Shakk Ke Saaye

23 3 0
                                    

Faiza saari raat Fardan ke baaton pr sochti leti rahi. Fardan gehri neend me sukoon se so raha tha. Faiza ko bilkul samajh nahi aa raha tha Fardan ka asli chehra kaunsa hai. Jab Tahajjud ka waqt hua toh wo uth kar namaaz padhne chali gayi.

"Ya Allah mai nahi jaanti kaun kaisa hai... Mera apke siwaye koi sahara nahi... Aap waqif ho mere har haal se. Please aap mujhe apne hifz o amaan me rakhna aur agar wo galat hain toh mujhe unse durr rakhna. Mai chahti hoon aap unhe seedha raasta dikha dein. Mai ye shaadi tod kar jaa nahi sakti Allah. Aap unhe sudhaar dijiye. Please Allah mera aap hi toh sahara ho meri ye dua sun lijiye." Faiza roti hui dua maang rahi thi. Wo bahot der se bas Fardan ko sahi raah pr laane ki Allah taala se minnat kar rahi thi.

Fardan iss baat se anjaan bahot sukoon se so raha tha. Jab Faiza ki dua hui toh wo uth kar Fardan ke pass aa kar baith gayi. Wo usse dekhti hui sochne lagi shayad jo bhi usne call pr suna wo uski galat fehmi ho isliye usne socha ke iss baare me wo seedha seedha Fardan se hi puch legi phir jo hoga dekha jayega.

Fajr ka waqt hua toh wo namaaz padhne ke liye chali gayi. Fardan ki aankh khuli toh dekha Faiza namaaz padh rahi thi toh wo bhi fresh ho kar masjid ki taraf chala gaya.

Fardan jab namaaz padh ke wapis aaya toh Faiza quraan le kar kamre ki balcony me baithi thi. Wo zor zor se tilawat kar rahi thi. Jab Fardan ko dekha toh ye aayat padhne lagi aur saath hi uska tarjuma bhi karne lagi.

Surah Al-Ma'idah (5:32):

(I don't want to write Quranic Aayats that's why I've just given the translation. Imagine as if she's reciting in Arabic and then translating it for him.)

Note: It's not a purely religious based book. I just wanted to add this. Don't spread hate against other religions.

Translation:

"Issi wajah se humne Bani Isra'il par likh diya tha ke jisne kisi ko baghair badle ke ya zameen mein fasaad (phelane ke jurm) ke baghair qatal kiya to goya usne tamam insaanon ko qatal kar diya, aur jisne kisi ko zindagi bakhshi to goya usne tamam insaanon ko zindagi bakhshi. Aur yaqeenan unke paas humare Rasool wazeh dala'il ke saath aaye, phir bhi un mein se bohot se log us ke baad bhi zameen mein zyadti karte rahe."

Fardan muskura kar Faiza ko dekhne laga. Uski awaaz bahot meethi thi aur uske munh se quraan ki tilawat sun kar usse apne maa ki yaad aagayi jo usse bachpan me roz Fajr ke baad quraan ki tilawat karwati. Wo bahot der wahin thair kar usse dekhta raha aur wo baar baar ek hi aayat dohrati rahi.

Faiza jab quran padh kar uth gayi toh Fardan uske pass aa kar puchne laga.

"Tabiyath kaisi hai?"

"Ji Alhamdulillah." Faiza ne bina Fardan ko dekhe jawab diya.

"Sar dard ho raha hai?" Fardan ne sawaal kiya.

"Nahi. Wo bas galti se thodi si chot lagi thi." Faiza boli.

"Galti se lagi thi ya kisi ne lagayi thi?" Fardan aankh chadha kar puchne laga.

"Kya matlab?" Faiza hairaan ho kar puchne lagi.

"Kuch nahi tum agar acha mehsoos kar rahi ho toh college jao warna kal se chali jaana." Fardan uss ke sar pr lagi patti ko haath se halka sa sehla kar bola.

"Mai theek hu bilkul." Faiza ne jawab diya aur bina kuch sune nicche khana banane chali gayi.

Fardan ko Faiza ki iss harkat pr hasi aayi. Ek wo tha jiske aage sab chup rehte aur har waqt aakhiri baat ussi ki hoti lekin sirf Faiza thi jo hamesha usse anjaan maar ke apni baat keh kar chali jaati. Wo muskurata hua taiyyar hone ke liye chala gaya. Sab mil kar nashta karne lage aur phir Fardan unhe college le jaane laga.

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now