Chapter 19. A Small Memoir From Past (II)

3 2 0
                                    

Rakshit was looking towards moon from the window. He was feeling uneasy as somebody knows what he is going through. He didn't know how to react. It looks like he was happy to know that somebody is there.

He again took the letter and started reading.

" Mujhe nahi pata ki kya chal raha, aage kya hoga lekin un cheezon ke baare me socho jo tum karna chahte ho. Maybe a loud laughter, ya phir a sweet smile. Ye bhi nahi to..... To shayad barish me football khelna ya phir kisi ke ghar ke ghanti baja kar bhag jana. School se bunk maar kar movie dekhne jaana ya phir ek baar class mass bunk maarna. Apne favorite gaane per sadak ke beech me dance karna ya phir apni bhaddi si awaz me gana gana. Zindgi ko ek baar mauka to do. Mana cheeze abhi bhut jyada kharab lag rahi hai,shayad isse bhi kharab ho lekin, ye andhera khatm hoga, aur phir ek umeed ki kiran dikhai degi. Kiran ladki wali nahi  Ray of hope.  I know bad joke, Theek hai. Jab tak hum dobaara nahi milte kuch socho ki kya karna chahate ho tum . Phir milkar discuss karke. Umeed hai hum milenge zaroor.  aur apna naam bhi to batana hai mujhe aur tumhara naam janna bhi hai .
       YE WAQT HAI NIKAL JAAEGA  "

Ye sab padhkar uske chehre per ek smile aagi. Joki shayad kaafi time baad aai thi. Use laga koi to hai jo shayad uske chhupe hue dukh ka ehsaas kar paa raha hai. Usne ek mauka dia ua letter me likhi har ek baat ko .

FLASHBACK ENDS.

Rakshit abhi bhi lake per tha. Tabhi kuch log aae.  Aur zor se uska naam pukarane lage.

" Doctor saheb , Are O doctor sahab ."

People : Aur Doctor sahab. Kya haal hai? Aaj akele Shreya ji nahi aai saath me?

Rakshit : Saalo, tum sab na bahut jyda bade wale ho..

They were his school and college friends . Jyada to nahi but 3-4 dost the uske.

Sab apas me baat karne lage. Ek dusre ka haal puchne lage. Tabhi unme se ek ladka Rohit bola.

Rohit : Bhaiiii, pata laga school ka reunion hai.

Rakshit : Na, bhai. Kab hai aur kahan aur kon host kar raha hai?

Rohit : Ek maheene baad hai. Kya baat kar raha hai topper ko ye baat nahi pata.

Abhinav ( another friend) : Bhai ko bass Shreya ke baare me pata hota hai...

Rohit : Hn, yrr. Per ye bata woh kaha hai?

Rakshit : Are uska ek urgent project aagya tha to wo nahi aai.

Abhinav : Kya yrr hamare school ki shaan thi wo. Wo aaegi naa reunion me??

Rakshit : Puchna padega free hogi to aaegi. Per host kon kar raha hai?

Rohit : Yrr, Tu social media per hai hi kyun jab tujhe kuch dekhna hi nahi hota. Paradise hotel aur sabne contri deni hai. Aur aap apne saath apne partner bhi laa sakte hai.

Abhinav : Dost bhi chalega.

Rakshit checked his social media and got to know ki  school ke saare students ne milkar reunion plan kia hai. Wo thoda sa khush tha but agle ni pal kuch yaad karke uska mood badal gya.

Rakshit : Umm.. Agar Shreya naa aae to...

Abhinav : Kya yrrrr. Uske bina maza kaise aaega.

Raj ( another friend) : Kya uss wajah se.??

Tabhi sab chup ho gae. Mahool thoda shant hogya tha. Sirf khaamoshi thi. Tabhi khamoshi ko todta hua Rakshit ka phone baja.

On call....

Rakshit : Hn bol kya hua??

Shreya : Aaj ka din me meri jaan hi nikal gai . Yaad hai wo asthma wali bachi Maanvi.

When Two Stars MeetWhere stories live. Discover now