Location :- City Hospital
Subha ke 4 baj chuke the aur Anamika abhi tak E.R ke bahar bench par baithi hui thi, uske godh mein 2 saal ka Abhimanyu gehri neend mein tha. Thodi hi duri par diwaar ke sahare Urjit bhi khada tha aur jab Anamika ki nazar Urjit par padi to wo Abhimanyu ko bench par sulakar uske paas aage badhi.
"Thank you mere bhaiya-bhabhi aur Abhimanyu ki sahayata ke liye. Agar aap sahi samay par sahayata nahi karte, to pata nahi kya hota,"Anamika ne Abhimanyu ki taraf dekhte hue kaha.
Urjit, jo apne vichaaron mein vyast tha, Anamika ko apne paas khada dekhkar khud ko seedha khada kiya aur Anamika ke shabdon ko dhyan se sunne laga, "Koi shukriya ki avashyakta nahi hai, maine sirf insaniyat nibhai hai."Anamika ki ore dekhte hue Urjit ne kaha, "Par aajkal har koi itni insaniyat dikhane ke liye taiyar nahi hota."Anamika ki baat kahi na kahi sahi thi aaj kal ke dhikkar dene wale duniya mein aise Urjit jaise vyaktiyon ki sankhya kam thi."Excuse me, kaun E.R. patient ke saath hain?"Nurse ki awaaz se dono ka dhyan uski taraf gaya aur Anamika aage badhkar boli, "Ji, main.""Kripya ja kar Dr. Rupam ke cabin mein mil lijiye, unhone patient ke baare mein baat karne ke liye bulaya hai."Itna kah kar nurse phir E.R. mein chali gayi.
Anamika ne bench pe so rahe Abhimanyu ko apne godh mein uthaya aur kuch kadam aage badhne ke baad ruki aur piche mud kar dheere awaaz mein poocha, "Kya aap mere saath chalenge?"Anamika ko ab kisi sahayak ki avashyakta thi aur usse ab vishesh roop se fark nahi pada ki samne wala vyakti koi anjaan aadmi hi kyun na ho jiska naam tak usse pata na ho, par usne wahi kiya jo uska dil usse kah raha tha.
"Urjit","Ji?" Anamika sawaliya Nazro se pucha."ji mera naam", "ooh aur mera naam Anamika rai hai"Anamika ne v apna naam batate hue bola aur dono Dr. Cabin ki taraf badhne laage.
Kuch hi der main dono Dr.Rupam ke cabin main unke samne baithe hue the aur unke bolne ka intezaar kar rahe the. Dr. ne apne table rakhe reports ko bade hi jaur se dekh kar ek gahri sans li aur bole "Dekhiye miss, aapke bhai ki sthiti behad gambhir hai. Humne surgery ki koshish ki, lekin khoon ki kami ke karan wo sambhav nahi hua. Aur mai afsos ke sath yeh kehna chahata hoon ki ab unke liye jyada samay nahi bacha."Dr. Rupam ne yahi kaha tha ki Anamika ke aansu phir se behne lage. Anamika ne naam ankho se aage kaha, "Kya main ek baar unse mil sakti hoon?"Dr. Rupam ne uski darkhwast sunte hue kaha, "Main abhi Nurse ko inform kar deta hoon,"aur fir apne intercom se nurse ko bulaya.Thodi der ke baad, Anamika ko mask pehnakar ek Nurse usko E.R. mein le gayi. Jab Anamika bed ke paas pahunchi, uske aansu phir se behne lage. Uske bhai ki halat dekh kar uski rooh kaanp gayi. Wo kuch soch pati, tab screen par ek lambi beep ke sath flat line dikhai di, aur usne samjhte der nahi lagi ki uska bhai ab iss duniya mein nahi hai. "Bhai!"wo jor se chilla kar rone lagi. E.R. ke bahar khada Urjit, jiske godh mein ab Abhimanyu tha, usko samajhne mein der nahi lagi ki andar kya ho raha hai.
Kuch hi samay baad E.R ke bahar S.I Anil Yadav bhi pahunche aur unhe turant pata chala ki doosre patient ka nidhan ho chuka hai. Thodi der pehle unhone apne senior, S.H.O Pandey ko yeh haadse ki jaankari di thi aur aage ki karyavahi ke liye unhe thane jaana padega.
Thoda samay baad, do Nurse ne Anamika ka dhyan rakha aur use bahar ke bench par bithaya. Wahi par khada Urjit bhi uske paas aaya aur kaha, "Anamika ji, aap apne aap ko sambhalen, Abhimayu ki aapko zarurat hai, dekhiye wo uth gaya hai."Anamika ne sunte hi apna haath aage badhaya aur Urjit ne Abhimanyu ko Anamika ke pass diya, phir wahi khada ho gaya.
