Chapter 6

626 22 9
                                    

Uss din wo lounge mein floor ke carpet ke sahare bethi koi magzine dekh rhi thi tabhi uske zehen mein ek khayal aaya tha.usne ehtiyat se Nano ka mood dekhne ki koshish ki phir uske baad wo seedhi hokar beth gyi thi .

" Nano ek baat puchu ?"

" Hn ! pucho ."

Wo akhbar mein gharq thi .

" Ye Umer wapas kab jayega ?"

Usne kafi ehtiyat se lafzon ka intekhaab krte hue kha tha.

" Bhut jaldi my dear cousin, bhut jaldi ."

Sawaal ka jawab kahi aur se mila tha.wo apni jagah par sakit bethe hue apne sawaal ka koi bahana sochne lagi .

Ab wo uski pusht se hokar uske bilkul  saamne aakar Nano ke sath sofe par beth gya tha .

" Balki aap jab chahain nikal dijiye mujhe ."

Usne Aleezay ko mukhatib krte hue kha tha.

" Fuzool baatein mat karo koi nhi nikal rha tumhe tha se Balki tumhare wajah se toh Ghar mein ronak ho gyi hai ."

Nano ne usse pyaar se jhirakte hue uske gaal chuye the, Aleezay ne  kuch kehne ke bajaye magzine li aur wha se chali aayi .

Kuch sharmindgi ke aalm mein wo lawn mein aakar beth gyi thi .

Chand minto baat usne kadmo ki chaap suni thi, Umer uske pass a rha tha wo jujla gyi, wo  qareeb aakar ek khursi lekr beth gya tha .

" Mein bhut dino se tumse ek baat kehna chah rha tha balki bhut si baatein magar tum nazar andaaz kr rhi thi ."

"Mujhe ye bato ki tum mujhe napasand kyu krti  ho ?"

Wo uske itne direct sawaal par ghabra gyi thi .

" Aesi koi baat nhi hai ."

Wo khadi ho gyi thi .

" Tum beth jao , warna mein tumhe pakad kar betha dunga ."

Wo pehli baar sanjeeda nazar a rha tha wo khud bhi khada ho gya tha, wo kuch kaufgi ke aalm mein saamne beth gyi .

Umer ne darmiyan mein  padha hua table keech kar ek taraf kar diya aur phir apni kursi keech kar seedha uske saamne aakr beth gya wo uske itne kareeb betha hua tha ki wo nervous ho gyi thi .

" Hn ! Ab batao ."

" Aapko galat fehmi hui hai , mein aapko napasand nhi krti hu ."

" Very good, lekin phir tumhe Mera tha rehna accha kyu nhi lag rha ."

"Aesa nhi hai ."

"Aesa hi hai , agar tum caho toh mein yha se chla jaata hu ."

"Yeh mera ghar nhi hai ki mein kisi ko nikalu ."

Wo na chahte hue bhi apni kafgi zahir kar bethi .

" Dekho mein kuch baatein wazay  kardena chahte hu, mein nhi chahta ki meri wajah se is ghar mein koi tanao aay ye ghar tumhara hai, aur rhega. mujhe to yha rehna nhi hai chand mha ke mein bhi wapas London chla jaunga, mera tha kabza jamane ka koi plan nhi hai phir mere smjh nhi aa rha ki tum kis baat par utna naraz ho , shikayat kya tumhe mujhse? Mujhe toh lgta tha ki mein kasa bezarar aadmi hu ."

" Mujhe aapse koi shikayat nhi hai bas ye hai ki aap ghar mein har cheez ko dominate karne ki koshish kar rhe hai, sara khana aapki pasand se bnta hai theek hai aap mehmaan hai lekin jo cheez mein Krna chahti hu usme toh kisi dusre ki marzi..... ."

Umer ne uski baat kaat di .

"Tum us dish wale waqai ki baat kar rhi ho, theek hai mein aainda aur kisi ko mudhaklat nhi karunga, koi aur aitraaz ?"

"Nhi aur koi aitraaz nhi hai ."

Ab wo waqai sharminda hone lagi thi.

"Toh theek hai aur aainda tum apna mood meri wajah se kharab mat krna.aur agar meri  koi baat ka bura lage toh bas aakar keh dena ."

Umer ne uski taraf hath krte hue kha tha, Aleezay ne jheenpti hue usse hath milaya tha Umer ne uska hath nhi chora tha balki khud bhi khara ho gya tha dusre hath se uska hath thamte hue usne kadam badhaye the .

" Ab tumhari narazgi dur ho gyi hai isiliye ab mein tumhe koi acchi si cheez dunga ."

Wo kisi nanhe baache ki tarah uska hath pakde andar le gya tha , Nano abhi bhi lounge mein bethi hui thi .

"Granny mein aur Aleezay bhut acche dost ban gye hai mein Aleezay ke liye kuch laya hu ."

Usne andar aate hu alaan kiya tha wo uska hath pakde hue hi usse apne kamre ki aor ke gya kamre mei dakhil hone  ke baad usne uska hath chorr diya.

" Granny ne batya tha ki tumhe perfumes bhut acche lgta hai,ye tumhare aur mere darmiyan pehli common cheez hai mujhe bhi perfume bhut acche lagte hai ."

Wo uski taraf pust kiye dressing table mein kuch dhundte hue usse keh rha tha, Aleezay ki nazare dressing table markooz thi jahan perfumes ka aik dhir moujood tha wo beikhtiyar aage badh aayi thi .

"Aam tor par mard kabhi aurton ke perfumes istemaal Krna pasand nhi krte lekin mein har wo perfume khareed leta hu jo mujhe pasand ho chahe wo khawateen ke ho ya na ho istemaal karu ya na karu lekin pass rehne mein kya harj hai ."

Usse baatein krte hue uski talash abhi bhi jaari thi phir jese usse wo cheez mil gyi thi wo seedha hone ke baad uski taraf mura Aleezay ne uske hath mein channel 5 ku ek packed shishi dekhi thi .

Muskurate hue usne apna hath uski taraf badha diya tha .

"Ye tumhare liye hai ."

Aleezay ne kuch herani se usse dekha.

"Mere liye ?"

Usne sawaliya lehze mein pucha .

"Hn dosti karne ke liye isse accha gift nhi ho skta aur mein apne friends ko hamesha perfumes hi gift krta hu ."

Aleezay ne phir ek baar uske hath ko dekha wo kuch jhijak gyi thi .

"Just take it ."

Umer ne phir ek baar usse kha tha.

"Magar mein...."

Thanks for reading 😊









































































































AmarbailWhere stories live. Discover now