Hamdan aaj bohat khamosh sa tha isi liye aaj Durani house mein bhi khamoshi ka raaj tha, shaam ka waqt tha aur Aina apne poudoun ko pani de rahi thi aur Hamdan us se kuch faaslay par betha tameez se apne mobile mein gum tha jabkay tommy bhi Hamdan ki kursi ke qareeb betha neechay munh kiye usay dekh raha tha. Woh ghar tha aur sukoon se betha tha nah to yeh baat Aina ko hazam ho rahi thi na hi tommy ko, Aina ne tirchi nigahon se Hamdan ke sanjeeda chehray ko dekha janti thi is baar usay Hamdan ko manana parre ga kyunkay Hamdan pizza usay dosray din bhi khila deta, woh apne waadon se mukarne walon mein se nahi tha
Aina us ki taraf barhi aur us ki kursi ke samnay rakhi kursi par baith ke us ke ghutney pay haath rakh gayi"Acha ab ziyada shokhi na maro... sorry... apna mood theek karo..." us ke kehnay pay Hamdan ne usay ghoora aur uth khara hua, woh bhi uth khari hui. Is se pehlay ke woh murrta Aina foran boli
"Hamdan sorry na... maan bhi jao..." Aina ne minnat ki thi
"Dad ne meri pooray month ki pocket money band kar di miss Aina Durani ... tum ab de dena mujhe paisay... maan jata hoon..." woh abhi bhi sanjeedgi se goya hua, Aina do minute soch mein parri to woh murr gaya Aina janti thi dad to usay izafi paisay de hi dein ge
"Haan theek hai le lena...." us ne Hamdan ka bhala socha
"Sachi na..." us ne ungli utha ke tasdeeq [confirmation] chahi thi
"Haan haan le lena..." Aina ne usay apni tone mein wapas atay dekh kaha
"Okay boss... maaf kiya... kya yaad karo gi... kisi sakhi se paala parra tha..." woh farzi collar jhaarta bola tha
"Ab ziyada ho raha hai..." Aina ne kursi pay dobarah baithtay be'zaari se kaha
"Hunh..." Hamdan ne sar jhatka aur jaisay hi woh murra us ki aankhon mein makhsoos shaytani chamak namodaar hui. Aik dafa phir woh Aina Durani ko chakma de chuka tha kyunkay dad ko to woh subah hi mana chuka tha aur ab Aina se bhi us ne raqam ke liye deal kar li thi.
Aina se to woh apni mehnat ke paisay wusool kare ga, bhai konsi mehnat? aaray yaar poora din sanjeedgi ka drama karna aasaan thori hai, yeh mehnat hi thi ( Hamdan Durani aur us ki mehnat... )
____________________"Parson tayyar rahiye ga... aap ko jigar ki taraf jana hai" woh teenon dinner kar rahay thay jab Alyar Shah ne Mrs Shahzaib ko dekhte khana khatay kaha, sirf dinner ka waqt aisa hota tha ke woh teenon sath baithtay thay
"Wali ki taraf? kheriyat ?" Mrs Shah sawalia andaaz liye goya huin, chunkay jab Wali aur Alyar sath parhte to Wali aksar Shah villa aajaya karta tha aur Mrs Shah bhi us ke waalid ki wafaat par chaudhary house gayeen theen
Meer Shah un dono se la'taluq khana khanay mein masroof tha"Wali ki behan hai Parwasha chaudhary... us ke liye mera rishta le ke jana hai..." woh khana kha chuka tha is liye tissue se haath saaf karte us ne barray sukoon se un dono par bomb phora. Mrs Shah ne ajeeb si nazron se usay dekha jabkay Meer ka niwala labon pay aake ruk gaya tha, woh hairat se Alyar ko dekh raha tha. Kal tak to woh shadi ke naam se bhi dur bhagta tha aur aaj woh achanak rishta le ke jane ki baat kar raha tha
"Aur yeh mera aakhri faisla hai... " un dono ki nazron ka mafhum [meaning] samajhte Alyar Shah ne paanch lafzon mein unhen bawar karwaya tha ke na ki gunjaish nahi hai aur woh sirf bata raha hai, pooch nahi raha. Meer Shah muskuraya tha us ke andaaz pay aur Mrs Shah ne pehlu badla jabkay Alyar Shah apne kamray ki taraf barh chuka tha
_______________Woh teenon Mrs chaudhary ke kamray mein baithy thay, yeh un teenon ki routine thi woh raat ka khana kha ke mom ke sath waqt guzartay thay. Parson itwaar [sunday] tha aur abhi kuch der pehlay hi Alyar ne Wali ko bataya ke woh aur mom parson rishte ki baat karne aaye ge. Wali is maamlay mein jald baazi bilkul nahi karna chahta tha aisa nahi tha ke usay Alyar pay bharosa nahi tha lekin woh Parwasha ko itni jaldi rukhsat nahi karna chahta tha. Har guzarte din ke sath woh case ke shawahidaat [soorag] ki taraf qadam barha raha tha aur har roz usay koi nayi dhamki masool hoti thi, woh dhamkion se darnay walon mein se nahi tha balkay woh to un dhamkion ke jawab mein iqdamaat [action] kar raha tha
Aik dafa wisha mazboot hathon mein chali jati aur hani ki training woh pehlay hi sakht kar chuka tha aur ghar ki hifazat ke liye us ne do aur guards ka intizam kar diya tha phir usay us ki zindagi ka sab se bara case jeetnay se koi nahi rok sakta tha. Is case par us ne pichhley chaar saal din raat aik kiye thay aur ab woh buzdil officers ki terhan manzil ke ain qareeb aaye apne qadam wapas nahi le sakta tha is liye is maamlay mein usay wisha aur ghar walon par zabardasti bhi karni padti to woh kar laita
YOU ARE READING
Wajbat-e-ishq by Mehreen Saeed
HumorThis book is written by Mehreen Saeed, I'm just converting it to roman urdu with her permission off course