Toote Rishtay

10 3 0
                                    

Fardan ki aankh khuli toh dekha Faiza kahin nahi thi. Jaldi se uth kar wo nicche aaya aur wo kahin bhi nazar nahi aa rahi thi. Wo pareshan ho kar Ayesha ke kamre me gaya. Ayesha apne phone me koi game khel rahi thi.

"Beta, Faiza kahan hai?" Fardan Ayesha ka dhyaan apni taraf karta hua puchne laga.

"Apne mamu ke ghar." Ayesha apni game me masroof bina Fardan ko dekhe boli.

"Kya matlab?" Fardan ko uski baat sahi se samajh nahi aayi thi.

"Wahi jo maine kaha." Ayesha boli.

"Wo apne mamu ke ghar mujhe bina bataye kaise chali gayi? Aur kiske saath gayi? " Fardan ko ab bhi yaqeen nahi aa raha tha.

"Usne kaha tha wo aapse jaane ka puch chuki hai aur aap so rahe the isliye maine Adil ko phone kiya aur wo uske saath chali gayi." Ayesha ab game band karke sanjeedgi se bol rahi thi.

"Haan maine kaha tha lekin itni bhi kya jaldi thi. Wo mujhe nahi utha sakti thi." Fardan chote bacche ki tarah shikwa karne laga.

"Maine kaha tha uthane ka lekin shayad wo apse naraz hai." Ayesha apne bhai ke saath masti karne lagi.

"Maine kuch kiya hi nahi. Bas ek galti hui usne mujhe call ki thi toh maine kaha tha mai kuch der me aaunga lekin mujhe kisi wajah se der ho gayi. Wo itni choti si baat pr itna naraz kyun ho gayi. Mai toh aksar hi ghar der se aata hoon na." Fardan khudse sawaal kar raha tha lekin usse koi jawab nahi mila.

"Apki biwi aap jaano." Ayesha hasti hui boli aur nicche chali gayi.

**************************************

Faiza sabke saath baithi khana kha rahi thi. Mami ke taano ki wajah se khane ka bilkul mann nahi tha lekin mamu ne awaaz di toh khamoshi se aa kar khane ke liye baith gayi. Sab khamoshi se khana kha rahe the aur Faiza bas khane ko dekh rahi thi.

"Kya hua beta? Kyun nahi kha rahi? " Mamu ne Faiza se pucha.

"Nahi mujhe bhook nahi hai." Faiza ne kaha.

"Haan bhook hogi bhi kyun. Ab toh ameer me rehti hai wahan ke naukar chakar ke bane naye naye pakwaan khane ko milte honge na. Ab yahan iss gareeb ghar ka kahan kuch pasand aayega usse." Mami tanz karne lagi.

"Zeba tum.. " Mamu kuch kehte gusse se mami ko ghurne lage.

Faiza beech me boli, "Aisi baat nahi mami. Mai toh ghar ka hi khana khati hoon. Bas aise hi bhook nahi mujhe."

"Phir bhi jitna plate me hai khatam karlo beta. Khana kharab karna buri baat hoti hai." Mamu ne kaha toh wo khamoshi se khane lagi.

Sab ka khana hone ke baad sab hall me baith kar ek dusre se baatein kar rahe the. Shafiq aur Riyaz apne office ki baatein kar rahe the. Zeba aur Arshia apne kuch khandani maslo pr baatein kar rahe the jinse Faiza ka koi lena dena nahi tha. Faiza khamoshi se sabko dekhti baithi rahi. Usse Ayesha ki bahot yaad aa rahi thi. Usse yahan aaye hue bas 5-6 ghante hue the lekin wo Ayesha ko aise miss kar rahi thi jaise usne kayi saalon se Ayesha ko nahi dekh ho. Ayesha usse kabhi bhi akela nahi chodti. Faiza aur Fardan ki shaadi ko bas 1 hafta hua tha lekin wo Ayesha ki itni aadi ho gayi thi usse lagne laga tha sach me uski koi badi behn ho. Ayesha har mamle me usse har baat batati aur yahi wajah thi ke ab Faiza Rumaisa se zyada Ayesha se attached ho gayi thi.

**************************************

"Pata nahi ye ladka kahan masroof hai. Roz toh mujhe itna tang karta tha aur ab jab mai chahti hoon ke ye mujhe disturb kare toh call aur message do bhi nahi kar raha. Agar kahin busy ho toh mujhe bata toh sakta tha wo." Ayesha khudse baatein karti hui Saif ke message ya call ka intezaar kar rahi thi. Aisa pehli baar hua ke usne Ayesha ko call nahi ki warna har subah aur har shaam wo usse baat karta. Bhale hi baat se zyada wo Ayesha se apno beizzati karwata lekin phir bhi beghairaton ki tarah Ayesha ke picche pada rehta.

