Ishq Aur Junoon Ke Wahem

23 3 0
                                    

Flashback:

"Tum ho Fardan Shehriyaar?" Riyaz ne aankh chadha kar pucha.

Fardan aur Riyaz ek cafe me milne aaye the. Fardan ka call aaya tha isliye Riyaz usse milne aagaya lekin Riyaz iss shaadi se bilkul khush nahi tha kyunki wo Fardan ki asliyat jaan chuka tha aur hargiz nahi chahta tha ke Fardan jaise shaitaan ki shaadi Faiza jaisi masoom se ho.

Fardan halka sa muskura kar unhe dekhne laga.

"Kyun shaadi karna chahte ho meri bhanji se?" Riyaz ne seedhi baat ki.

"Ishq karta hoon mai Faiza se." Fardan ne jawab diya.

"Tum usse khush rakhoge iss baat ki kya guarantee hai?" Riyaz ne pucha.

"Mujhse zyada khush usse koi nahi rakh sakta." Fardan bahot confident tha.

"Faiza ko paise se koi matlab nahi hai." Riyaz ne warn kiya.

"Jaanta hoon bahot ache se." Fardan halka sa muskura kar bola.

"Bahot masoom hai meri bacchi aur tum... Tum ek janwar ho. Maine maloom kiya hai tumhare baare me." Riyaz ne gusse se kaha.

"Maloom isliye kar paaye kyunki mai khud saamne se chahta tha apko meri asliyat maloom ho." Fardan ke chehre pr ek shaitaani hasi thi.

"Tum ek gunde ho aur mai meri phool si bacchi ek shaitaan ke haathon me kabhi nahi dunga. Mai Faiza ki shaadi mere bete Shafiq se karwaunga." Riyaz ne sakhti se kaha.

"Faiza Amani sirf aur sirf Fardan Shehriyaar ki hai. Agar wo mujhe nahi mil sakti toh kisi ki nahi hosakti... Samjhe?" Fardan Riyaz ki aankhon me dekhta hua gusse se bola.

"Tumhe Faiza se ishq nahi hai. Bas junoon hai uska tumhe. Aur junoon kabhi ishq nahi ban sakta." Riyaz ne afsoos se kaha.

"Mujhe Faiza se sirf junoon ya ishq nahi Ishq Junoon hai. Aisa Ishq jo junoon se shuru hota hai aur junoon pr hi khatam hota hai." Fardan jab bhi Faiza ka naam leta uske chehre pr alag si muskurahat hoti.

"Tum ek qaatil ho Fardan. Kya pata kal ko tum gusse me meri beti ko hi nuqsaan na pahoncha do?" Riyaz pareshaani se pucha.

"Aap mere baare me sab jaan chuke hain toh ye bhi jaan gaye honge mai Faiza ko paane kis hadd tk jaa sakta hoon. Wo mujhe nahi mili toh mai apke saare khandaan ka naam mita sakta hoon. Aur rahi baat Faiza ko takleef dene ki... Usse ek thokar bhi lagne nahi dunga." Fardan kehne laga.

"Aur agar mujhe maloom hua kisi din tumhari wajah se usse kuch bhi takleef hui toh?" Riyaz ne sawaal kiya.

"Toh faisla uss din Faiza ke haath me hoga. Wo jo chahegi mai wahi karunga." Fardan wo din sochna bhi nahi chahta tha lekin Faiza se shaadi karne ke liye wo jo dil me aaye bolta jaa raha tha.

"Aur mai phir bhi na maanu iss shaadi ke liye toh?" Riyaz ne sawaal kiya.

"Toh kal tum sabki laashein padi hongi tumhare ghar me aur Faiza meri biwi ban kar mere pass hogi." Fardan hasta hua aise bola jaise koi aam si baat kar raha ho.

Riyaz ko Fardan ka ye roop bilkul pasand nahi aaya tha. Wo bahot darr gaya tha. Wo jaan chuka tha Fardan ka underworld se connection hai isliye wo Faiza ko Fardan ke haath me nahi dena chahta tha. Riyaz ko gehri soch me dooba dekh kar Fardan muskuraya.

"Faiza ya poora khandaan kya zaruri hai tumhare liye. Soch samajh kar faisla karlo." Fardan muskura kar bola.

"Tum Faiza ke saath theek se pesh aaoge mai kaise maan lu." Riyaz hichkichahat se puchne laga.

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now