Underworld Ki Chupi Hui Taqat

11 2 0
                                    

Fardan apne aadmiyon ke saath apne secret hideout me baitha tha jahan wo log tarah tarah se apne dushmano ko torture karte the. Subah ho chuki thi aur Fardan gusse se uss aadmi ko dekh raha tha. Yahan aaye hue kaafi der hogayi thi lekin unhone ab tk uss bande ke chehre se kapda nahi hataya tha. Fardan apne phone me apne ghar ka haal dekh raha tha aur uske aadmi khamoshi se khade the.

Kuch der baad Fardan ne chehre se kapda uthane ko kaha toh Ahmed ne kapda nikaal diya aur uss aadmi ko dekh kar sab chaunk gaye. Wo aadmi wo nahi tha jiski Fardan ko talaash thi balke wo aadmi toh underworld ke sabse bade don ke nicche kaam karne wala koi tha.

"Dilawar?" Fardan hairath se usse dekhne laga.

Wo ab bhi behosh tha toh Ahmed ne uske chehre pr paani daal kar usse utha diya. Uske uthte hi Fardan ke kehne pr unhone usse azaad kar diya.

"Tum kya kar rahe the wahan? Kal toh wo aadmi aane wala tha na." Fardan ko uss aadmi ka naam lena bhi pasand nahi tha isliye wo hamesha usse wo aadmi keh kar pukaarta tha.

"Mujhe boss ne kaha tha jaane ko." Dilawar apna sar pakad kar bolne laga.

"Sir ko mera salaam kehna. Mai khud unse mil kar maafi maangunga. Maine galti se tumhe pakad liya." Fardan ne Dilawar se kaha.

Dilawar usse anjaan maar kar wahan se chala gaya kyunki Dilawar janta tha bas wo apne boss ke nicche kaam karta tha isliye Fardan usse chodh raha tha. Agar wo uss aadmi ke nichhe kaam karta toh Fardan ke haathon se bach kar nikalna uske liye namumkin tha.

Fardan ko apne nakaam hone pr bahot gussa aaya hua tha. Wo apne aadmi se keh raha tha, "Jaldi se plane ready karwao. Mujhe shaam tk jaana hai."

Uske aadmi uski baat maan kar wahan se nikal gaye. Fardan ne gehri saans li aur socha ghar jaa kar aaye.

**************************************

Faiza kitchen me kuch kar rahi thi jab Fardan ghar me aaya. Fardan picche thair kar Ayesha aur Faiza ki baatein sun raha tha jo chai banati hui kisi baat pr has rahi thi. Fardan ne ek sukoon ki saans li. Uski zindagi ke sabse khaas log uske pass the jinhe wo apni jaan se zyada chahta tha aur unhe itna khush dekh kar usse bada sukoon mehsoos hua tha.

Fardan phir hall me aagaya aur anjaan banta hua Ayesha ko awaaz dene laga. Ayesha jab uski green file le aayi toh kaam me mashgool hogaya. Faiza ki behoshi ki wajah se Fardan ko jaana cancel karna pada.

Jab shaam ko Faiza ko hosh aaya toh Faiza khana banane ke liye kitchen me chali gayi. Ayesha ke baar baar rokne ke bawajood Faiza ne khud khana banaya.

"Mujhe aadath hai Di. Mai ghar me khana banati thi. " Faiza usse boli toh Ayesha ne zidd karke uski saari madad ki thi.

Jab Faiza ne khana bana liya toh Fardan ke saath baith kar apne hi kamre me khane lagi. Fardan bhi Faiza ki tarah 24hours se bhooka thatha toh dono khamoshi se khane lage.

"Ma Sha Allah bahot acha khana banati ho aap." Fardan khana khatam hone pr bola. Faiza bs muskura kar usse ek nazar dekhne ke baad saare bartan le kar nicche aagayi.

Kuch der baad jab Faiza upar aayi toh Fardan kamre me nahi tha. Wo jaanti thi wo kahan hoga isliye apni jagah jaa kar sogayi. Fardan ka kaam khatam hote hi wo sofe pr aa kar baith gaya. Faiza gehri neend me so rahi thi. Fardan usse dekhte hue baitha tha kyunki usse neend nahi aa rahi thi. Fardan bahot thaka hua tha aur uska sar dard kar raha tha lekin laakh koshish ke baad bhi usse neend nahi aayi toh wo apni neend ki goli khake let gaya.

**************************************

Aaj Valime ka din tha lekin abhi bas fajr ka waqt tha. Sab so rahe the lekin Fardan jaaga hua tha. Neend ki goli khane ke bawajood usse neend nahi aayi thi. Fajr ki azaan sun kar wo uth gaya aur fresh hokar namaaz padhne ke liye masjid chala gaya.

