Chapter 2

989 29 6
                                    

Past :-

Woh car ka darwaza khol rhi thi, jab usne lounge ka darwaza khol kar nano ko bahir aaty dekha, shayad wo car ka horn sunkar bahir aayi thi unhone isey dekhkr dur se hi bazu phela liye wo muskurate hue unke pass jakar lipat gyi.

"Is baar meine tumhe bhut miss kiya".

Unhone uske gaal chumte hue kha tha.

"Meine bhi app logo ko bhut miss kiya Nano!"

Uski sath andar lounge ki taraf jaate hue usne kha tha.

"Mein janti hu."

Unhone bade pyar ke sath chalte hue apne kandhe se lagaya.

"Kaisa rha tumhara qayaam(stay), enjoy kiya ?"

"Haan bhut enjoy kiya."

"Samina kaisi hai ? Pakistan kb a rhi hai ?"

"Mummy thik hai ,abhi Pakistan aane ka koi plan nhi hai shayad agle saal aaye.

lounge mein aakar apna bag sofe pr rakhte hue usne kha

"Chaar saal ho gye usse wha gye, abhi bhi uska dil nhi cha rha aanay ko !"

Usne nano ko barbate hue suna tha, wo kuch der unka chehra dekhti rhi.

"Wo log Australia se America shift hone ka soch rhe hai, uncle ka contract khatam ho rha hai isi saal. America ki kisi company ke offer pr gour kr rhe hai, mummy keh rhi thi ki agr agle saal America settle hone ka irada keliya toh wha jaane se pehle Pakistan ka ek chakkar mar kr jayengi."

Usne jaise nano ko tasalli dene ki koshish ki.

"Tumhare bhai behen kaise hai ?"

Nano ne jaise uska chera padhne ki koshish ki

"Bhut acche hai ab toh bhut bade ho gye hai  mein tasveere leke aayi hu app dekh lijiye ga".

Usne nazare churate hue jhuk kr apne
Jogars kholne shuru kr diye the , nano khamoshi se uska chehra dekhti rhi thi.

"Tum phele se kamzor ho gyi ho."

"Haan shayad mein kuch din beemar padh gyi thi wha, Pani suit nhi kr rha tha."

Ek halki si muskurahat ke sath usne nano ko bataya.

"Bemaar ho gyi thi, magar tumne mujhe nhi bataya, Samina ne bhi phone pr zikr nhi Kiya."

Nano uth kr tashweesh bhare andaaz mein uske pass aakar beth gyi thi.

"Meine mna kr diya tha aap kha ma kha preshan ho jaate waise bhi zayada serious baat nhi thi."

Usne laparwahi se kha.

"Phir bhi tumhe batana toh chahiye toh tha is tarah se....?"

"Nano! plzz mein thik hu aap khud hi dekh lein, kya mein aapko kahi se beemar lg rhi hu."

Usne baat talney ki koshish krte hue kha.

"Kristy kha hai ?" Usse ekdam.jaise yaad aaya tha.

"Seehroh ke neeche do rhi hai, meine tumhe chai ka bhi nhi pucha mein zara tumhare khane ke liye kuch lekr aati hu."

Nano uth kr kitchen ki taraf chli gyi. Usne gehri saas lete hue sofe ki pusht
se taik lga li ek mah baar wapas aakr usse bhut sukoon bhut tamaniyat ka ehsas ho rha tha , yun jaise wo Ghar wapas a gyi ho  har cheez usi tarah thi , wo uth kar kidki ke paas aayi mali ghaas kat rha tha eo kich der tk bemaqsad usse dekhti rhi phir wha se corridor ki taraf a gyi tho corridor cross krne ke baad usse seediyan nazar aayi beikhtiyar ek muskurahat uske chehre pr namoodar ho gyi.

AmarbailWhere stories live. Discover now