Mallika : itna hua!!!!
Achhi kaam Kiya maa baba ne
unke friend boldiya usko tumhare dono chaha aur dono chachi maanli !!
inquiry karna pata lagana alag baat hai bina kuch soche samjhe aisa ilzaam lagana galat hai
Inn sabke wajah se sabse zyada dadi ko hi mushkil hai
Aur tum cousins ka bhi..Fir uske baad kya hua tha tumlog kaha gaye the
uske baad hum wahi sheher mein ek rented house liye the
Fir 5saal baad hum yaha aagaye the mumbai ko...
mallika : unn 5 saalo mein tumlog uss pariwar se kabhi nahi mili
Matlab ekbaar bhi dikhe nahi ?
sumedh : nahi mallika ji
Kabhi nahi mile the
Mile toh nahi the lekin hum chaaro ka shadi ke cards bheje the unke ghar ko
aur woh log aaye bhi nahi the
Then mallika remembered something
she gasped
mallika : hey bhagwan hogaya...
Sumedh : kya hogaya aise kyu chok gayi
Mallika : tum rok nahi sakte mujhe
sumedh : aree batake toh daatiye
Mallika : meine meine Abhishek aur Siddharth ko boldiya na ki job interview keliye aaye
tum bhi na baaki time pe itna bolte ho aur jab mujhe rokne ka waqt aaya toh kuch nahi bola
Muh pe taala laga diya
Sumedh : aree.. waha aap baat kar rahi hai toh beech mein mai kaise aajata...
lekin Abhishek aur Siddharth ko job interview mein bulane se kya hoga?
Mallika : tumhe nahi pata kya hoga?
He nodded Like No
mallika : oyee budhu!
agar Abhishek aur Siddharth humare office mein rahenge toh har din milna padta hai tum samajh rahe ho na mai kya bolna chahti hu
Sumedh : mai sab samajh raha hu mallika ji
Mai bohot achhe se jaanta hu agar Abhishek aur Siddharth ko humare company mein job aaye toh kya hoga
Haa... Firse milna hota hai
Itna sab kuch hone ke baad undono se milna mushkil hai lekin kya hojayega mallika ji
Kuch nahi hoga
Mere liye woh dono mere colleges honge aur kuch nahi
Mallika : agar iske wajah se families mein firse...
Sumedh : aap bhi na mallika ji
Baat ko kaha se kaha tak le jaati hai
Woh dono humare company mein hone se families mein kyu jhagde honge
Aur waise bhi aapne yeh nahi bola na ki aap definitely job degi
Interview hi toh hai
ek CEO hoke aap wahi kijiye jo aapko sahi lage
She smiled and nodded
Sumedh : ab sojaaye ya aapke Mann ko manoranjan karne keliye kuch karna pade hume...
she slightly slapped him
Mallika : faaltu ke baatein karta hai 😤🙄
he laughed
she holden his arm and leaned on his shoulder
he also kept his head on her head
Next day morning
all are arrived at hospital
everyone came to priyana room
(Some are outside some are inside)
kids immediately ran to priyana bed
bhuvana : didi ab aap kaise ho
lakshan : zyada dard ho rahi hai kya
sandeep : kal raat thik se soyi ki nahi
hansh : aree tumlog gap denge tabhi yeh kuch answer degi na chup raho tum sab... tum bolo priyana
Priyana : kya bolu mujhe toh Ghar jaana hai 😕
zalak : jaayenge na jald hi ghar jaayenge
bas thode din hi yaha rukna hai
monika : ha.... yeh lo meine tumhare favourite nashta banake laayi hu
mallika : bhabhi doctor ne kuch cheeze mana kiya woh toh...
Monika : chinta mat karo mallika
Jo cheeze mana kiya woh kuch bhi nahi daala
mallika : achha toh thik hai
then mallika started arranging priyana medicines, clothes and wagera
Ishita : achha mai tumhe khilaaun?
she nodded like no
Shivya : toh mai?
she again nodded like no
priyana : mumma khilana hai
Anushka : aree aaplog bhi na yeh madam toh mumma ki machli hai
priyana : mumma....😤
mallika : aah.. kya hogaya
Priyana : dekho maasi ko
mallika : Anushka kyu usse pareshan kar rahi ho jaanti hai na uski condition kya hai
Pehle jaao tum sab mai usse khilaati hu
Anushka : lo ab mujhe daatne lagi aap 😒
zalak : achha chalo hum sab chalte hai
Waise room mein zyada der tak nahi rehne dete chalo chalo
monika : mallika yeh lo achhe se khilalo agar kuch zarurat pade toh hume bulaao
Mallika nodded
Anushka : bachho chalo school ko late ho rahi hai na
Waha kinshuk bhaiya wait kar rahe hai
aaj mai tumlogo ke sath aaungi
bhuvana : aap kyu bua aap bhi padhogi kya 🤭
Everyone laughed
Anushka : ha ha padhungi tumhe padhaungi bhi 😒
aajkal badi Masti kor bann rahi hai ab chalo
kids : bye priyana...
priyana : bye...
