Chapter 5 (part 1)

164 8 2
                                    

Woh police station mein apne cabin mein kursi pay betha samnay khuli files mein buri terhan magan tha, dono kohniyaon ko it's ne maiz pay tika ke aapas mein hatheliyan jori theen jab ASP zain ne andar anay ki ijazat mangi

"May i come in sir... ", Wali ne gardan utha ke usay dekha aur sar asbaat mein hila diya, woh agay aaya aur haath maathey tak le jata salute kar gaya. Wali ne sar asbat mein hilaate samnay parri kursi ki taraf ishara kiya, zain apni topi utaar ke samnay maiz pay baith gaya jabkay Wali ne usay dekhte peechay kursi se taik lga li

"Sir woh larka qubool nahi kar raha... woh keh raha hai larki ne usay khud bulaya tha..." zain ne serious andaaz mein Wali ko bataya, Wali ne us ki baat pay haath maiz pay rakh liye

"Aap ko kya lagta hai zain?" Wali ne sanjeedgi se poocha tha

"Sir woh jhoot bol raha hai..." zain ne bhi us ke andaaz mein kaha

"To sach pata karwao zain..." Wali ne kharray ho ke woh file jo ke maiz par parri thi uthai aur side par parre shelf par muntaqil karte zain ke naam par zor dete kaha

"Sir mein ne bohat koshish ki lekin..." zain ne Wali ki taraf dekhte kaha to Wali ne murrtay us ki baat darmiyan se kati

"Ghee seedhi ungli se na niklay to ungli tedhi ki jati hai..." Wali ne zain ki taraf ghumte kaha to Zain muskuraya

"Larke ki family ki details nikalwa ke shaam tak mere table tak pohancho ... karte hain mulaqaat is se bhi..." Wali ne usay order diya to woh sar asbaat mein hilata utha aur salute karta bahar nikal gaya, Wali ne us ki pusht ko dekhte dobarah apni kaam ki taraf tawajah di, zain bahar nikla to samnay hi ASP Hamza khara nazar aaya

"Shaam tak details mere table tak pohanchao karte hain mulaqaat. .." Wali ki baat bilkul usi ke andaaz mein zain ne Hamza ko batayi to woh qehqa laga gaya

"Geo mere sher..." us ne Wali ke cabin ki taraf flying kis uchali, zain ne usay ghoora, itnay din ho gaye thay Wali chaudhary ka asal roop dekhe

"Haye shaam tak intazar karen ab..." Hamza ne dil pay haath rakhtay zain se kaha, woh dono zain ke cabin tak aagaye thay

"Sir ko pata chala na tum gaye phir..." zain ne usay dhamkaya

"Hum to waisay hi sir pay mar gaye..." Hamza hanstay bola tha

"Tharki insaan... chal uth dafa ho kaam karne de ab..." usay apne cabin se bahar dhaka dete zain ne kaha, woh hanstay bahar nikla tha
_________________

Woh ghar pay Wali ka intazar kar rahi thi, aaj uni woh gayi nahi thi kyunkay usay wisha ki taraf jana tha us se milnay, us ne Wali se kaha bhi tha ke woh akeli driver ke sath chali jaye gi lekin Wali ne aik lafz bhi nahi suna woh chahta tha ke lunch break mein woh khud Hani ko wahan chhorey ga kyunkay jab tak case ka faisla nahi ajata woh is muamlay mein kotahi [ghalti ] nahi karna chahta tha
_________________

Aina driver ke sath uni se ghar ja rahi thi, usay aaj Hamdan ki bajaye driver lainay aaya tha, Pari ki tabiyat theek nahi thi is liye woh pehlay lecture ke baad hi wapas ghar chali gayi aur Hani ne aaj baghair bataye chhutti ki thi yeh baat yaad atay hi Aina ko gussa aaya tha, is ne bag se apna mobile nikala aur Hani ka number dial kiya, aaj us ka mood Hani aur Pari ki wajah se kharab tha, Pari ko to us ne kuch nahi kaha lekin Hani pay woh apna gussa nikaal sakti thi doosri taraf call ja rahi thi lekin Hani mohtarmah call pick nahi kar rahi thi ( kyunkay us ka mobile upar kamray mein tha aur woh khud Wali ka intazar lounge mein chakkar lagatay wall clock dekhti kar rahi thi jahan 2 baj chuke thay ) Aina ne baar baar it's ka number dial kiya lekin samnay se koi response nahi aaya to usay achanak yaad aaya ke Hani ne Wisha api ki shadi pay usay kisi aur number se call ki thi aur us ne woh number bhi Hani ke naam se save kar liya tha. Is ne jaldi se contact list mein se Hani ka doosra number nikala aur call milai
__________________

 Wajbat-e-ishq by Mehreen SaeedWhere stories live. Discover now