Yaha, tahir ne dopahar me khana khane ke bad sidha sone chala gya, uski mummy use kafi kuch boli iski vajah se uska mood off tha, sone ke bad jab vo utha to apne papa ko samne paya.
Tahir living room me apne papa ke sath baitha tha, mummy ne Aaj kya kya hua vo sab uske papa ko bataya tha. Uske papa ko to is sab ki aadat si ho gayi thi.
" Vo ladke ko jyada lagi hai kya " uske papa Pani ka glass niche rakhte hue kehte hai, aur uske pas dekhte hai.
" Nhi papa, jyada nhi lagi hogi natak kar rha tha " tahir apne mummy ki taraf dekh kar phirse papa ki taraf dekh bolta hai,
" Ye sab kyu hua? " Uske papa use puchte hai, halaki uski mummy ne unko btaya tha unko unke bete se sunna hai, shayad koi aur bat ho,
" Papa vo, jishan ke behen ke bare mai kuch bhi bol rha tha aur gali bhi de rha tha, to jishan utha aur usko Marne lga par uske dosto ne usko pakad liya. Hame bhi bohot gussa aaya to Maine bhi mara usko, " tahir ne apne papa ko achhe se samjha kr bta rha tha, uski mummy bhi sun Rahi thi. Uske papa use bas dekhe aur sune ja rhe the.
" Aaj vo hamare samne bola kal vo kisi aur ke samne bolta to jishan ki behen ko aur uske pariwar achha nhi lagta " tahir apni bat khatam karke vha se uth jata hai, " Jo mujhe sahi lga vo Maine Kiya. "
" Beta, hamne tuze ye sanskar diye hai? aise marpit karke Ghar aana, galiya Dena, aise ladko ke sath ghumna. Ha? Agar tu unke sath ghum rha ho to log tuze bhi unke jaisa hi samjhenge tu samjh kyu nhi rha? " uski mummy use samjhane ki koshish karti hai, tahir uski mummy ki taraf dekh ta hai,
" Mummy, idhar agar sanskari aur sarif bankar ghumenge na to us ladke ki Jo halat hai na usse bhi gandi halat hoti meri, aur job dete samay behaviour nhi qualification dekhte hai, vo dekhne nhi aate ki Mai galiya deta hu ya marpit karta hu, " tahir apni mummy se kehta hai aur bahar Jane ke liye hota hai,
" Tahir ek minute " uske papa use piche se aavaj dekar bolte hai,
" Job Mai puchte nhi iska matlab ye nhi ki ye sab karna thik aur achha hota hai, logo Mai apna nam kamana Sikh, kon ladki dega tuze agar tu Aisa hi karta rha. Hame to aadat ho gayi hai, par ab bas kar kyu ki log tumhe tahir nhi balki rajput ka beta bolkar jante hai, Mera nam kharab mat kar " uske papa uske taraf Bina dekhe kehte hai aur paper hath Mai lete hai.
" Aur thode din ruko papa, sab aapko tahir ke papa bolkar janenge " tahir unko kehta hai aur aage Jane ke liye mudta hai,
" Us din ka besabri se intajaar hai mujhe " uske papa paper ka panna palat kar kehte hai, tahir unko aakhri bar dekh bahar jata hai,
Yaha, tum tanvi aur janvi ke sath society ke andar aati ho, aaj tumhe tahir aur uske dost dopahar ke bad dikhe hi nhi. Roj to pura din vo sab compound Mai hi bethe rehte hai, Par tum uske bare mai na sochkar tanvi ke sath apne wing Mai chali jati ho.
Ghar Mai aane ke bad tumhe tumhara Bhai dikhta hai, Jo ki aayne ke samne khade rehkar apne muscles flex kar rha tha, tum uske pas jakar uske pet Mai ek punch marti ho, par use jyada kuch nhi hota aur vo tumhe dekhne lagta hai jaise kuch hua hi nhi.
" Papa ki mar khakar to tum pathar hi ban gaye " tum use chidate hue kehti ho, tumhari bat sunkar vo tumhara gaal pakad kar jor se khichta hai to tum chilla uthati ho,
" Kya ho rha hai " tumhari mummy andar se chilati hai,
" Mummy dekho na bhaiya mere gaal jor se khich rhe hai " tum apna gaal chudva kar kehti hai, to mummy kitchen se bahar aakar tum dono ko dekhne lagti hai,
" Tum dono kabhi bhi shant nhi Beth sakte kya, aur tum " vo tumhari taraf dekhte hue kehti hai, " tum aate hi shuru ho gayi "
" Maine kuch nhi kiya " tum Masum sa muh banakar kehti ho to Vijay tumhare piche se kehta hai,
आप पढ़ रहे हैं
Kameena Dil || Taehyung ff || Indian~
FanfictionEk sidhi sadhi bholi bhali pyaari si Prem Kahani, Jisme ek ladka Tahir Rajput Jo khud ko apne area ka sher samaj krr dusre kya kahenge iski fikra na kar ke apni life bas enjoy kar rha tha. Uski najar girati he ek sanskari aur sarif khandan ki lad...