Then they all left from there
mallika : aa Karo
mallika started feeding breakfast to priyana
priyana : mumma..
mallika : hmm...
Priyana : papa kaha hai
mallika : papa bahar gaye hai aate hi honge
priyana : kab aayenge
mallika : aayenge priyu thoda waqt lagega
priyana : kitna waqt lagega
mallika : tu meri dimaag khaaye bina nahi reh sakti kya
priyana became angry and turned her face another side with a pout
mallika : lo palat gayi muh utaarke
Achha suno.... Sorry ab yeh khaalo
priyana turned to her with those angry expressions
mallika hardly controlling her laugh after seeing her cute angry expressions
mallika : itni nakhre karti hai
aakaro...
At outside of room
Gouri : ab kaisi hai?
Ishita : abhi behtar lag rahi hai maa
bhabhi usse nashta khila rahi hai
varaakshi : hmmm.....
idhar beti hospital ke bad pe padi hai aur pata nahi uske pita kaha gayab hai
shivya : sumedh bhaiya aur basant bhaiya priyana ke dawayi keliye gaye hai
Itni jaldi judge karne ka zarurat nahi hai mummy ji
Varaakshi glared her
Kanan : baba mujhe nahi lagta ki yaha hum sab hone ka zaruri hai
ek kaam kijiye aap bade log Ghar jaaiye
hum sab yaha hai na hum sambhaal lenge
Kumar : Kanan sahi keh raha hai varanj hume jaana hi behtar hoga
Durga Devi : nahi mai yehi rahungi
kya pata mallika ko kab humare zarurat pade
zalak : uske liye hum hai na nani
kya aapko nahi lagta ki hum nahi kar paayenge?
Neerav : naniji samajhne ki koshish kijiye yaha rehke aap kya hi kar sakte hai
hum sab sambhaal lenge
varanj : ha maa yeh bachhe toh hai nahi na
hum priyana se milke thodi der baad niklenge
on the other side
kids are reached school in kinshuk car
kinshuk : anu tum jaldi bachho ko gate tak drop kardo
mujhe tumhe drop karke fir office jaana hai bohot saara kaam ruk gaya hai
Anushka : aap chale jaao bhaiya mai koi auto tak cab pakadke chali jaaungi
kinshuk : thik hai fir lekin be careful
bye bhuvana
He kissed at her cheek
bhuvana : bye papa
aap achhe se driving karo dheere se jaao thik hai
he laughed for her words
Kinshuk : yes my mumma definitely
Other kids also said bye to him
Then Anushka got out of car and he left from there
then Siddharth coming there with shailu
Shailu seen them
shailu : bhuvana......
they seen at shailu
Anushka and kids got surprised after seeing Siddharth.
Siddharth also felt same after seeing them
shailu came to them with Siddharth
shailu : chachu meine bolana meri nayi friend mili hai priyana
yeh uski cousin sister bhuvana hai
woh peeche waale bhaaiye uske cousin brothers hai
Priyana, bhuvana aur mai hum teeno ek hi class mein padhte hai
Lekin tumhare didi kaha hai bhuvana
Bhuvana : aapko nahi pata?
she nodded like No
Bhuvana : priyana didi ka accident hua hai
She got shocked
shailu : kyaa 😨
ab kaisi hai?
bhuvana : ab thik hi hai
kuch nahi hua
waise aap inko kaise jaanti hai
shailu : aree yeh meri chachu hai
Anushka : chachu!!
Shailu : haa kyu kya hua
Anushka : kuch nahi aapke chachu ke wajah se priyana bachi hai
Unhone tumhare friend ko blood diya hai
shailu : sachhi mein chachu?
He nodded like yes
shailu : thank you chachu thank you so so much
Idhar aao...
he bended to her height
She kissed at his cheek
Siddharth : aree meine itna bada kaam kardiya jisse mujhe tumhare chumma mila...
shailu : haaa bohot bada kaam thank you so much....
He smiled
Anushka : achha ab tumlog jaao class late ho rahi hai na jaao jaao
Kids said bye to them and went inside of school
Anushka : Siddharth ji
Once again thank you so much
aapke wajah se humari priyana humare saamne hai
Siddharth : aisa ho toh mujhe bhi aapko itne thankyou-s bolni chahiye
Aaplog humare baba ke operation ke paise hi nahi mujhe aur mere bhaiya ko ek moka bhi diya apne aapko prove karne keliye
Anushka smiled
Anushka : ab aapke father kaise hai
Siddharth : behtar hai Aaj hi concious mein aaye hai
Aur priyana kaisi hai
Anushka : better hai apne mumma ka dimaag khane mein busy hai
He laughed
Siddharth : lagta hai ki aapke sath koi vehicle nahi hai
Aap kaise jaayenge
Anushka : koi auto ya cab pakadke chali jaaungi
Siddharth : aapko nahi pata
aaj saare autos aur cabs band hai
Anushka : kyaa!!! Sach mein
Siddharth : isiliye aapko puch raha tha
Anushka : bhaiya toh office chale gaye
Ab kaise jaaun...
