chapter 3

788 27 9
                                    

"pta hai tumhari tasveer dekhkr kehta hai ki Aleezay toh bilkul pupho ki carbon copy hai. Meine kha tumhe kaise pta tum konsa Samina ko itna dekhte rhe ho ya Aleezay ko acchi taraf dekh chuke ho? toh bola ki uske liye kisi ko ek baar dekhna hi kafi hai  asal mein do saal pehle wo bhi Australia gya hua tha kuch dosto ke sath sair wagehra ke liye, wha Samina ke pass bhi gya tha bhut tareef kr rha tha uski mujhse puch rha tha ki kya tum bhi apni maa ki tarah batooni ho, meine kha ki jab miloge toh khud dekh lena ki batooni hai ki nhi abhi kuch der mein uthne hi wala hoga mil lena usse, usse bhi pta hai ki tum aaj a rhi ho."

Usse abhi bhi nano ki baaton mein koi dilchaspi nhi thi koi bhi jawab diye bagair wo Shanti se chai peete rahi.

"Mummy ne aapke liye kuch gifts bhijwaye hai abhi nikal du ya phir kal?"

Usne unki baaton ke jawab mein kha tha.

"Abhi samaan mat kholo abhi tum thaki Hui hogi kal mein tumhare sath khud saaman khulwaungi toh dekh lungi."

Nano usse chai peene ke baad aaram krne ko kha tha, wo uth kr apne kmre mein a gyi aur bina kapde tabdeel kiye hi bistar par let kr so gyi.

Umer Jehangir uske liye koi nya naam nhi tha wo do teen saal baad aksar chuttiyon mein apne baap aur family ke sath Pakistan aaya krta tha aur wo wahi thehra krta tha aur aesa pechle bhut se saalo se ho rha tha magar is baar wo takreeban cheh saal ke baad aaya tha aur pehli baar us taraf akele aya tha. Aleezay aur uske darmiyan bas hello hi thi wo hamesha se usse bhut reserve lgta tha bachpan mein hi wo is tarah ka baccha nhi tha jo asani se dusre baccho se ghul mil jaaye. Khud Aleezay bhi aesi thi isiliye dono ke darmiyan kabhi betakallufi nhi hui thi, phir kyi baar aesa bhi hota ki wo apne Walid ke sath chuttiyan guzarne Pakistan aata aur wo khud apni chuttiyan guzarne apni mummy ke pass Australia chli jaati isiliye in dono ko khud apas mein zayda waqt guzarne ka moqa nhi milta tha aur ab bhi umer jehangir ki aamad uske liye koi khas kushi ki baat nhi thi.

Usse andaza nhi tha ki wo kitni der soi Hui thi jab dobara beedar Hui toh kamre mein andhera phela hua tha usne side table pr rakhi hui rist watch utha kr tym dekhne ki koshish ki thi radium dial pr sath baj rha tha usne uth kr kamre ki lights in kardi. Wardrobe se kapde nikal kr wo washroom mein chli gyi thi jab wo lounge mein aayi toh Sawa sath baj rha tha.

"So the lady is here."

Nana ne usse dekhte hi kaha tha wo muskurate hue unse lipt gyi.

"Meine do teen baar tumhare kamre mein jaane ki koshish ki lekin tumhari Nano ne rok doya boli ki tum disturb hogi."

Nana ne usse kha tha wo muskurate hue unke pass baith gyi thi aur usi waqt uski nazar dur kone mein rakhe hue sofe pr baithe sakhs pr padi thi Jo muskurate hue badi dilchaspi se usse dekh rha tha uske mutawajje hone pr uski muskurahat gehri ho gyi thi ek lambe arse ke baad dekhne par bhi usko usse pehchan ne mein der nhi lagi , paanch saal pehle usne jab umer ko dekha toh wo accha khasa patla dubla tha magar is waqt wo ek lambe choray wajeeh sarapay ka malik tha, wo usse aath saal bdha tha lekin apni qad-o-qamat ke lihaz se wo apni umar se bda  nazar a rha tha wo beikhtiyar jijki usse samajh nhi a rha tha ke wo usse kese mukhatib kare gala saaf krne ki koshish krte hue usne kha.

"Hello, How are you?"

Umer ne halke se sar ko neeche Kiya tha.

"Oh I am fine."

"It means you have recognised me, m I right Aleezay."

Usne is tarah uski baat ka jawab diya tha jaise wo uska bhut gehra dost ho.

"Yes ! Nano told me about you she was ......."

Wo Umer se baat kr hi rhi thi jab Nano ne usse awaz di.

"Aleezay! Shehla ka phone aaya hai baat krlo."

Usne chaunk kr Nano ko dekha unke hath mein cordless tha.

"excuse me."

Wo apni baat adhuri chorr kr Nano ke hath se cordless lekr dinning ki taraf chli gyi thi. Shehla uski dost thi aur wo jaanti thi ki ab wo aadhe ghante se pehle faarigh nhi ho payegi. Shehla ko lambi calls krne ki aadat thi aur aaj toh wese bhi ek maah baad usse guftgu ho rhi thi wo kaafi der Tak phone pr usse baatein krti rhi aur jab phone band krke wapas lounge mein aayi toh Umer wha nhi tha wo Nano aur Nana se baatein krti rhi.

aur inhi se usse pta chla ki wo kisi dost ke sath bahir gya hua hai. Khana khane ke baad wo der tak bana ke sath bethi rhi thi, phir uth kr apne kamre mein aa gyi Umer tab tak wapas nhi aaya tha.



Thanks for reading 😊


























AmarbailWhere stories live. Discover now