part 1 : The Intro

33 3 1
                                    

Subha ke 8:00 baj chuke the aur ek Devi jinki umar lagbhagh 50 saal ki hogi, madhur swar mein Aarti gunguna rahi thi. Uske sunne par, side wale kamre mein soye hue ek 25 saal ke yuva ladka aankhein kholta hai aur paas ke mez se haath badhakar apna mobile uthata hai aur chalane lagta hai.

Kuch samay ke baad uski kaanon mein ek pyari si awaaz aati hai, "Urjit beta, uth gaye ho. Chaliye jaldi se fresh ho jaiye, main chai bana deti hu."Urjit, jo apne phone mein busy tha, apna dhyaan apni mummy ke chehre ki taraf modkar ek pyari muskaan ke saath "Ji, mummy"bolkar washroom ki taraf chala jaata hai.

Urjit ka poora naam "Urjit Singh"hai, wo apni mummy "Anjali Singh"aur chhote bhai "Shivansh"ke saath ek 3BHK flat mein rehta hai. Urjit ke pita "Captain Vikram Singh"Indian Army ke officer the, jo 6 saal pehle ek antankwadi hamle mein shaheed ho gaye the. Urjit ke maa-baap ki shaadi love marriage thi. Uske pita, jo Bihar ke Siwan zila ke nivasi the, unhone apne parivaar ke khilaaf jaakar ek anath ladki se shaadi ki thi. Jab Vikram Singh ki posting kisi senior Army official meet ke karan Banaras mein hui thi, wahi unki mulaqat Anjali se hui. Wo ek anathalayi "Love Angle"mein pali badi aur wahi pe apne se chhote bachon ko ab padhati thi.
Jab Vikram apne senior officer ke saath "Love Angle"mein donation dene gaye the, tab unhone Anjali ko pehli baar waha bachon ko padhte hue dekha. Vikram ne pehli nazar mein hi Anjali ko apna dil de baitha. Phir kya, har dusre din Vikram kabhi gifts lekar, kabhi padhai ke liye books aur stationery lekar pahunch jaata tha bachon ke paas. Pehle to Anjali ko kuch samajh nahi aaya, par dheere dheere usko mehsoos hua ki Vikram usse pasand karta hai. Dono ke milne ka silsila aise hi aage badhta gaya aur kuch hi dino mein dono ki achhi dosti ho gayi.

           Time ke saath Anjali ko v Vikram pasand aane laga aur jab ye Vikram ko mahsus hua, to usne apne dil ki baat jald hi bayan ki. Wo Anjali se shaadi karna chahta tha aur ye baat usne khul ke samne rakhi.

Anjali ka to waise koi nahi tha, par "Love Angle"ki head "Mrs. Janki Mishra"ko wo apna guardian maanti thi, jo ek businesswoman ke saath-saath ek achhi insaan bhi thi. Anjali aur Vikram ne bina kisi deri ke saari baate Janki ji ko batayi aur unse shaadi karne ki permission maangi. Janki ji Anjali ko apni beti jaisi maanti thi, isliye unhone thoda sa samay maanga aur Vikram ke baare mein jankari jutane lagi.

Kuch hi dino mein unki saari queries poori hone ke baad unko vishwas ho gaya tha ki Vikram ek achha insaan hai aur acchi tarah settled hai, jo Anjali ko khush rakhega. Bas unko thoda sa dar Vikram ke mata-pita ko lekar tha, jo ek conservative soch ke the aur Anjali ka anath hone ke karan shayad wo usse apni bahu ke roop mein svikar na kare. Aur unki yeh baat kahi na kahi sahi bhi thi.
Jab Vikram ne apne gharwalo ko apni aur Anjali ki shaadi karne ki ichha ke bare mein bataya, to uske pitaji ne saaf-saaf inkaar kar diya. Phir Vikram, na chahte hue bhi, apne gharwalo ke khilaaf jaakar Anjali se shaadi ki. Is karan Vikram ke pitaji ne usse apne saare rishte khatam kar diye aur baaki parivar ke sadasyon ne bhi unki baat manni nahi pari.

    Kuch hi saalo main Vikram ne Patna main hi ek 3 Bkh flat kharid liya aur Anjali ke saath apni baaki zindagi bitane lage. Vikram ki posting hamesha se India ke har kone main hoti thi, par wo 2-3 mahine main kam se kam 7 se 8 din ke liye ghar aata tha. Wo Army main mile har suvidha ke bawajood apni family ko civilian life dena chahta tha, isliye usne aisa karna sahi samjha.

