Location :- Budha Colony Police station
Urjit jaise hi Police Station pohocha wo idhar udhar Anil Yadav ko dhudh ne laga. Urjit :-" Sir S.I Anil Yadav ji kaha milenge?" Ye baat ussne samne khade ek constable se pucha jab usse Anil Yadav nahi dikhe.
constable :- "Sir aavi aate hone tum baitho yaha pe". Constable samne bench ki taraf ishara karte hue bolta hai.
Kuch hi der main S.I Anil Yadav Gate se andar aake apne desk ke pas rakhi chair pe baithe hai. Todi der main wahi constable unke pas jaake bolta hai
Constable :- "Sir wo ka raat ke hit and run case wale eye witness ladke ko apne bulaya hai wo agaya hai" aur Urjit ke taraf ishara karta hai.
Jaise hi S.I Anil Yadav ki Nazar Urjit par parti hai usse isharon se apne desk ke pas bulta hai aur phir constable ke taraf dekh kar aage bolta hai. S.I - "Thik hai tum jaa kar R.T.O se jitne v Blue colour ki BMW Patna aur uske aas pas ke zilo main registered hai uski information nikalao"
Constable :- "Ok sir" bol kar waha se R.T.O ke liye nikal jaata hai aur idhar Urjit v aake Anil Yadav ke desk ke opposite main rakhi chair per baith jata hai.
S.I :- "So Mr. Urjit jo v tumne details di hai usse saaf pata chalta hai ki ye hit and run case hai. Phir v Police baki sari Angle v search kar rahi hai q ki Mr. Rajeev Rai chapra Dist. Court main ek criminal Lawyer the aur kal apni bhen Miss Anamika ke pas ghumne aaye the." Itna bol kar wo Urjit ke faces ko notice karne lage. Waise to unko andar se feeling thi ki kal raat ko jo v huwa hai usmain samne baithe ladke ki koi Galti nahi ho sakti. Phir v wo apne police duty ke karan choti se choti chiz ko observe karna unka farz tha.
Urjit :- "Par sir wo itni raat ko uss road pe bina kisi helmet ko kar kya rahe the?"Urjit ke iss Sawal se Anil Yadav ne notice kiya ki wo aavi v kuch soch raha tha
S.I :- "Wo apne Wife ke zidd ke karan raat ko Gandhi maidan main lage Disney mela Ghumane leke gaye the aur helmet q nahi pehna tha ye to wahi baata sakte hai jo aab iss duniya main nahi rahe" Itna bol kar Anil Yadav ne apna sir hilate hue aage maan main hi socha ki "kaas wo dono helmet pehne hote to aaj wo zinda hote."
Urjit:- "Sir wo car ke bare main kuch pata chala ki kiski thi yaa kon chala raha tha" Urjit baat ko aage badhte hue pocha.
S.I :- "Ye jitna asaan soch rahe ho Mr. Urjit utna easy nahi hai police apna kaam kar rahi hai tumse jitna pucha jaye utna jawab do" Anil Yadav ne ye baat todi ucchi awaaz main boli.
Urjit : - "Sorry sir main bas janna chata tha meri intention apko hurt karne ki nahi thi" Urjit ki baat sunn kar Anil Yadav ko kal raat se aavi tak ki saari baate dimag main Ghumne lagi aur unhone akhir ye sawal puch hi liya.
S.I:- "Ek baat bolo tum victim ko yaa uske family ko pehle se jaante ho kya q ki jis hisaab se kal aur aaj tum behave kar rahe ho mujhe aisa q lag raha hai ki tum unlogo ko jante ho. Dekho jhoot maat bolna" Itna bol kar wo Urjit ko Aakhe badi kar ke intimidate karne laage.
Urjit:- "Nahi sir Main naa to victim ko janta hu aur na hi uski family ko. Mai to bas wahi kar raha hu jo ek insaan ko karna chahiye jab uske samne aisi paristiti ho. Haa mana ye aaj kal ke society main toda kam ho gaya hai par maine wahi kiya jo mujhe sahi laga aur main aage v wahi karunga".Urjit ki baat sunn kar S.I Anil Yadav ke Ankhe todi soft ho gayi aur ab wo sure ho gaye the ki samne baitha ladka sach main ek bohot hi sujhala aur samajhdaar insaan hai.
