Usne pucha kaha khoi rehti ho
Puri duniya tumhe dhund rahi hai par tum dikhti hi nahi
Maine muskurakar sirf itna kaha jawab mein
"Ye Duniya dhundti hai mujhe apne matlab ke liye
Main to us duniya mein milti hu jo mujhe bematlab hi apna leti hai
Akhaon mein ashk nahi adharo pe muskan lati hai
Meri khamiyon ke saath bhi mujhe haste hue apna leti hai
Or meri khamiyon ke saath mujhe khul kar jeena sikhati hai
Main chahe kitni bhi udaas kyon na hun is duniya se
Meri muskaan ko sambhal kar rakhti hai
Mere maan ki udasiyon ko khushiyon mein badal deti hai
Meri khamiyon par mujhe akela mehsoos hone nahi deti
Or mujhe har baat par chota mehsoos hone nahi deti
Main to us duniya mein hoti hun jo mujhe kabhi khud se ruthne nahi deti"