Chapter 5 (part 2)

149 11 6
                                    

"Ammi... ammi aap theek hain?" Pari ne pareshani se inhen mukhatib kiya, Pari un ka kandha hila ke inhen apni taraf mutwajjah kar rahi thi jab ke woh khaali khaali nazron se Pari ko dekhnay lageen

"Kya hua koi pareshani hai kya ammi" Pari ne un ka haath apne haath mein lete narmi se poocha, woh abhi bhi Pari ko khaali khaali nazron se dekh rahi theen,subah pari ke jane ke baad un ki tabiyat bohat kharab hui

"Phir se apne bhateejay yaad aa rahay hain aap ko ?" Pari ne talkhi se poocha

"Ammi aap kyun khud ko halkaan kar rahi hain... jinhein aap ki parwah nahi..." Pari ne ansoo zabt karte inhen samjhaya

"Jab mein is ghar se nikli na Pari meri bara Shah paanch saal aur chhota Shah do saal ka tha..." unhon ne Pari ko dekh ke halki si muskurahat pass ki aur Pari ko bataya

"Ammi tasheeh kar len aap nikli nahi nikali gayeen theen..." Pari talkh hui thi, ammi ne is ki baat pay ghhor nahi kiya

"18 saal ho gaye pari... Mera bara shah 23 aur chhota Shah 20 saal ka ho gaya ho ga..." un ke lehjey mein pyar hi pyar tha

"Aap ke barray Shah aur chhotey Shah ko kabhi aap ki yaad na aayi... aap din raat un ki yaad mein sulagti hain..." Pari uth ke bahar ki taraf barhti boli, Pari ko ammi ke do bhateejay kabhi pasand nahi rahay halan'keh Pari ne un dono ko dekha bhi nahi tha lekin bachpan se woh un dono ka zikar suna sunti aayi thi aur pari kabhi nahi chahti thi ke ammi ke woh do bhateejay kabhi un se milein bhi lekin Pareeshy Ahsan ko samajhney ki zaroorat thi hamaray chahnay se kuch nahi hota, ho ga wohi jo upar wala chahay ga
_______________

Aina aur Hamdan ki nazar mom pay thi jo muskarati apni dost ko vase dikha aur us ki tareef mein zameen o aasman ki qalabay mila rahi theen, aina aur Hamdan dil mein "aal tu jalal tu" ka vird kar rahay thay, mom aur un ki dost sata'ishi nazron se us vase ko dekh rahi theen, Hamdan ne be'basi se Aina ko dekha jo khud ayat al kursi parh rahi thi, mom aur un ki dost sofay se kuch faasla pay barajman theen agar woh us vase ke qareeb jaake usay dekhteen to aik second se bhi kam waqt lagta yeh jan'ne mein ke woh asli nahi tha

"Chalein yaar mein chalti hoon..." mom ki dost uth khari hui un dono ke halaq mein saans atka hua tha, mom un ko rukhsat karne ke liye agay barhi aur mom ki dost is vase ke paas se guzarte usay haath laga ke choone lagi hamdan ki ankhen sadme se khul gayeen

"Oh teri... Hamdan..." Hamdan ne be'sakhta
kaha

"Aunti aap pay yeh colour bohat suit kar raha hai masha Allah ..." Aina ne bhaag ke un ke paas ja ke un ki tareef ki

"Allah nazar se bachayen aap ko..." Aina ki khush'amad pay woh aunty vase ko bhool ke apne suit ki taraf dekhnay lageen aur sharma gayeen

"Arey bohat shukriya beta... yeh na tumharay uncle laaye thay mere liye mujhe kuch khaas pasand nahi aaya..." woh Aina ke sath bahar ki taraf barhti boleen

"Arey nahi aunty bohat pyara hai..." Aina ne inhen yaqeen dilaya, woh to khushi se phoolay na samayin jabkay Hamdan peechay dhara se sofay pay gira

"Bach gaya..." be'sakhta us ke munh se nikla, mom aur Aina wapas aake apni jagah pay batheen, Hamdan ne Aina ko aankhon hi aankhon mein ishara kiya aur woh dono mom ke dayen baen baith gaye, aaj to Allah ne bacha liya tha har dafa aisa nahi ho ga dono jantay thay isi liye ab kuch aur karna parre ga, dono ne aankhon hi aankhon mein aik dosray ko samjhaya aur phir woh shuru ho gaye

"Aap ko kya zaroorat thi inhen yeh vase dikhane ki... aap ko pata hai woh kya keh rahi theen..." Aina ne mom ko haath nacha nacha ke kaha, mom ne hairat se usay dekha

"Kya ?"

"Keh rahi theen tumharay uncle se keh ke mein bhi mangwa loon gi", Hamdan ne ammi ki taraf ghumte kaha

 Wajbat-e-ishq by Mehreen SaeedWhere stories live. Discover now