Ok guys so here is an update... Almost a long one so guys dil khol Kar comments Karna...
And guys thoda help bhi karlo ki should I continue the current track or should change the track.
No proof reading
V: Acha suno bacho mai ek baat puchna chahti hu.. par agar tum log comfortable ho to hi hum uss decision par age badhenge.. thik hai na..
Kabir held Vasundhar's hand and asked
K : Kya baat hai maa.. aap boliye na jo bhi bolna chatee ho..
V : Please sach mai chati hu ki tum log meri baat maan lo par haan ek hi shart pe ki tum log comfortable honge us baat pe to hi agree karenge iss baat par..
K: haan mom par aap bataiye to sahi..
V: Nahi pehle tum dono promise to karo muje..
K: Acha baba promise karta hu..
Vasundhara looked at Nisha for a reply..
Nisha was a bit hesitant but soon she chuckled at her thoughts and said
N: Haan maa aap boliye to sahi.
V: beta vo ye sab hone me baad na muje bahot daar lag raha hai tum logo ko le Kar.. please tum dono humare saath shift ho jao na...
Nisha went a bit silent hearing this and Kabir was in a dilemma on what to do about the same..
He looked at Nisha who was lost after hearing this. So to be free from the current situation he said
K: maa vo sab to thik hai, par kya aap ne bade bhaiya se ek baar iss bare mai baat ki..
V: Haan maine usko puch ke hi ye decision liya hai.. Tum log uski tension mat lo.
K: acha to thik hai, par yaha pe to waise bhi jagah nahi hai, to hum ek kaam karte hai humare ghar mai ek floor construct kar lenge so that hum sab comfortably reh sakte hai...
V: Kabir vo sab hum baad mai decide karenge, par abhi muje koi jawab nahi chahiye, as i want you guys discuss and Nisha ko dekh ke lag raha hai ke vo itni comfortable nahi hai abhi. DEkho maine tum logo ko decision sunaya nahi hai ke beta you have to accept it by hook or crook. Maine pehle hi tum logo se promise liya tha kiagar tum log comfortable honge to hi tum log manoge. So i do not want any hasty decision. And jojo Nisha is your wife you need to consult her always before taking a decision for both of you...
K: Thik hai maa we will discuss and tell you whatever is our decision.
V: Good ab chalo lets have Lunch waise bhi Viraj aaj koi Lakshya Academy ke liye deal karney gaya hai. So tum log muje company de do..
N: Jee maa, aap bethiye mai sab prepare karke aati hu... saying this she left from there towards kitchen to set up a dining table for lunch
As soon as Nisha left from there Vasundhara held Kabirs hand and said
V: Dekho Kabir mai janti hu ki tune muje haan kyu bola hai, par please Nisha agar ek dum sure ho to hi ye decision le lena. Because ye uske liye aasan nahi hoga. Aur ache se disuss karke hi decision lena kyuki mai janti hu ki vo shayad teri khushi ke liye haan bhi bol de par vo comfortable honi chahiye. Tum logo ke rishte mai koi darar nahi aani chahiye.
K: Mom aap tension mat lo, mai sab sambhal lunga.. Aur mai usse ache se discuss karke hi koi bhi decision lunga..
V: Muje pata hi nahi chala mere bacha itna mature bhi ho sakta hai.
K: Kya mom aap bhi na...
Nisha called them to have lunch.. the had a good family time while having their lunch and soon our Nibir left from there to their place...
On their way they were having a silent journey as Both were in their set of deep thoughts on what to do about the situation in front of them.
Kabir's POV
Yaar bhagwan kaisi musibat mai daal diya hai muje, ek baaju muje pata hai ki kahi na kahi Nisha Bade Bhaiya ke saath aaj bhi comfortable nahi hai, vo aaj tak jo bhi kar rahi thi vo sab meri khusi ke liye kar rahi thi.. Aaj bhi vo unse thik se baat bhi nahi kar paa rahi hai, there is always an awkward silence between the both of them.
Aur bade bhaiya kitna bhi kyu na bole unhe farak nahi padta par mai jaanta hu vo abhi bhi iss mai se ubhre nahi hai. Shayad Nisha ko samne dekhenge to chize aur jyada awkward ho sakti hai.
Aur mom, abb unki wish bhi mai puri na karu aisa ho nahi sakta. Pehli baar unhone mujse kuch manga hai. Bhale hi unhone mujse promise liya ho ki mai comfortable hu to hi hum haan bole par mai ye hi janti hu ki unko tension lagi rehti hongi mere bare mai, aur vo hum dono bhaiyo ke saath rehna chahte hai..
Please bhagwan koi rasta dikhao ki mai kisi ka bhi Dil na dukhau is decision ko lene ke liye..
END
Nisha's POV
Yaar ye kya ho gaya, maine kaise ye decision le paungi.. Muje pata hai ki Kabir humesha Viraj Sir ko apne papa ki jagah manta hai. Aur o kitna miss karta hai.Uski khushi shayad saath rehne mai hongi maa ke aur Viraj sir ke saath kyuki vo uska pariwaar hai aur mai uski khushi na mile uska karan nahi banna chahti.
Ab tak chize sahi se jaa rahi thi kyuki muje Viraj Sir se jyada baate nahi karni padti thi.. PAr agar hum unke saath rehne lagenge to bahot awkward ho sakta hai, kyuki maine unhe maaf to kar diya hai par un par bharosa nahi kar payi hu, aur vo shayad apne guilt mai mujse baat na kar paa rahe ho..
Aur maa ki aakho mai maine vo shine dekha tha jaab vo humse ye baat kar rahi thi. Shayad humari khushi ke liye vo hume force na kare par vo bhi shayad Kabir ko miss karti hai.
Kuch samaj mai nahi aa raha.. Kare to Kare kya..
END
Both were in their own world when they reached home. When they entered they were surprised by the Gangwal Cousins Gang..
They were a bit shocked to see them here so Nisha asked while hugging everyone turn by turn
N: are tum log achanak kyu aa Gaye.. ghar pe sab thik hai na.
Jwala: Nishu bro good news hai..
Kabir: good news Mai kuch samja nahi..
Suku : are jiju good news ye hai na ki aaj baby ne kick kiya so hum log celebrate Kar rahe hai..
K: are kya ye sach hai... Muje bhi feel Karna hai Dolly please if you are comfortable..
Nisha hearing this was very happy with her hubby as he first thinks about others comfort...
Dolly: are Kabir isme comfortable kya.. ruko idhar aao... Nishu tu bhi aa...
Both went there and kept their hand on Dolly's tummy and when dolly said
Dolly: ye nishu ko to beats Karna padega...
And immediately there was a kick... Nishu had tears in her eyes..
Kabir saw this and kept her other hand on her shoulder and through eyes just showed a sparkle in his eyes..
Nisha smiled and Dolly and in return Dolly said
Dolly: ye to abhi se hi tere liye pagal hai.. ek word bhi tere against baby nahi sun sakta...
K: well fir to ye pakka mere jaisa hoga par yaar Mai Nishu ko share nahi Kar sakta...
N: kya yaar Mai Teri hi hu...
K: vo to hai...
So guys kaisa laga, ping me whenever you feel so...
Stay blessed stay happy ppl..
YOU ARE READING
Nibir - our life together [completed]
AcakThis story is continuation after nibir confession on the show NAUC. The story is a combination of Hindi and English... Then let's begin the fun ride. Highest ranked #2 in Random..