Episode - 8 Dosti

6 0 2
                                    

Abhinav ko andhere se kuch khaas problem nahi thi. Lekin Aaj use apne aas paas faila andhera ghutan bhara lag raha tha.

Wo log jis bhi disha me mudte, saamne deewar hai ya ek aur corridor kuch kehna mushkil hota.

Jab Ava ne Sam ko kheench kar kamre se bahar bhagna shuru kiya, tab ladke bhi Bina ek pal hichkaye unke saath bhagne lage.

Andar hi andar wo sab jante the, ki iske baad unn sabke waha se zinda bahar Ane ki koi guarantee nahi thi. Ye shayad unka aakhri mauka tha.

Lekin kamre se thoda dur bhagte hi wo samajh Gaye the ki ye itna aasaan nahi hone wala tha.

Wo chahe kisi bhi or bhagte, unke aas paas ka andhera kuch bhi pehchanna mushkil bana deta.

Aisa nahi tha haveli me khidkiyan nahi thi, balki har hallway me kaafi badi khidkiya thi. Lekin har khidki par ek gehre rang ka mota parda Chadha hua tha.

Ab unhe Sahara tha to sirf ek dusre ke saath hone ka. Na jane kitni der idhar udhar ek jaise dhikne wale hallways me bhaane ke baad wo ek jaane pehchane staircase ke paas a khade hue.

Neeche utarte utarte sabka shak yakeen me badal gaya; ye wahi  entrance thi. Main hall me baki haveli se alag kaafi roshni thi. Beech hall me latka jhoomar use aur khoobsurat bana raha tha.

Hall ki dusri or bade darwaze ko dekhkar sabne ek sukoon bhari saas chhodi aur uski taraf paglon ki tarah bhagne lage.

Main gate se bahar nikalkar sabne garden paar Kiya hi tha, ki peeche se ek kaampti hui awaaz sunai padi.

"Guys...?" Sab na chahte hue ruke aur had-badahat me Daniel ki or ghoome. Wo abhi bhi gate ke uss paar khada, badi badi ankhon karein unn sabko ghoore ja raha tha.

"Ab kya?!" Dev baukhlate hue Daniel ki taraf bhaga.
"Mai...Mai ye chaukhat paar nahi kar sakta..." Jaise-jaise Daniel bole ja raha tha, waise-waise uska chehra safed padta ja raha tha.

"Tum bhi na!" Dev ne sar hilate hue Daniel ka haath pakad kar use apni or jhatke se kheencha. Jaise hi usne Daniel ke haath ko jhatka diya, uska poora shareer ladh-khadakar aage ki or girne laga. Dev ne use sAmhalne ke liye apne haath aage kiye hi the, lekin phir kuch Aisa hua ki wo apni jagah par attak kar reh gaya.

Daniel aage ki or gira to sahi, lekin uska badan mano kisi adrishya deewaar se takra gaya. Kuch palon tak dono dost ek dusre ko bhaav-heen chahre liye sannate me ghoorte rahe.

Jaise hi Dev ne kuch bolne ke liye apna muh khola, Daniel ke peeche se ek hasi goonjane lagi. Daniel ki badi ankhon me aansu aa gaye. Wo Bina peeche dekhe apne dost ko majboor hokar bola, "Jao yaha se. Mera bach pana ab possible nahi..."

"Aww...aisa mat bolo Jaan. Mai tumhe khaungi nahi. Hopefully." April aage akar Daniel ke kandhe par sar rakhte hue boli. Uske chehre par vyangya saaf jhalak raha tha.

Dev ki ankhein gusse se laal ho gayi. Itna sab hote hue wo April ke bare me to bhool hi Gaya tha. Uske dhokhe ke baare me. "Ab kya Kiya hai tumne? Kyu humari zindagiyan barbaad kar Rahi ho tum?!"

Dev ne aage badhkar April ko pakadna chaha to Daniel ne use rok diya.
"Dev, Jao." Daniel ne ab use halki si muskurahat dete hue kaha. Uske chehre par ek ajeeb si shaanti aur tyaag tha.
"Please. Ise tum meri akhri iccha samjho."

Dev ne kuch pal hairani se apne dost ki or dekha, phir chidhte hue wo do kadmon me darwaze se andar aa gaya.
"Ya to hum sab jayenge, ya koi bhi nahi. Hai na guys?" Usne ek udaas muskurahat ke saath bakiyon ki or dekha, jo abhi bhi itna sab dekhkar sunn se khade the.