Siddharth : if you don't mind can I drop you?
Anushka thought for a while
Anushka : thik hai
Siddharth : hospital ya aapke ghar?
Anushka : nahi nahi hospital nahi
hospital mein dadi aur bua hai
Agar dadi mujhe aapke sath aapke bike pe dekhegi na woh murder kardegi
he slightly laughed
Anushka : mai aapko address batati hu
hum Ghar hi chalenge
Siddharth : fir chaliye
she sat on his bike and he started
After sometime they reached home
Anushka : aap bhi andar chaliye
Siddharth : nahi... rehne dijiye mujhe jaana hoga
Anushka : aree! First time aaye hai humare ghar aise kaise jaane deti mai aapko
Atleast coffee toh lijiye
He thought for a while
Siddharth : chaliye fir
they both went inside
Anushka : aap baithiye mai jaake coffee banake laati hu
He nodded and she left from there
After sometime she came back with coffee
Anushka : lijiye
He taken coffee cup
after he sips
Anushka : kaisa hai coffee?
Siddharth : bohot hi achha hai
Anushka : sach mein?!
Siddharth : ji...
She became so so happy
Anushka : mai na coffee bohot achhe se banati hu
Bas iss ghar mein koi mera appreciation karta hu nahi hai
Even neerav jiju sumedh jiju bhi nahi
aapko pata hai ekbaar jab mummy ka tabiyat kharab tha Ghar pe zalak didi nahi thi woh actually hansh ke school gayi parent teacher meeting mein
toh mallika didi aayi thi mummy ka khyal rakhne
Woh mummy ka khyal rakh rahi thi aur mai saara khana banayi thi
Bas utna achha nahi bana tha
Fir zalak didi aakar mujhe bohot daat diya fir unhone khana banayi
Actually mallika didi ko bhi thik se khana banana nahi aata bas manage karti hai
He confusingly seeing her
Anushka : a....b.... Woh actually bohot dino se kisise itni khulke baat nahi ki toh rok nahi paayi
Hehe sorry
She said very cutely
He laughed
Siddharth : aap humesha aise hi baat karti hai
Anushka : haaa.....
Bas sunne Wale hai kaha...
Siddharth : no worries mai logo ka bohot achhe se sunta hu
Anushka : really???
Siddharth : haa...
Anushka : toh hum dono friends bann sakte?
Siddharth : friends woh bhi hum dono!!!
Anushka : haa kyu nahi
Aapne mere bhanji ka jaan bachaye hai
Mere friend ke devar hai
aur baatein bhi achhe se sunte hai
What's wrong in it
Siddharth : agar aapse friendship karu toh shayad kuch problems ho sakte hai
Anushka : kyu honge problems
Galat thodi na kar rahe hai hum
Mere bade jiju humesha kehte hai ki dosti mein gender ya status ya kuch bhi nahi aani chahiye
Bas dosti hi rehni chahiye
Mere toh koi friends hai hi nahi aapke bhabhi toh busy rehti hai apne family life mein
Aapko achha nahi lagega mujhse dosti karna?
Siddharth : aree Aisa koi baat nahi
He thought for a while
Siddharth : thik hai jaise aap kahe
She became so happy
Siddharth : Waise aap ek baat bataiye
Aap bhabhi ki friend kaise hui?
manul : hum dono classmates the college mein toh dheere dheere friends hogaye
Ab yeh kyu pucha?
Siddharth : nahi doubt hua ki bhabhi hai ki itni shant aur aap hai ki itni baatein karte hai 😄
Anushka : ha toh kya hua
Opposite poles always attracts
Chahe friends ho ya couples
He smiled
Anushka : aapka koi friends hai?
Siddharth : college mein hote the but now everyone are busy in their lives
Kisise contact mein bhi nahi hu
So filhal my brothers are my friends
Anushka : achha... Aap ek baat bataiye
aap aur aapke bhai mere didi ke sasural wale ko dekhkar aisa chok kyu gaye
He stopped
Siddharth : woh... Actually....
Durga Devi : Anushka.......
They seen at main door................................TBC......................................
That's it for today's part
Very sorry for such boring part 😞
Hope you all like this part
Stay tune for more parts
Radhe Radhe 💙
YOU ARE READING
aapke bin hum honge adhure {COMPLETED} ✅
FanfictionWhen a rich girl and middle class boy meets as boss and employee and falls in love ❤️