**************************************

"Rumaisa ab bas bhi karo. Kitna torture karogi tum isse." Adil Rumaisa se keh raha tha jo Arun par baar baar garam paani daalti aur upar se namak bhar bhar kar uske munh pr phekti. Wo behosh tha kayi der se lekin Rumaisa ka baar baar usse maarna aur alag alag tarah se saza dena kayi der se khatam nahi ho raha tha.

"Yaad nahi boss ne kya kaha?" Rumaisa gusse se Arun ko dekh kar puchne lagi.

"Haan lekin ab bas bhi kardo. Tum toh jallad hi ban gayi." Adil ko zyada maar peet pasand nahi thi. Wo mafia me toh kaam karna chahta tha lekin usse khoon kharabe bilkul pasand nahi the. Wo bas kisi ki jaankari maloom karna ya kisi ko darana jaise chote kaam hi kar paata tha aur baaqi jagah uska dil pighal jaata. Usse baaton me uljha kar ullu banana bahot asaan tha isliye Fardan ke kehne pr Rumaisa har mission pr uski saathi banti thi. Bhale hi khoon kharabe se darta ho lekin Fardan ke liye wo jaan dene bhi taiyyar tha.

"Theek hai Mr. Rahem Dil. Mai ab isse torture nahi karungi lekin sirf tab tak jab tak ke isse dubara hosh na aaye." Rumaisa hasti hui boli.

"Rumi tum badi berahem ho." Adil bekhayali se bola.

"Rumi?? " Rumaisa kuch pal ko hairaan hui.

Adil ko ehsaas hua usne kya kaha toh jaldi se sar jhuka kar wahan se chala gaya. Rumaisa usse jaata hua dekhti reh gayi.

**************************************

"Faiza tumne Fardan ko bulaya hai ya mai tumhe chodh aau? " Faiza ke mamu ne usse sawaal kiya.

"Tum rukogi nahi? " Shafiq ne sawaal kiya.

"Tum rehne aayi thi? " Mamu ne pucha.

Faiza bas mamu aur mami ko dekh rahi thi.

"Nahi wo kyun yahan rahegi. Uske mahel jaise ghar me wo bahot khush hai." Mami munh bana kar boli.

"Phir tum taiyyar ho jao mai tumhe kuch der me chodh aata hoon." Mamu ne kaha aur apne kamre me chale gaye.

Shafiq ko mami ne saqti se kaha tha ke wo Faiza ke qareeb nahi jayega. Khaas kar Arshia ki maujoodgi me toh bilkul bhi nahi isliye Shafiq bhi ek nazar Faiza ko dekh kar apne kamre me chala gaya aur Arshia bhi ussi ke picche chali gayi.

"Jab mamu ne kaha ghar chodh dunga toh munh me ladoo le kar kyun baithi thi. Boldeti ke ghar jaana hai." Mami ne gusse ne kaha.

Faiza khamosh thi kuch nahi boli jisse mami ko aur bhi gussa aagaya. Unhone Faiza ka gusse se haath mod diya aur boli, "doobara kabhi aayi tum yahan toh sirf apne shohar ke saath aana warna nahi. Agar tum usse ladai karke ya bina paise liye yahan qadam rakhne ka soch rahi ho toh dekhna mujhse bura koi nahi hoga."

Faiza ke dard se aansu nikal rahe the lekin wo khud pe qaabu karne ki koshish kar rahi thi.

"Tumhara ghar ab wahi hai toh yahan mat aana doobara. Mujhe tumhari manhoos surat bilkul pasand nahi hai samjhi aur khaas kar tab jab Arshia iss ghar me ho." Mami ne gusse se usse dhakka de kar kaha.

Faiza achanak se giri aur sar sofe ke kone se laga. Uske maathe se khoon jaane laga. Wo dard me sar pakad kar siskiyon se rone lagi.

Mami uske pass gayi aur usse utha kar boli, "Khudko sambhaalna toh ab tk nahi aaya hai na? Jahan dekho wahan girti rehti ho. Giri hui kahin ki."

Faiza ko dard me kuch samajh nahi aa raha tha wo bas apni awaaz ko rok kar aansu baha rahi thi. Uska haath apne maathe pr tha aur dusre se apne pehle haath ki kalai pakdi thi jo mami ke modne se laal hogayi thi.

"Mai aakhiri baar keh rahi hoon. Jis din nikah hua uss din se tumhara humse koi talluq nahi hai. Agar tum paise laa sakti ho toh Shafiq ki shaadi me aana jo agle hafte hai warna koi zarurat nahi yahan qadam rakhne ki aur agar tumse koi iss chot ke baare me puche toh kehna khud hi girr gayi thi khaas kar apne mamu aur Fardan se. Agar tumne Fardan ko ya apne mamu ko sach bataya toh tumhari khair nahi." Mami ne phir se jhatke se Faiza ko dhakka diya jisse wo ladkhadate hue girne lagi the ke usse kisi ne apni baahon me thaam liya.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now