Chapter 8

963 16 17
                                    

Wo perfume apne kamre mein rakhkar lounge mein a gyi wo pehle se hi lounge mein nano ke pass moujud tha Nano usse dekhkar muskurane lagi thi .

"Umer ne konsa gift diya hai tumhe ."

Unhone Aleezay ko dekhte hi pucha tha .

Wo madham si muskurahat ke sath unke sath sofe par beth gyi .

"Inhone aapko bataya nhi ?"

Usne Umer ki taraf dekte hue kha tha Jo dilchaspi se usse dekh rha tha .

" Nhi ! Wo keh rha tha ki ye ek secret hai , Lekin Aleezay aapko btaskti hai ."

Nano ne bataya tha , Aleezay ne phir ek baar usse dekha tha .

" Perfume diya hai ."

"Konsa perfume ?"

Nano ko tajassus hua tha .

"Channel 5."

" Tumhara favourite perfume,kyu Umer tumhe kese pta ki ki Aleezay ko perfumes sabse zayada pasand hai ."

Nano ne Umer se pucha tha .

Umer ne ek baar phir se usse dekha tha wo nazre chura gyi thi .

" Hume har cheez ka pta hota hai ."

Usne jumle mein jawab diya tha .

"Agli baar mein Aleezay ko joy dunga aur uske baad Eternity ."

Chand lamhe baad usne apna plan bataya tha .

Aleezay ne usse gor se dekha wo Nano ko dekh rha tha uski taraf mutawajja nhi tha .

Usne andaaz lagane ki koshish ki thi .

" Kya yeh..... "

Aur wo aage soch skti thi .

Nano ne usse mukhatib kiya tha .

"Dekh lo Aleezay, Umer ne kitni lambi planning kar rakhi hai tumhe bhi isse kuch dena cahiye ."

Wo Nano ki taraf mutawajja ho gyi .

"Mujhe kya dena chahiye ."

Usme uljhe hue andaaz mein Nano se pucha tha .

" Bhei ya toa tumhe sochna chahiye ."

Unhone apna daaman chura liya tha .

"Gift hamesha bade laate hai choto ke liye aur Aleezay mujhse choti hai ."

Umer ne badi maharat se baat palto thi .

" Hn! Agr mujhe koi gift Dena hi cahe toh grandpa ya aap de dein kyuki aap dono mujhse bade hai ."

" Kya gift chahiye ."

Nano ko ekdam dilchaspi mehsoos hui thi .

" Koi bhi acchi cheez, Armani ka suit , Denim ki jeans , Christian Dior ki gadi ya phir Play boy or lomani ke perfumes ."

Usne ek lambi list zahir ki thi .

"Isse behtar ye nhi ki mein tumhe check kaat kr de du ."

"Hn ye zayada better idea hai app bhut innovative hai ."

Umer ne shararti andaaz mein kha tha , Aleezay khamoshi se unki ye nok jhok sunti rhi thi .

Nano bhut sanjeeda mijaz thi wo zayda nhi bolti thi lekin jab se Umer aaya tha kuch badal gya tha wo ab aksar kehkahe lagane lagi thi , Umer bhut baatooni tha aur uska ye mijaz bhut accha tha wo har waqt kuch na kuch baat aesi kar deta jo unhe kehkaha lagane par majboor kar deta tha .

Nano aam dino mein bas zarurat ke waqt bolti thi lekin jin dino inke baccho mein se koi inke pass rehne aata toh wo bhut khus phira krti thi magar Umer ki aamad ne toh jese is khusi ko dugna kar diya tha , kisi aur ke aane par Nana or Nano mein itni tabdeeli nhi aati thi jitni Umer ke aane se a gyi thi .

Wo is waqt bhi Nano ka mood hi dekh rhi thi wo is waqt bhi Umer ki baaton par betahasha has rhi thi.wo unhe apne kisi dost ka kissa suna rha tha aur Aleezay ka dhyan khai aur hi tha .

"Kya meri kisi baat par Nano is tarah has skti hai ."

Usne sochne ki koshish ki thi , aur mayusi se gair mehsoos andaaz se sir ko jhatak diya tha .

"Nhi meri kisi baat par ye is tarah nhi has skti balki yeh mujhe bhi yahi kehti hai ki mein bhi buland aawaz mein na hasu ."

Usne socha .

"Kya mein kabhi Umer ki tarah......"

Ek baar phir usne sochne ki koshish ki thi magar is baar uski khayalat ka silsila tut gya tha .

Umer usse kuch kehne lga tha isiliye wo puri baat soch nhi saki thi .



Thanks for reading ☺️






























































































You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 27 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

AmarbailWhere stories live. Discover now