Kisi ne pucha mujhse tum likhna kyun pasand karti ho
Tab toh main chup rahi
Apne aap se ladti rahi
Magar ab lagta hai ke keh diya hota toh behtar hota
Keh diya hota ke
"Jab sunne ko koi na ho
Samajh ne ko koi na ho
Aur ye jazbaat sambhalna mushkil ho
Tab likhna behtar hota hai
Sunne se toh shabdon ke arth badal jate hai
Par likhne se ye shabd sirf un tak pochenge jinko inka asli matlab samajhne ki chah hai
Main akeli toh nahi yaha
Meri tarah lakhon hai
Jahan mein kahin toh koi hoga jise yeh jazbaat samjhane na pade
Aur uske man mein chupe jazbaaton ko mere shabd mil jaye"