usse apni us harkat par afsos ho rha tha usse khus samajh nhi aa rha tha ki usse gussa kis baat par aaya tha . Kristy ke kisi aur ke pass jaane par , ya Umar ke pass jaane par ? Ya usse dekh kar bhi uske pass na aane par , ya phir Umar ke kehne par uske pass aane par ?

Jab woh lounge mein aayi toh Kristy wahan bethi hui thi . Aleezay ko dekhte hi usne uske pass aane ki koshish ki thi magar Aleezay ne durushti se usse apne se dur hata diya tha .

Umar raat ke khaane ke liya mamool le mutabik apne kamre se aaya tha .  Wo jis baat se khufzada ho rhi thi wesa kuch bhi nhi hua tha wo usse dekhkar hamesha ki tarah muskuraya phir khaane ke doraan wese hi sbse  baate krta rha jese wo kiya karta tha wo sar jhuka kr khamoshi se kahna khati rhi. Khana khane ke baad wo uth kra apne kaamre mein chla gya tha Aleezay ne sukoon ki saans li .

Agle chad din bhi issi tarah guzar gye Umar ne us baat ke baare mein Nano, Nana ya usse kuch nhi kha tha, lekin Aleezay ne ek baat notice ki thi us din ke baad se usne Kristy ko bulane ki koshish nhi ki thi aur agar Kristy uske nazar aane par uski taraf aane ki koshish krti toh wo usse nazarandaaz kar deta tha iska matlab tha ki wo uske us din ke gusse ki wajah jaan gya tha .

" Mureed baba ! Aaj rata ke kaane par mere liye thodi si sabzi bna lein ."

Uss din bade dino ke baat Aleezay ne raat ke khane ke liye farmaish ki thi.
Raat ko khane ke waqt usne badi khushi se donge ka dhakkan uthaya tha sath hi uske chere ke tassurat badal gye the .

" Nano sabzi mein chicken kyu dala hai Mureed baba ne unhe pta he ki mein hamesha chicken ke bina ki sbzi khaati hu !"

Usne kuch herani ke aalam se Nano se kah tha .

Meine kha tha unhe chicken daalne ko mein Umar ko raat ke khaane ke baare mein bta rhi thi toh usne kha ki sabzi ban rhi hai toh usme chicken bhi daal dein thoda mein bhi kha lunga , Aleezay ne donge ka dhakkan haath mein pakde pakde table ki dusri  taraf bethe Umar ko dekha wo pani plate mein chawal nikal rha tha table par padi saari cheeze toh ya Umar ki marzi se bani thi ya Nano aur Nana ki usne Australia se aane ke baad pehli farmaish ki thi aur ...... Ekdam hi uski bhook gayab ho gyi thi .

Kuch afsurdagi se usne donge ka dhakkan wapas rakh diya aur jab usne chamach bhi rakh diya toh Nano uski taraf  mutawajja ho gyi .

" Kyu kya hua sbzi nhi li ?"

Wo kursi keech kar khadi ho gyi , Umar ne pehli baar usse chunk kar dekha .

" Mujhe bhook nhi hai ."

" Ye kya hikmat hai abhi tum khaane ke liye bethi thi aur abhi bhook hi khatam ho gyi , Beth jao !"

Nana ne usse kha tha .

" Mein dhoodh pee lungi ."

Wo chal padi thi .

"Doodh se kya hoga Aleezay idhar aao thoda sa hi sahi lekin kahna khao ."

Nano ne usse wapas bulane ki koshish ki thi wo bina mure hi wahan se chali gyi thi , Umar herani se usse dekhta rha tha .

" Isse kya hua kya naraaz hokar gyi hai ?"

Usne dinning se niklte hue apne peeche umar ki awaz suni thi .

" Nhi Aleezay kabhi naraz nhi hoti , usse kabhi gussa nhi aata shayad aese hi bhook nhi hogi usse abhi puchungi jaakar ."

Nano ne uske jaane ke baad umar se kha tha .

Wo kuch der sbzi ke donge ko dekhta rha phir khana lga magar uske zehen ulajh chuka tha .

Nano khaane se farigh hokar seedha uske kamre mein aayi thi aur usse lamba chora lecture diya .

Mujhe herani ho rhi hai Aleezay! Ki tum meri baat sunne bina hi wahan se uth kar aagyi , kya soch rha hoga Umar ki tum kitni badtameez ladki ho .

Wo waqai khafa thi .

"I am sorry ."

Wo halke se minminayi .

Ab iska kya fayda berhaal ab khayal rakhna ki aainda dinning table par aane ke baad aese uth kar nhi jaate wo bhi tab jab sab khana kha rhe ho, tumhara dil khane ka nhi cha rha tha toh tum salad le leti ya sweet dish le leti magar tumhe wahan se uth kar nhi aana chahiye tha .

Nano usse manners ki wo patti padha rhi thi jo usse wo hamesha se padhati aayi thi wo khamoshi se unki baate sunti rahi , uski ranjidgi mein isafa  hota ja rha tha .

" Zarur Umar ne inse mere baare mein kuch kha hoga ."

Wo unki baato par usse aur badgumaan hoti ja rhi thi .

" Meine Mureed se keh diya hai wo tumhe doodh mein ovaltine mila kar de jayega , ab mujhe koi aitraaz nhi sunna hai ."

Nano ne  uthte hue usse itala di thi sath hi uske mutawaqqy radd-e-aamal par khabardar kar diya tha.woh kuch kehte kehte chup ho gyi, Nano kamre se bahir chali gyi thi . Wo khamoshi se bed par let gyi , Umar jehangir aaj usse sabse zayada bura lag rha tha wo wahid choti choti cheeze jo uski marzi se hoti thi usme bhi uska amal dakhil ho gya tha Mureed baba ne kuch der baad dhoodh la diya tha usne khamoshi se dhoodh ka glass lekar pi liya tha phir wo sone ke liye let gyi halaki sone ki koshish mein usse bhut der ho gyi thi .

Agle kuch din mein usme ye tabdeeli a gyi thi ki usne umar se baat Krna band kar diya tha wo uski baat ke jawab mein pehle wali hun han bhi nhi karti thi jab tak wo bakaida uska naam lekar baat na krta .


Thanks for reading .😊

And I am so sorry 😞 cuz it took to long me to upload this part because of my studies I hope y'all will understand.































































AmarbailWhere stories live. Discover now