Khoon. April ko khoon ke aage kuch dikh hi nahi Raha tha. Uski ankhe bas farsh ko bhaawheenta se ghoorein ja Rahi thi.
Abhinav ne uski aisi halat dekhkar usko gale laga liya. Halanki is baar wo use Aram pohochane ke liye kuch keh nahi paya. Uski ankhe khud us bhayawaya manzar ko yaad karke nam ho gayin. Uska badan kaanp utha.
Udhar kamre ke dusri or, Sam ne ek aur ubkai Li, aur bejaan si zameen par dher ho gayi. Daniel ne use Sahara dete hue kamre me maujood har insaan ki taraf dekha.
Dev sabki aur peeth kar kheedki se bahar dekhe ja Raha tha. Usne ek lambi saans chhodte hue kaha, "Ab Jo beet Gaya use hum badal nahi saktein, lekin jo hone wala hai use Hume rokne ki poori koshish karni hogi. Ava khatre me hai. Hum aise haar nahi Maan sakte. Luna..."
Luna ka naam lete hi uska badan na chahte hue kaamp utha. Uske khayal dobara Aaj subah ke manzar ki or daud chale...
Apna gala saaf karte hue Abhinav ne har kisi ka dhyan apni or kheencha aur bolne laga, "Tum dono April aur Sam ko lekar wapas car me jao. Mai Ava ko lekar ata hu."
"Nahi! Tumhe acche se pata hai iss Mahal ke maalik aam log nahi hain jinka tum samna kar sako. April aur Sam ko car me chhodkar hum tumhare saath jayenge."
Daniel ne sar hilate hue kaha."Ava ko liye Bina Mai yaha se nahi Jane wali." Sam ne daant bheechte hue apne aansu saaf kiye aur April ki or dekha.
April ne sabki ankhe apni taraf pakar apna sar na me hila diya. Fir usne ek masoom si muskurahat ke saath bola, "Mai kahi nahi ja rahi. Hum sab yaha saath aye the, saath hi wapas jayenge..."
One day ago
Ava ne us kamre me Charon or nazre daudayi to use aisa laga, mano wo wakt me peeche a gayi ho. Wo kamra kisi Shahi gharane ka lag raha tha. Kamre me Charon or beshkeemti tasweerein aur abhooshan rakhein the. Itne me uski nazar dobara jakar apni behosh dost par padi.
Wo ek dum hosh me ate hue uski taraf bhagi. Usne Luna ko khoob hilaya, aawazein di, par uski dost to jaise uthne ko taiiyar hi nahi thi. Luna wahi bejaan si zameen par padi rahi.
Phir usne ek lambi saans chhodte hue dobara apna dhyan kamre ki or dala. Uski ankhein fir un tasweeron ki or badh chalin. Use ye samajhte der nahi lagi ki ye sabhi tasweerein ek hi insaan ki thi; uske jaisi dikhne wali ladki. Un tasweeron ko dekh kar uska dil bechain hota ja raha tha. Us ladki ki khali ankhein mano uski atma ko ghoor Rahin thi. Uske hothon par ek halki si vyangya bhari muskan zyadatar har tasweer me thi.
Uska dhyan darwaze par hoti ek halki knock ne apni or kheencha, waha wahi butler khada tha. Kam se Kam Ava ko uske kapdon se to yahi lag raha tha.
"Maine apke liye naye kapde arrange karwa diye Hain madam, would you like to change into them?"
Usne apne haath me kaafi safai se rakhe kapdon ki or ishara karte hue kaha.Gumsum si Ava ne bas ha me apna sar hila diya. Jiske jawab me us admi ne lakar wo kapde uske hathon me thama diye.
"Aap yahan par hi change kar sakti hain, apki madad karne ke liye help available nahi hai, unfortunately. I hope you can forgive me for the inconvenience." Usne jhukte hue kaha aur Bina Ava ke jawab ka intazar kiye waha se chala gaya.
Ava un kapdon ko aise ghoor Rahi thi, mano uski saari pareshaniyon ka jawab use unse hi Milne wala ho. Fir ek lambi saans chhodte hue, usne ek akhri baar apni behosh padi dost ki or dekha aur kamre ke doosre Kone me kapde badalne lagi.
Meanwhile
Sam uss admi ko aise muskurata hua dekh kar apni jagah par hi ruk gayi.
Jaise hi us das foot lambe danav ne darwaze ki taraf lambe kadam badhane shuru kiye, sab ek saath haveli se bahar ki or bhaagne lage.
YOU ARE READING
Remember Me
VampireSeven friends Ava , April , Luna , Sam , Abhinav , Dev and Daniel decide to go on an adventure.....without knowing the consequences. During their journey, they uncover deep-seated secrets about each other, some of which were intentionally hidden and...