S.I:- Thik hai main tumhari baat maan leta hu. Aab main nikalta hu mujhe victim's ki body leke Miss Anamika ke ghar v jana hai" Itna bol ke wo apne chair se khade hue aur phir kuch soch kar bole "Kya tum v chalna chahoge?". Urjit ko pehle to kuch samajh nahi aaya ki wo kya jawab de par uski khamoshi S.I Anil Yadav ko Samajh aagayi thi aur wo phir se thoda jor de kar bole"Tum chaloge to sayad tumhara maan halka ho jaye." Urjit ko v ye baat thik lagi aur usne sir haa main hila diya.
Location :- Rai Niwas ( Anamika's Home)
Jaise hi Ambulance dono victim's ke body ko leke main gate se entry hote hue portico main pohochi waha kuch log phele se hi khade the jis main sabse aage Anamika thi. Kuch hi der main S.I Anil Yadav aur Urjit v pohoch jaate hai waha.
Rai Niwas ki maano ronak hi khatam ho gayi thi aur ho v q na akhir do family member ka death huwa tha.Dhire Dhire Antim sanskaar ki tayariya v hone lagi aur kuch hi Ganto main Anamika ke kuch male relatives Abhimanyu ko apne saath lekar Samsaan ki taraf nikal pade aur saath main Urjit aur Anil Yadav v.
Location:- Ganga Ghat Samshaan
Kuch hi der main do Sharir Panchtatwa main vilin ho gaye aur dhire dhire karke sabhi log apne apne ghar nikal gaye. S.I Anil Yadav v Urjit ke taraf Dekh kar puche "Wapas Rai niwas Chalna hai mujhe todi Anamika ji se baat karni hai" Urjit v chalne ka ishara karta hai.
Locaton :- Sitting Area Rai Niwas
S.I:- "Anamika ji jo v huwa uska mujhe bada dukh hai par kya aap mujhe baata sakti hai app ka ya phir appke bhai ka koi dushmaan jo aisa kar sakta hai". Itna bol kar wo samne sofe per baithi Anamika ko dekhta hai aur phir apne side main baithe Urjit ko.
Anamika :- Ji aisa to mujhe kuch yaad nahi par mera bhai ek criminal lawyer the unhone kayi sare mujhrimo ko Sajaa dilwayi thi. Kya apko aisa lag raha hai ye accident nahi koi Murder hai? Anamika ye baat S.I ko dekh kar bolti hai. Ek bussiness women hone ke karan S.I ke baat ka matlb samjhte usse jaada der nahi lagi.
S.I:- "Anamika ji aavi kuch nahi kaha ja sakta but police har angle se iss case ko dekhna chahti hai. Agar apka permission ho to kya apke bhai ke collegue ya assistent ka number mil sakta hai jisse police ho toda help mile". S.I ke answer se setisfied hoke Anamika apne bhai Rajeev ke assistent ka phone number Usse de deti hai.
Aab Anamika ka focus S.I ke side main baithe Urjit pe jaata hai aur isse phele ki wo kuch bole,Urjit khud hi khada ho ke bolne lagta hai.
Urjit:- "Anamika ji jo aap pe bith rahi hai wo apke siwa koi samajh nahi sakta phir v main Bagwaan se prathna karta hu ki ye dukh ke din jaldi hi apke aur Abhimanyu ke life se chali jaye" Urjit ki baat sunn ke Anamika aur S.I Anil Yadav ko todi Hairani hoti hai ek Anjaan admi kisi dusre ke liye itni aachi soch kaise rakh sakta hai,aise log duniya main aab bohot kaam bache hai.
Anamika:- "Thank you Urjit ji kal ke liye v aur aaj yaha aane ke liye".
Urjit:- Thank you ki koi jarurat nahi maine phele v apko bola tha ki maine wahi kiya jo mujhe sahi laga".
S.I:- Aab humain chalna chahiye Anamika ji aur jaise hi kuch information milegi kindly aap mujhe share kijiyega. Itna bol kar S.I Anil Yadav aur Urjit sofe se uth kar khade hote hai aur gate ki taraf badhte jaate hai.
Dono ke jaane ke baad Anamika kal se lekar aavi tak hui saari Ghatnao ko phir yaad kar ke Rone lagti hai par todi hi der main usko Urjit ki kal raat wahi baat yaad aati hai jab wo bola tha"Anamika ji sambhaliye apne aapko aavi iss bache ko sabse jaada aap ki jarurat hai".
Wo apni Ankhe kholti hai aur Hall main bane washroom ki taraf badhti hai. Kuch hi der main wo fresh hoke Abhimanyu ke room ki taraf kadam badha deti hai.
YOU ARE READING
Urjit : Born of a Super Hero
FantasyWhenever there is a decline in dharma or righteousness and there is an increase in misdeeds, either he will take form on Earth or empower someone to eradicate it.