Namaaz padhne ke baad Fardan ghar aaya aur Faiza ke pass baith gaya. Faiza pursukoon nazar aa rahi thi lekin kuch der baad ek ajeeb si bechaini uske chehre pr numainde hogayi. W paseena paseena hogayi aur neend me hi rone lagi. Fardan uski halath dekh kar pareshaan hogaya.

"Papa please mat jao na... Please papa!" Wo ek hi baat baar baar kehti hui roo rahi thi.

Fardan usko apne gale laga kar uski peeth sehla raha tha lekin wo ab bhi neend me thi aur ek baat kehti hui roo rahi thi. Fardan ne Faiza ko neend se jagane ki koshish ki lekin wo nahi uthi. Fardan ne uske baalon pr haath pherte hue uss pr Ayat-ul-kursi padh kar phooki. Kuch der baad wo phr se sukoon ki neend me sone lag gayi thi.

Fardan kuch der uske pass hi uska haath pakad kar baitha raha. Jab poori tarah se subah hogayi aur sabke jaagne ka waqt qareeb aaya toh Fardan uth kar taiyyar hone chala gaya. Taiyyar ho kar wo seedha apne secret hideout ki taraf chala gaya. Fardan ke secret hideout ke pass hi airport tha aur wahan se wo Shah sahab se milne ke liye nikal gaya.

**************************************

"Assalamualaikum Shah sahaab." Fardan kisi aadmi ke saamne baitha unke haath pr bosa de kar bola.

"Walekum assalam." Sakht lehje me ek lafz ka jawab aaya.

"Mai apse maafi chahta hoon. Maine galti se apke khaas aadmi ko pakad liya tha." Fardan unke saamne sar jhukaye bol raha tha.

"Koi baat nahi mere sher. Yahan mere pass baitho." Shah sahaab ne usse apne pass baithne ka kaha.

Luqmaan Shahzaib Shah takreeban 70 saal ka aadmi jo underworld ka betaaj badshah tha jiske aage sab jhukte the. Fardan bhi uski bahot izzat karta tha. Har koi uske ek ishaare pr marne maarne ko taiyyar rehta tha. Usne apni ye jahah bahot saalon ki mehnat ke baad banayi thi lekin Fardan ne kam umar me apni achi jagah banayi thi jis wajah se wo Luqmaan ka khaas hogaya tha. Fardan ko Luqmaan ne hi underworld ki duniya dikhayi thi jis wajah se Fardan uska har hukm maanta tha. Underworld me sab kehte the agar Luqmaan na hota toh Fardan hi sabka maalik hota lekin Fardan ne kabhi uski jagah lene ki sochi nahi thi. Fardan ko bas apna badla lena tha uss shaqs se jo uske waleedain ka qaatil tha lekin wo aadmi Luqmaan ka khaas tha isliye har baar ussi wajah se wo Fardan ke haathon se bach jaata.

"Shah sahaab aap kab tk uss aadmi ko mujhse chupa kar rakhenge? " Fardan shikwa karne laga.

"Beta mai usse chupa nahi raha. Mai bas chahta hoon jab tk wo mera kaam kar raha hai tum usse kuch na karo. Bs 2 saal baad mai usse azaad kar dunga aur tab mera koi aadmi beech me nahi aayega." Luqmaan usse tasalli dene ke lehje me bola.

"Agar maine phir bhi uss pr ab goli chala di toh?" Fardan gusse pr qaabu karta bola.

Sab hairath se Fardan ko dekh rahe the. Wahan kam se kam 80 aadmi the jo Fardan ki bahaduri pr darr gaye the. Unhe laga ye baat pr Luqmaan usse maar dega lekin aisa kuch nahi hua balke Luqmaan toh zor zor se hasne laga.

"Tum bilkul meri tarah ho bacche. Mai bhi jawani me aisa hi tha. Mujhe bhi kisi ka darr nahi tha." Luqmaan hasta hua Fardan ki peeth thap thapa kar bola.

"Wo yahan nahi hai. Wo toh kayi dino se tumhare desh me hi hai." Luqmaan sanjeeda ho kar bola.

"Phir toh asaan hai usse maut ke ghaat utaarna." Fardan ek shaitaani muskaan de kar bola.

"Theek hai jao maar do. Agar tum usse aaj maarne me nakaam hue toh 2 saal tk usse durr rehna hoga tumhe." Luqmaan ne warn kiya.

"Shukriya Shah sahaab!" Fardan khushi se kehta uth kar chala gaya.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now