Sab kuch acha chal raha tha, par 2016 main ek din Anjali ki duniya ek phone call se palat gayi jab use pata chala ki Vikram ka J&K main huye antankwadi hamle main jaan chali gayi hai. Tab se wo apne dil ko majboot karke apne bachon ko hi apna zindagi bana liya.

"Mummy Chai"Urjit ke awaaz se Anjali apni khayalon se bahar aayi aur boli "Bas ek minute beta". Kuch hi der mein gate se Shivansh enter hota hai jo apni U.P.S.C ki coaching se wapas aaya tha. Dono bhaiyon mein 4 saal ke antar hone ke karan Shivansh na sirf apne bade bhai ki izzat karta balki darta bhi tha. "Mummy mujhe bhi kuch do naa khane ke liye chai ke saath"Shivansh apni mummy se bol kar washroom mein fresh hone chala jata hai. Kuch hi der mein dono bhai dining table par baith kar chai ke saath aloo ke parathe kha rahe the jo Anjali ne garam garam bana kar laye the.

"Kaisi progress kar rahi hai tumhari shiksha Ansh,"Urjit ne padhai ke baare mein poocha jab dono ek nivala kha rahe the. "Bahut achi tarah se ho rahi hai bhaiya.""Hmmm,"Urjit sir hila kar kehta hai. Urjit kam bolne wala vyakti tha, kaam ko mahatva deta aur hamesha gambhir chehre se ghoomte tha. Usse padhne mein vishesh ruchi thi, visheshkar itihas aur puranik kathaon mein. Uska hotelier hone ke karan hamesha gambhir rehna uske naukri ke liye accha nahi tha, par ve apne emotions ko acchi tarah se niyantrit kar leta tha. Uska shift time dopahar ke 2 baje se raat ke 11 baje tak chalta tha. Assistant Restaurant Manager hone ke karan har din restaurant band karne ke baad hi apne ghar jaate the.

Nashta khatam karne ke baad, dono bhai apne kamron mein chale jaate hain. 3BHK flat hone ke karan, total 3 kamre hain jinme attached bathrooms hain, ek bada sa hall jisme ek taraf open kitchen aur dining area hai aur doosri taraf chhota sa mandir hai, beech mein baithne ka sthal hai. Vikram ke officer hone ke karan, in logon ki arthik sthiti theek thi. Anjali ko pension milti thi jo ghar ko araam se chalne mein madad karti, upar se jab Vikram shaheed hua to sarkar se mila financial support Anjali ne apne bachon ke padhai ke liye jama kar diya jo baad mein Urjit ke kaam aaya aur ab Shivansh ke.Thodi der baad doorbell baji, jisse Anjali ko pata chal gaya ki unki maid "Maya"aa chuki hai. Har roz 9 baje tak aane wali Maya ghar ki safai aur bartan dhone mein Anjali ki madad karti thi. "Maya, aap aa gayi, jaldi se ghar saaf kar ke pochha laga kar dijiye, tab tak main kapde dhone ke liye washing machine mein daal deti hoon.""Ji Amma,"Maya ne kaha aur apne kaam mein lag gayi.
Shivansh ka Gradutation complete ho gaya tha aur usne distance se Master's karne ke liye "Nalanda university"main admission ke liye apply kar diya tha. Saath hi apne U.P.S.C ki tayariyo main lag gaya tha aur isliye Subha aur saam ko coaching centre v join kiya huwa tha. Usne maan bana liya tha ki wo ek kabil Police Officer banega.

"Mummy main Nikal raha hu"jaise hi Urjit ki awaaz Anjali ke Kanno main pari to wo piche muri aur dekha ki roj ki tarah unka bada beta apne job uniform pehn ke ready hai. "Thik hai beta aache se jaa"itna hi Anjali ne bola jisse sunn ke Urjit sir haa main hila kar sidha gate ke pas rakhe shoe rack se apna formal shoe nikal kar pehna aur sidha niche lift ke sahare Parking main pohoch gaya. Jis Building main Urjit apne family ke saath rahta tha wo ek 10 manjila imaarat thi jiske ground floor pe haar kisi ke liye parking thi.
Ground floor per pohoch ke Urjit ne helmet pehna apni "Apache 160"ko jaldi se start kar ke nikal gaya patna ke Gandhi maidan jaha pe uska Reataurant "tasty treat"tha.

Urjit : Born of a Super HeroWhere stories live. Discover now