MARRIAGE ANNIVERSARY

407 79 29
                                    


Haseena baby boy ko pakad leta hai.. aur baby ko dekhne lagta hai...

Haseena ke aakho se aasu aane lagte hai....

Haseena with tears - maa...mera baby hai.

Pushpa ji with a smile - ha hasu tumara hi hai.

Yaha Karishma aur Santosh ke aakho se bhi aasu aane lagte hai.

Haseena with tears -  maa mujh..e dekh..kar muskura raha hai.

Pushpa ji with tears - ha beta.

Haseena with tears - bohot cute hai mera baby...

Haseena baby ko leke bed par baith jata hai. Aur baby ke sath kelne lagta hai...

Pushpa ji Karishma ki taraf dekh kar smile karti hai..

Pushpa ji - hasu me sone ja rahi hu.

Haseena - ji maa.

Santosh bhi vaha se chali jaati hai...

Karishma sirf haseena ko adore kar rahi thi... aur smile kar rahi thi...

Karishma in mind - aap bohot achhe hai haseena. Pata nahi kese me aap ko bohot kuch bol baithi.

Haseena in childish voice - ale mela baby kya hua..papa she naraz ho...

Baby haseena ki finger apne muh me leta hai..

Haseena - Karishma shayad ise bhuk lagi hai..

Karishma apne khayalo se bahar aati hai aur baby ko apne lap me leti hai..

Karishma - kya hua? Bhuk lagi hai..

Ye keh kar Karishma baby ko breastfeeding karne lagti hai aur haseena room se bahar jane lagta hai.

Karishma - aap kaha ja rahe hai?

Haseena Karishma ki taraf bina turn hue bolta hai.

Haseena - bahar.

Karishma - bahar kiyu ja rahe hai?

Haseena - aap baby ko...

Karishma - koi baat nahi haseena aap reh sakte hai room me.

Haseena - nahi me thodi der me aata hu.

Itna keh kar haseena room se bahar chala jata hai.

Karishma - tumare papa bahar gaye hai thodi der me aa jayenge.

Kuch der baad haseena room me aata hai aur dekhta hai ki baby so gaya hai aur Karishma baby ke left side me half lying position me baith kar book padha rahi hai...

Haseena door lock karta hai aur sofa par baith jata hai Karishma haseena se kehti hai.

Karishma - haseena yaha soyiye na.

Haseena - nahi me yahi thik hu.

Karishma - aap kiyu itni jid kar rahe hai?... please aa jaiye na. mere liye nahi to baby ke liye.

Haseena kuch nahi bolta hai aur pillow leke bed par right side me let jata hai...

Karishma - thank you.

Haseena - ab aap bhi so jaiye...aap ko aaram ki bohot jarurat hai.

Karishma - ji. Good night.

Haseena - good night

Ye keh kar Karishma book side me rakhti hai aur lights off karke let jati hai... haseena bhi apni aakhe band kar leta hai..

Hume Bhi Pyaar Hua ❤️Where stories live. Discover now