Kuch palon ki Shanti ke baad abhinav ek lambi saans lete hue garden paar karke wapas andar pohoch gaya.
"Obviously." Usne haste hue Dev ki peeth par apna haath de mara. Phir dusri or mudkar apni ankhein pochne laga.

Daniel ne ek udaas muskurahat ke saath apna sar hilaya aur fir se garden ki or dekhne laga.
"Tum dono ko inki sunne ki zaroorat nahi hai. Jao aur jakar madad mango."

Sam aur Ava ne ek dusre ki or dekha phir ek dusre ka haath pakad kar wapas andar a khadi huin.

"Madad? Kisse? Jungli jaanwaron se? Tumhe pata hai na last time jab humne bhaagne ki koshish ki thi to kya hua tha?" Sam ne bakiyon ko yaad dilaya. Uski baat sunkar Ava ghabra si gayi. Isse pehle ki wo kuch bol pati, unke peeche se taliyon ki awaaz goonjane lagi.

Jab sabne peeche mudhkar dekha, to haveli ka malik taliyan bajate hue seedhiyon se neeche utar Raha tha.
"Bravo! What a great display of friendship!" Usne ek ajeeb si muskan ke saath unchi awaz me kaha.

"Tum log kitne acche dost ho. Lekin Mai jhoot nahi kahunga."

Sam aur Ava ne shakal banate hue apna muh pher liya.

Abhinav ne daant bheechte hue kaha, "Oh really, we're pleased to be entertaining enough for you!"

Itna sunkar uske chehre ki muskurahat ki jagah gusse ne leli. Khudko kuch bolne se rok kar, usne ek lambi saans chhodi. Ek baar shaant hone ke baad, usne phir bolna shuru kiya.

"Sam aur Ava, agar Mai tumse ye kahu, ki tum dono yaha se ja sakti ho, to kya tum mera offer accept karogi?"

Uski ye baat sunkar dono ladkiyon ki ankhon me ek ummed ki Kiran jaag gayi. Lekin Sam ne khud ko shaant kar bolna shuru kiya, "This sounds too good to be true, zaroor tumhari koi shart hogi."

Uski baat sunkar Vlad ne ek santusht muskan ke saath sar hilate hue kaha, "Agar Aaj tum is jungle se bahar nikalti ho, to phir kabhi wapas nahi a paogi. Chahe kitni bhi koshish karlo. Ye jungle, haveli aur tumhare dost..."

Ava ne ek thandi saans chhodte hue apna shareer dusri or ghuma liya, mano uske aisa karne par uske aas paas khade log bhi gayab ho jayenge.

Sam ne nafrat bhari nazaron se use ghoorte hue kaha, "Mujhe na jane kyu tumse yahi ummed thi...Hume tumhari shart na manzoor hai."

Vlad ne ek shatir muskan ke sath kaha " Sochlo , Tumlog na to yahan se khud nikal sakoge aur na hi inhe yahan se leja sakte ho------"

Meanwhile...

Jab sab Vlad ki rakhi shart ko sunkar hairan the, tab April chup chaap Daniel ko kheechkar na jane haveli ke kis Kone me chali gayi.

April ne use bolne ka mauka bhi na dekar, deewar se sataya, aur apne lambe daant uske gale me chuba diye.

April ki iss harkat se chauk kar Daniel ke muh se sirf ek ajeeb si dar bhari awaaz hi nikal payi. Use khudpar se hatane ki kuch nakam koshish ke baad wo himmat haar gaya.

Apni ankhein band kar usne apna sarjhuka liya aur Mann hi Mann khudko kosne laga. Na jane kab uski ankhon se ansu behne lage.

Jaise jaise waqt beet Raha tha, uski saanse aur ukhad rahin thi. Uske dimaag me sirf April ke liye aur usse bhi zada khud ke liye nafrat bhare khayal ghoom rahein the.

Na jane kitni der baad April ne khudko usse door kar apne muh se khoon saaf kiya. Lekin tab tak Daniel shayad hi hosh me tha. Apni himmat poori tarah se kho chuka Daniel Bina sahare ke khada bhi na reh saka aur bejaan sa zameen par gir gaya.

April ko khudse door paakar usne akhir kaar ek sukoon bhari saans li, aur apne aap ko dheela chhod diya.

Uski ankhein band hone se pehle uske saamne April ka masum sa muskurata hua chehra tha, "Itni jaldi hosh kho rahe ho jaan? Boring...abhi to humne saathme bohot maze karne hain!"

Remember Me Where stories live. Discover now