Anamika ke upar toh lag raha tha jaise ek pal mein musibaton ka pahad toot gaya ho. Aur bechara bacha samajh hi nahi pa raha tha ki uske saath abhi kya kya hua hai.
Aise hi kuch samay ke baad S.I Anil Yadav Anamika ke paas aakar bole "Anamika ji, yahaan thoda samay lagega kyunki post-mortem abhi baaki hai. Agar aap chahein to apne ghar chaliye, main aage ki prakriya ko poora karke bodies ko aapke Ghar par le aunga."
Urjit ko v ye baat sahi lagi aur isse pehle ki Anamika inkaar karti wo bola"Anamika ji Anil Sir thik bol rahe hai atleast baby ko yaha rakhna thik nahi hai". Dono ki baat sunn kar Anamika ne bujhe maan se sir haa main hila diya aur apna address aur details S.I Anil Yadav ko De kar wo City Hospital ki exit gate ke taraf badhne laagi jaha uska driver car lekar khada tha. Urjit v Anamika ke jane ke baad apne ghar ke taraf nikal gaya.
Location :- Urjit House
Subha ke 6 baje Urjit apne Ghar ka door bell bajata hai aur kuch hi der main uski maa Darwaja Kholti hai. "Aagaya tu?"Anjali itna bol ke apne bete ko dhyan se dekhti hai. "hmm"bujhe maan se Urjit jawab dekar apne kamre mein jane lagta hai. Aavi wo apne kamre ke gate par pohoch hi tha ki uski maa bol pari "Kya baat hai Urjit kuch huwa hai kya?". Itna sunna tha ki Urjit jo aavi tak apne andar chal rahe tufaan ko dabaya huwa tha Ashu baan ke nikalne laga.
USki mummy ko samjhte time nahi laaga ki jaroor koi badi baat hai "Kya baat hai beta apni maa ko nahi batayega". Itna sunn kar wo apne mummy ke gale lag ke khud ko shaant karne laaga aur kuch hi der main usne saari baate apni mummy ko bata diya.
"I am sorry mummy maine apse jhoot bola"Urjit ye bol ke apna sir thoda niche kar leta hai. Ye dekh kar Anjali ek choti si muskaan laa kar dhire se bolti hai "Koi baat nahi beta tune isliye jhooth bola q ki tu mujhe pareshan nahi dekha chahata tha isliye mere ko bura nahi laaga". Itna bolna ke wo apne bade bete ke bare main sochne lagi ki kaise wo kisi ko v dhuk main nahi dekh sakta tha aur uska dil kitna saaf tha.
"Aacha chalo aab tum fresh ho ke toda aaram kar lo"itna bol ke usko uske kamre main jaane ka ishara kiya. Urjit raat ke ghatna se thaka huwa tha aur wo v sona cahta tha isliye Apne senior ko massage ke through infrom kar diya ki wo aaj duty nahi jaa payega.
Dophar ke 1 baje Urjit ke phone ki Ganti bajne se uski neend khuli aur kisi anjaan number Dekh kar pehle to usne ignore kiya par jab dubara se Ring baja to wo adhi neend main hi phone receive kar ke "Hello"bola. Dusri side se vyakti ki awaaz sunn kar uski neend jhat se gayab ho gayi "Hello Mr. Urjit main budha colony se S.I Anil Yadav bol raha hu kya aap aavi Police station aasakte hai kal raat wali case main kuch information chahiye thi?".Itna suna tha ki usne "thik hai"keh kar call kat di aur tazi se washroom ki taraf bhaga. Kuch hi der mein woh tyar hokar bahar aaya aur apni maa ko dhoondhte hue unke kamre mein gaya jo waha baith kar TV dekh rahi thi. Urjit apni maa ki taraf dekh kar bola, "Mummy, main police station ja raha hoon kal raat wale case ke bare mein unko kuch information chahiye"aur itna keh kar jaise hi woh jaane ke liye aage badha, Anjali peeche se boli, "Ruko, pehle kuch kha lo uske baad jana aur main naa nahi sunna chahti."Urjit ko pata tha ki uski maa bina kuch khilaye usse jane nahi degi, isliye woh chup chap apni maa ki baat maan kar dining table ke chair ko aaram se kheench kar baith gaya.
YOU ARE READING
Urjit : Born of a Super Hero
FantasyWhenever there is a decline in dharma or righteousness and there is an increase in misdeeds, either he will take form on Earth or empower someone to eradicate it.