Chapter 4

124 9 3
                                    

Woh dono agay peechay shopping mall mein daakhil hue, un dono ke darmiyan chaar se paanch qadmon ka faasla tha. Alyar agay chal raha tha aur wisha us ke peechay. Un dono ke munh pay bara bajey thay, dono aik sath anay pay khush nahi thay aur dono mein se kisi ne khush honay ka takaluf bhi nahi kiya tha. Alyar ko chunkay ladies shopping ka koi tajurbah nahi tha isi liye woh aik jagah ruk ke wisha ka intazar karne laga. Wisha ne jab dekha ke woh ruk ke usay hi dekh raha hai woh us ke paas se guzar ke aik dukaan mein daakhil ho gayi. Alyar ne us ki pusht ko dekh ke ankhein ghumayen theen aur us ke peechay hi daakhil hua, pehlay woh agay tha ab wisha agay thi. Wisha bridal dresses dekh rahi thi, sales girl usay liye idhar udhar ja rahi thi aur woh har dress reject kar rahi thi jabkay Alyar aik taraf kharra kabhi mobile pay typing karta to kabhi usay daikhta jisay koi dress pasand nahi aa raha tha

"Yeh dekh lo..." woh Alyar ke paas se guzar ke agay jane lagi to Alyar ne aik dress ki taraf ishara karte sarsari [Halke phulke] andaaz mein usay kaha tha aur phir se woh mobile mein gum ho gaya, us ki ungli ke isharay par wisha ki nazar parri, golden colour ki maxi pay white motiyon ka kaam tha aur woh dress nikah ke function ke liye aik dam perfect tha. Wisha aik dam josh se us dress ki taraf barhrne lagi lekin aik dam qadmon ko break lagi. Alyar ne us ki taraf abrow uchkate dekha

"Aik minute mein un ki pasand se kyun loon..." Wisha ne sochte apna qadam roka

"Acha nahi hai..." aik haath se jhatak ke woh doosri taraf murr gayi. Alyar ne us ki taraf dekha aur phir se is dress ko, aglay hi second woh dress liye counter par mojood tha

"Pack kar dein...." apna credit card un ki taraf berhate hukum diya gaya tha, Wisha munh khole usay hairat se dekh rahi thi

"Dekhein mister aalo..." Wisha ne us ke paas ja ke ungli uthatay kaha tha. Alyar ne ghoori se nawazah

"Mister Alyar Shah..." daant kajate tasheeh ki gayi thi

"Haan wohi..." Wisha ne sar jhatka tha

"Mera dress hai..." Wisha ne is dress ki taraf ishara karte bawar karwaya

"To?" woh pur sukoon sa bola

"To mein apni pasand se loon gi..." Wisha ka bas nahi chal raha tha usay kaisay samjhaye

"Pehen'na kis ke liye hai?" woh sukoon se poochnay laga, wisha usay chhubhti nazron se dekh rahi thi

"Mere liye na..." us ne pocket se haath nikaal ke apne seenay pay ungli rakhtay khud hi apne sawal ka jawab diya

"Pehen'na to mein ne hai..." Wisha ne aik aik lafz chabaya

"Pehen'na to mere liye hai na..." woh bhi apni baat par zor dete bola tha, dono ko bachon ki terhan zid karte dekh sales boy muskuraya tha, dono ne us ki muskurahat ko ghusse se dekha woh bechara khisyana sa hota apne daant chhupa gaya. Sales boy ne pack kar ke suit Wisha ko pakrraya, Wisha ne jhapatne walay andaaz se woh suit pakra tha aur munh phulaye dukaan se nikal gayi phir us ki purchase Alyar ne pasand ki, woh bas us ke sath chup chaap munh phulaye ghoom rahi thi. Alyar sirf pasand kar ke payment kar raha tha jabkay wisha ne chup ka roza rakh liya tha to woh har bag usay pakrai ja raha tha. Wisha ke paas 5 bags ho chuke thay jab chhata bag bhi Alyar ne Wisha ki taraf badhaya to wisha ne apne haath mein mojood bags ki taraf sar ke ishara karte usay dekhaya ke itnay bags hain mere paas. Alyar ne bhi usi ke andaaz mein apne sar ke isharay se apne haath mein pakre bag ki taraf ishara kiya ke isay bhi pakro. Wisha ne usay ghoora aur us se chhata bag cheentay woh shopping mall se tan fan karti nikli, peechay us ke andaaz par Alyar ne nichala hont danton taley dabaya tha aur phir aankhon par sun glasses lagatay woh aik shaan se chalta shopping mall se nikala
Wisha ne enjoy kiya ho ya na kiya ho, is pasand ki shopping ko Alyar Shah ne to bohat enjoy kiya tha

"Kaisi rahi shopping?" woh apne kamray ki balcony mein kharra coffee ka mug haath mein pakre aur dosra haath pocket mein tha jab Meer Shah ne peechay se atay us ke sath kharray hotay poocha. Alyar ne gardan mourr ke usay dekha, Meer black trousers aur shirt pehnay maathey pay baal bikhre ruf se huliye mein tha

 Wajbat-e-ishq by Mehreen SaeedWhere stories live. Discover now