8

27 2 1
                                    

Tahir apna rumaal apne hath se bandhte hue society ke andar aata hai, uske piche piche uske dost bhi aate hai. Vo sab bohot gusse me dikh rahe the. Mano kisi ko pit ke aaye ho.

Dopahar ka samay tha, society compound Khali tha vo sab ek ek karke apni wing ki taraf badhkar apne gharo Mai jate hai.

Vo sab Jane ke bad ekdam se sannata cha jata hai, sab apne apne gharo Mai the. Ki tabhi, society ke gate me se tin Jan gusse Mai andar aate hai, usme se do ladke aur ek aadmi tha. Vo andar aakar society ke bich Mai khade rahkar society ko ghurta hai.

" TAHIR " vo aadmi society ke compound Mai khade hokar jor se chilata hai. Uski aavaj sunkar pehele to koi nhi aata. Par vo aur ek bar chilata hai.

" TAHIR RAJPUT BAHAR AA " is bar us aadmi ke chilane par khud ba khud tahir gusse Mai uske Ghar ke main gallery se bahar aata hai aur us adami ko dekhata hai Jo niche khada hokar use dhund rha tha. Us aadmi ki aavaj sunkar thodese log bahar aate hai aur use dekhne lagte hai.

" Kya be? bol me yaha hu " tahir jor se kehta hai to vo aadmi ko ki dusro ke gharo ko ghur rha tha vo uski taraf upar dekhta hai, utne me tahir ki mummy bhi uske piche se aati hai.

" TAHIR, TERI HIMMAT KAISE HUI MERE BETE KO ITNA MARNE KI " us admi ki bat sunakr sab logo ko pta lagta hai ki tahir ne kuch to kand Kiya hai. Vo ladka Jo us admi ke piche khada hota hai vo apna rumaal nikal kr apna chehra poochta ta hai aur apne dost ko use achhe se pakdne ke liye kehta hai. Uski pair Tut gya tha to khada nhi ho la rha tha.

" ACHHA, AGALI BAR JYADA NHI MARUNGA " Tahir gusse me apne dat piste hue kehta hai, vo aur gussa hokar use kehta hai,

" MERE BETE KO MAREGA TU " vo ek kadam uski taraf lete hue kehta hai, vo upar aur ye aadmi niche tha.

" TERE BETE SE PUCH USNE KYU MAR KHAI " tahir upar se chilata hai to uski mummy use shant rehkar bolne ke liye kehti hai. Ab Tak sabhi gharo me se log bahar aakar dekh rahe the, tahir kitna bhi bighda hua ho unki najar me, vo side to uski hi lenge. Y/n aur uska pariwar bhi bahar aakar sab kuch dekh raha tha. Tahir ke dost bhi bahar aa chuke the.

" TU USPE KUCH LADNE KI KOSHISH MAT KR " vo aadmi nichese chilata hai. Sab pareshan hone lage the ki ye kya chal rha hai.

" ABE O, TUTI HUI TANG KA, HAI HIMMAT TO BTA NA TERE BAAP KO SAALE CHUP KYU HAI, BOL MUJHE JO TU PEHELE BOL RHA THA " tahir ka ek dost dusre wing se bolta hai, vo aadmi uske bete ko ek bar dekhta hai aur phirse aage dekhta hai,

" Jo bhi ho ITNA MARNE KI KYA JARURAT THI, GALATI TERI HI HAI " use sunkar tahir ko aur gussa aata hai, ab vo Puri society ki samne to bta bhi nhi sakta ki vo kya bola use aur unme kya hua. Vo ek najar y/n ko dekhta hai Jo apne mummy ki baju Mai khadi hokar niche us aadmi ki taraf dekh rahi thi. Tahir ko jyada gussa is bat ka aata hai ki ye sab y/n aur uske pariwar valo ke samne ho rha tha. Vo us aadmi ki taraf dekhta hai,

" O UNCLE JI, AGAR MAINE BTA DIYA NA KI TERA BETA KYA KYA BOLA HAME, TO TU KIDHAR MUH DIKHANE KE LAYAK NHI RAHEGA, " tajir badi aavaj Mai use kehta hai.

" Bachpan se to kuch shikhaya nhi hai, to hamne shikha Diya. Tera aadhura kam hamne pura kar diya, jaa " sahil uske Ghar ke samne se kehta hai,

Idhar, tahir ko ye sab y/n ke samne ho rha tha ye bilkul achha nhi lag rha tha. Uska Dil jor jor se Baja ja rha tha, Vo us admi ko man hi man gali de rha tha. Itna shor machane ki koi jarurat nhi thi. Gusse Mai aakar tahir aandar chala jata hai. To vo aadmi jo uske dosto se zagdh rha tha vo kehta hai,

" DEKHO, DEKHO ANDAR CHALA GYA SALA, AB GALATI SAMNE NA AAYE TO MUH CHUPA RHA HAI, " uski bat sunkar sab tahir ke ghar ko dekhne lagate hai, jidhar koi nhi tha. Uski mummy bhi uske piche use samjhane chali gayi. Puri society us aadmi ko ghurne lagti hai. Kuch bhi ho par itna hangama karne ki jarurat nhi thi.

Kameena Dil   || Taehyung ff || Indian~ जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें