Episode - 9 Sorry , I broke my promise

13 2 0
                                    

Vlad ki baat sunkar Sam ko ab Bohr gussa aa chuka tha. Vo sidha Vlad ke paas gyi aur uski shirt ki collar pakad kar uska chehra apne paas laakar , apni gusse bhari aankhon se use ghoor kar kehne lagi " Tum samjhte kya ho apne aap ko , aakhir ho kon tum , tumhe koi hak nhi hai humari zindagiyon ke sath khilwad karne ka. "

Sam ki baatein sunkar Vlad ko apne Dil me ek chubhan ka ehsaas hua , usne Sam ka hath apni collar per se nhi hataya balki apna dard chupate hue usne Sam ki kamar per apna hath rakha aur use apne kareeb kiya . Uski is harkat per Ava ko Boht gussa aaya.

Ava ne socha ' Ek to ye aadmi humare sath utna kuch kar chuka hai aur ab iski itni himmat ki ye meri dost ko harass bhi kar Raha hai. Aaj me ise nhi chhodungi. Aaj dharti pe iska aakhri din hai ' ye sochkar Ava ne Sam ko jhakte se apni taraf khincha aur phir Vlad ko ungli dikhakar dhamkate hue boli " MR. Whatever, aaj ke baad agar meri dost ko tumne chune ke baare me socha bhi to mujhse bura koi nhi hoga. Hoge tum yahan ke malik . I don't care . Lekin mere dosto ko hurt karne ka hak tumhe nhi hai. Nahi tumhe aur na hi tumhari us dhokebaaz behen ko. "

Vlad ko Ava ki ye harkat bilkul pasand nhi aayi usne gusse me aakar Ava ko zor se dhakka de diya. Aisa vo karna nhi chahta tha lekin gusse me vo hosh kho betha. Ava ko jab dhakka laga to vo haveli ke bade se lohe ke gate se jakar takrane hi wali thi ki use apne piche kisi ke hone ka ehsaas hua.

Ye ehsaas use boht Jana pehchana laga . Uske piche Akshat tha. Usne Ava ko sahi samay per bacha liya. Ava ko sambhalne ke baad usne gusse se Vlad ko dekha ko palak jhapkate hi vo Vlad ke samne aa khada hua. Vlad ne Ava ko theek dekhkar ek chain ki saans li phir usne shaant hokar Akshat ko samjhana chaha lekin Akshat ne Vlad ki shirt pakad kar ek zor ka mukka mara jisse vo haveli ke hall me ja gira.

Dekhte hu dekhte dono me jhagda shuru ho gya. Abhinav, Dev aur Sam ko ye moka bhagne ke liye ekdum sahi laga. Unhone Ava ko pakda aur haveli se bahar ki aur lejane lage. Lekin Ava mano Akshat ko dekhkar apni jagah jam si gyi ho. Uska sir Boht tez dard karne laga. Uske samne uska vo sapna dubara aane laga. Akshat ki 13-14 saal wali Umar ki tasveer uske samne aate hi uske muh se Akshat ko dekhkar bas yehi nikla " Akshat, Mene vaada Tod Diya , Na ?? " Aisa Ava khud bhi nhi janti thi ki usne kyun kaha. Kyunki vo to sirf sapna tha. Aisa sapna jiska koi mtlb nhi tha.

Akshat ne dur hote hue bhi Ava ke kahe shabdo ko dhyan se suna. Vo turant ruk gya. Vlad ko bhi Ava ki aawaz saaf sunai du thi. Akshat ne jese hi Ava ki taraf dekha vo wahan nhi thi. Wahan koi bhi nhi tha.

Vlad aur Akshat jab Tak Ava ki baaton per kuch react karte tab tak Ava ko Sam, Abhinav aur Dev wahan se le ja chuke the. Akshat ki aankhein nam ho gyi. Vo us jagah ko sunn hoke bas dekhta Raha jahan kuch samay pehle Ava thi. Vlad aur Akshat jungle ki aur un logo ko pakadne jane hi wale the ki unke piche se unhe Vlad ki maa ki aawaz aayi.

" Arre Akshat tum bhi yahan ho??? Kya baat hai. Chalo tumlog betho aur baatein Karo !!! Mere shikar ka samay ho gya hai . Mein bahar ja Rahi hu. Aur haan Vlad apni behen ka dhyaan rakhna . Mujhe April us ladke ke sath zyada din Tak nhi dikhni chahiye. Tum samjh rahe ho na ki mein kya kehna chahti hu. " Amelia ne Vlad ko ghoor kar warning Dene ke andaaz me kaha aur phir wahan se chali gyi.

Do second baad Akshat chonk kar bola " A...Ava aur baki sab jungle me gye Hain....... Agar Amelia ne unhe dekh liya to......" Isse aage bolpane ki maano usme himmat hi nhi thi. Vo aur Vlad turant jungle ki aur chale gye.

Dusri taraf Ava , Sam , Abhinav aur Dev jungle me bhatak hi rahe the ki achanak se Dev ko Daniel ki yaad aati hai. Dev idhar udhar jab apne sath Daniel ko nahi pata to kehta hai " GUYS.... Daniel humare sath nhi Hai.....shayd hum use wahin chhor aaye....." Ye baat sunkar sabka dil Beth jata hai. Ava nhi chahti thi ki Luna ke baad kisiko bhi uski wajah se kuch jhelna pade . Vo wapis haveli ki taraf ja hi Rahi thi ki Abhinav ne use rok liya.

Remember Me Where stories live. Discover now