Chapter 4

671 18 12
                                    

Subha wo der se uthi thi jab wo naashte ke liye aayi to sadhe das baj rhe the khansama ne usse bataya ki Nano bahar gyi hui hai Nana toh is waqt wese hi club mein hua krte the wo naashta kr rhi thi tabhi umer bhi wha a gya rha hello hi ke baad wo badi betakallufi se usi ke saamne chair keechkar usi ke saamne beth  gya aur khud hi naashta krne lga sath sath wo usse baatein kr rha tha uski masroofiyat ke baare mein puch rha tha, Australia ne uski sargarmiyo ke baare mein puch rha tha Aleezay ne note Kiya tha wo pehle ki nisbat bhut khush mizaaj ho gya tha phele ki tarah reserve sa nhi tha kafi der tak English me dono ki jaari rahi , phir khansama uske liye juice lekar a gya tha pehli baar Umer ne badi saaf Urdu mein usse kha tha.

"Mujhe ek payale mein dahi laday , par dek le  khatta na ho , aur kal mere liye porridge bana de aur anda fry mat kare ubaal dein."

Usne khansama ko hidayat di thi aur khud juice peene lga tha.

Wo kuch hairaan hokar usse dekhne lagi thi , wo uski hairaani bhap gya tha, aur table glass pr rakhte hue usne kha.

"What happened?"

" Aap toh Urdu bol skte hai."

Usne qadray satpata kar kha tha.

"Ha toh bol skta hu, isme hairaani wali kya baat hai."

Usne pehli baar uske jumle ka jawab Urdu mein diya tha.

"Mein sich rhi thi ki shayad aap.......!"

"Ye kyu socha tumne bahar rehne ka mtlb ye toh nhi ki bnde ko apni zubaan bhi na aati hogi."

"Pehele jab bhi aap aaya krte the toh kbhi bhi aapko Urdu bolte nhi dekha isliye socha."

Usne wazahat krne ki koshish ki thi , Umer ne muskurate hue uski baat kaat di.

"Pehle tumse bhi itni lambi chori baatein krne ka moka nhi milta tha wese bhi chota tha pehle mein."

Usne umer ka chehra dekha tha wo khasa mehsoos nazar a rha tha.

"Pichli baar jab meine tumhe dekha tha tab tum bhut choti thi ,mere khayal se 11-12 saal ki thi aur ab toh....!"

"But I must admit you are prettier now!"

Aleezay ka gala sukh gya hoga, usne sar jhuka liya Umer Jehangir usse kuch ajeeb lga tha usse ye be baki zayda Pasand nhi aayi thi.

Mein dobara kabhi akele uske pass nhi bethungi, usne toast khate hue socha tha. Wo naashta khatam krte hi wapas apne kamre mein chla gya tha, wo Kristy ho lekar wahi lounge mein bethi rahi.

Umer naashta der se Kiya krta tha aur phir lunch nhi krta tha aur shaam ki chai bhi apne kamre hi piya krta tha albataa raat ka khana sb ke sath hi kaya krti tha. Us din ke baad wo usse pehle hi naashta kr liya krti thi usse ahista ahista ehsaas hone lga tha ki Umer Jehangir ke ghar mein aane ke baad bhut kuch badal chuka tha uske bhut Kam ghar walo ke pass moujood rehne ke baad ghar mein bhut kuch uski pasand se ho rha tha. Nana aur Nano ki zayadatar guftgu usi ke baare mein hoti thi pehle ki tarah wo Aleezay ke baare mein zyada baatein nhi Kiya krte the.

Khane ki table par zaydatar dishes uski pasand ki bnti thi aur Aleezay se khaane ki ray ab le jaati thi Nano har waqt uski sehat aur aaram ke baare mein fikrmand rehti thi  aur wo jaise ghar mein sanwi haisiyat ikhtiyar kr gyi thi ye sab kuch uske liye nya nhi tha.

Har saal jab uske maamu aur khalaye chuttiyon mein aate the toh wo issi tarah pas -e - pusht chali jaati thi tab Nana aur Nano ki tawaja aane Wale mehmaano pr hi mehsoos rha krti thi magar usse ye itna bura nhi lgta tha kyuki wo log sirf chand hafte hi therte the lekin Umer Jehangir ko toh bare aese wha rehna tha aur usse aesa lg rha tha ki usne bade aaram.se uski jagah hathyali hai.

Thank for reading ☺️





































AmarbailWhere stories live. Discover now