Be'naqaab Haqeeqat

18 3 0
                                    

"Bhai itna pareshaan mat ho. Apki hi biwi hai apko chodh kar kahin nahi jayegi. Bas kuch din ki baat hai wo wahan rehna chahti hai toh rehne do na usse." Ayesha jo kabse Fardan ko hall m pareshaani se ghoomta dekh rahi thi tang aa kar boli.

"Beta tum jaanti ho na wo mujhe meri saans jitni zaruri hai. Mai kaise rahunga itne din. Upar se wo log pata nahi uske saath kaisa pesh aa rahe ho." Fardan pareshaani se bola.

"Bhai wo bhabi ko kuch nahi karenge. Ab toh wo aapki hain na. 1 din ke aaye mehmaan ke saath koi kyun kuch bura karega." Ayesha maasoomiyat se boli.

"Tum nahi jaanti Ayesha wo log kaise hain. Khaas kar Faiza ki mami. Mujhe nafrat hai uss aurat se. Mera bas chale mai usse itni dardnaak maut du lekin Faiza ka soch kar chup ho jata hoon." Fardan gusse ko qaabu karta hua bola.

"Bhai ab koi itna bhi bura nahi hota ke ek hi din me bhabi ko maare." Ayesha Fardan ka gussa khatam karne ki koshish karti hui boli.

"Kash beta jo tum keh rahi ho wahi ho. Agar Mere Faiza ko kuch bhi hua toh mai usse chodhunga nahi." Fardan ko Faiza ki mami ek aankh nahi bhaati thi.

"Bhai yahan tension lene se behtar hai aap jaa kar unhe mana lao." Ayesha boli aur uth kar apne kamre me chali gayi.

"Haan sahi hai. Mai jaa kar Faiza ko le aata hoon." Fardan khud se bola aur apni car le kar nikal gaya.

**************************************

Rumaisa Adil ke picche bhaagti hui aayi jo apni car ki taraf jaa raha tha. Rumaisa ne usse awaaz di toh wo rukk gaya.

"Rumi ka kya matlab hai?" Rumaisa ne aankh chadhate hue pucha.

"Wo bas galti se keh diya tha." Adil anjaan maarne laga.

"Doobara mujhe uss naam se mat bulana. Mujhe pasand nahi wo naam." Rumaisa ne chidd kar kaha.

"Kyun?" Adil ne sawaal kiya.

"Bas mujhe wo naam se koi aur bulata tha jo mere liye duniya me sabse khaas the lekin ab wo mere pass nahi toh mujhe wo naam nahi sunna." Rumaisa udaas hoti hui boli.

"Kaun bulata tha?" Adil ko bahot gussa aaya.

"The koi mere liye sabse khaas jo hamesha mere liye khaas hoge." Rumaisa ne Adil ke dil me ek chingari bhadkate hue kaha.

"Wo tumhe chodh kar chala gaya toh khaas kyun kehti ho usse." Adil gussa chupata puchne laga.

"Majboori thi. Khudse chodhna nahi chahte the wo." Rumaisa mazeed udaas ho kar boli.

"Itni izzat mat do usse." Adil ko jalan hui. Wo Adil se toh kabhi izzat se pesh nahi aayi thi.

"Baraabar dungi. Tum kaun hote ho mujhe rokne wale." Rumaisa bhadki.

Adil khamosh hogaya lekin dil hi dil me usse badi jalan hui. Wo chahta tha uss aadmi ko dhund kar usse itna maare ke wo kabhi Rumaisa ke khayal me bhi na aaye lekin usse khushi bhi hui ke wo Rumaisa ki zindagi se chala gaya tha pr usse uss shaqs pr bahot gussa aaya jisne Rumaisa ko chodh kar jaane jaisi galti ki thi. Wo jaanta tha wo kitna tadap raha tha Rumaisa ko paane aur iss me wo aadmi khud Rumaisa ko chodh gaya. Mard kabhi saccha ishq karle toh chahe koi badi se badi majboori kyun na ho chodh kar nahi jaata lekin iss aadmi ne toh bewafaai ki Rumaisa ke saath aur Rumaisa ab bhi ussi ke yaadon me jee rahi thi.

Adil khamosh hogaya toh Rumaisa bhi apne ghar jaane lagi toh Adil ne usse rok diya.

"Aajao ghar chodh dunga mai tumhe. Mai wahi raaste jaa raha hoon kisi kaam se." Adil ne kaha toh Rumaisa khamoshi se gaadi me baith gayi.

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now