Chapter 1

1.5K 27 6
                                    

Woh dono gharri par waqt dekhte hue muskuraye aur aik dosray ko dekha aur phir samnay kharray zoology ke professor ko jo hazri lainay ke liye register khol rahay thay

" 10", Haroon ne jaisay hi class mein baithy das kaha usi waqt woh university mein bhagta hoa daakhil hua

" 9", Ali ne apni baari li

"8", Haroon ne phir kaha jab'keh professor taalib'ilmon [students] ke roll number call kar kar ke haazri laga rahay thay, woh baghair kisi ki taraf daikhta bhagta hoa tufaan ki terhan aa raha tha

" 7", Ali aur Haroon ulti ginti gin rahay thay, woh bhagta hua apne department mein daakhil ho chuka tha

"6", Haroon ne muskuratay hue apne roll number pay "present sir"
bolnay ke baad chhay kaha

" 5", Ali ne kaha, woh taizi se seedhiyan charh raha tha

" 4", Haroon ne class mein chaar kaha aur woh jo class ke qareeb pohanch gaya tha kisi se aik dam takraya

"Oh... sorry please",  samnay walay ko dekhe baghair us ne sorry kaha jaldi se us ki kitabein samait ke pakrata woh class ki taraf bhaga, takranay walay ne usay bhagta dekh ke muskurahat dubayi, usay kon nahi janta tha

" 2", Haroon aur Ali ne muskuratay hue do kehte class ke darwazay ki taraf dekha

" 1" jaisay hi un dono ne aik kaha woh class ke darwazay tak pohanch chuka tha

"Roll number 24?", professor ne us ka roll number dobarah call kiya

"Present sir ", woh class ke darwazay mein aistaadah [jam ke khara hona/fix] apni haazri lagwa raha tha, saari class ka qehqa buland hua jab'keh Ali aur Haroon apni nashiston [seats] ki pusht se taik lagaye taang par taang charhaye muskuratay usay dekh rahay thay, woh sudharne walon mein se nahi tha,  professor ne aik dam class ko gohora, unki ghoori par class mein khamoshi chhaa gayi aur unhon ne apne chashmay ke peechay se usay ghoora, woh blue jeans pay black shirt pehnay, bag ko kandhay pay aik taraf daaley, balon ko jel laga ke set kiye, branded watch aur black joggers mein apna phoola hoa saans durust kar raha tha

"Hamdan Durani...",  professor ne us ke naam ko lamba khainchte hue istehzaiya [sarcastic] lehjey mein kaha

"Kya aap late anay ki wajah bayan karna pasand karein ge?",  professor ne apna chashma utartay hue usay kaha jab'keh baqi class usay aur professor ko dekh rahi thi

"Sir mein jab aa raha tha to sarrak pay aik aurat ka accident ho gaya tha", Hamdan ne apne lehjey mein gham samate hue kaha, professor ke maathey pay lakiron mein se aik lakeer kam hui.

"Agar aap ko lagta hai ke....",yeh jumla Haroon ne apni jagah pay baithy aahista aawaz mein bola

"Mujhe khidmat-e-khalq  ka bohat shoq hai",hamdan ne apni baat agay barhai

"To yeh aap ki ghalat fehmi hai",Ali ne apni jagah pay baithy us ki baat mukammal kar di thi, woh dono usay bohat achay se jantay thay
Agli baat professor samajh chuke thay ke Hamdan us aurat ki madad karte late ho chuka ho ga,professor ne dheelay parte us ko class mein anay ki ijazat de di, woh nawabon ki terhan chalta ja ke Ali aur Haroon ke sath baith gaya chun'kay zoology ka lecture ho chuka tha is liye professor sahib class se nikal gaye

"Wow Hamdan is aurat ki madad ke liye koi agay nahi barh raha tha to tum ne is ki madad k, how sweet!", aik manchali larki ne kharray hotay hue usay dekhte hue kaha

"Mein ne aisa kab kaha?", Hamdan ne apne balon pay haath phertey jawab diya, poori class jo ke us ke is karname se mutasir hui lag rahi thi hairangi se us ki taraf dekhnay lagi

"Is ne kaha ke koi bhi is aurat ki madad ke liye agay nahi barh raha tha", Ali ne baat shuru ki

"Haan kyunkay wahan police thi aur ambulance walay aagaye thay, Hamdan ne wazahat [explain] ki

 Wajbat-e-ishq by Mehreen SaeedWhere stories live. Discover now