Apni athkheliyon se, Apni betuki Baaton se,
Apne doston ke beech apni ek chavi banai tumne,
Hum bayaan kaise Karen un chand lamhon ko,
Un baaton ko, un sunehri yaadon ko,
Jo humne tumhare saath betaiyen hain.Yun hi hasi mazaak mein,
Yun hi haste khelte,
Kabhi parwah Nhi ki,
Ki zindgi ke ek mod par
Alag bhi hona hoga,
Apne bhai, apne dost se bichadne
Ka gam bhi sehna hoga.Bahut yaad aayenge wo masti ke pal, tumhare sang,
Wo sari galtiyan karke saare ilzaam tumpar lagaana,
Wo roz tumhara cabinetgiri jharna
Wo tumhe Mota, bhaish, genddi jaane
Kitne naamon se chidhana.
Wo roz tumhari betuki baaton ko sunna.Hamari har naadani ko ae dost maaf Karna,
Jab kabhi hamari yaad aaye to whatsapp par message ya
Call Karne ka kasht Karna.
Balance ki Kabhi chinta mat Karna,
Or na hi balance khatm hone ka Kabhi darr rakhna.Zindgi mein mehfilen bahut sajegi,
Rut aayegi, Rut jayegi,
Mauke to bahut milenge par shayad Dastoor ki kami hogi,
Ab shayad hmaari zindgi mein ek khash dost ki kami hogi.Ab teri dosti ka kya falsafa likhoon,
Main likhoon to aakhir kya likhoon,
Apne dil ka kya haal -ei -bayaan likhoon,
Ae khuda hamen kuch or waqt Dede,
Taaki apne zindgi ke haseen pal ab tere naam likh doon.Hey guys out there! This is my second book of poetry. My first book "straight from my diary " has got a good response. Thanks for all your support. Especial thanks to the one reading this right now.
I hope you all will like this book too.The above poem is dedicated to one of my friend akash.ak8433099 I have given this poem to him last year before his Father was transferred to the another city.
Please make my poem worthy by your votes and comments.
Ss_sejal296
YOU ARE READING
SOUVENIRS
Poezie"painted some memories in the form of poetry".....poems are in hindi