....
"oye kaha tha tu..kuch andaza bi hai tu kitni jaldi agya hai.." usny kha jany wali nazron sy sam ko dekha ab usky samny apna sar khuja raha tha.."aram sy yar aram sy.. tu thand rakh ...zara mauqa milny dy phir sab bataunga tujhy.." sam ny usy manany ki koshish ki..
"kya batana chahta hai.. matlab kya hai tera.. sab thik to hai na.." ahil kuch pareshani sy bola..
"ha yar finally sab thik ho gaya..par abi tak to kuch bi thik nahi tha. .." uski bat oar ahil nasamjhi k andaz my usy dekhny laga..
"sidhi trh bata majra kya hai.. yun ghuma phira kar baten mat kar" wo ayen usky samny akhada hua..
"hmmmm.... ok.. chalo udhar chal kar baithty hain..phir main tumhy puri dastan sunaunga...." wo usy lekr ek corner table par jakr baith gaya.. aur phir puri bat tafseel sy usy batayi.. wo jaisy jaise usy batata ha raha tha.. ahil k chery par ek rang araha tha aur ek ja raha tha...
"etni important bat aur tu mujhy ab bata raha hai..wow! man gaya tumhari dosyi ko..." wo tanziya hansa..aur sam to pehly hi isky liye tayar tha
"main tumhy kab aur kya batata yar... jab mujhy ahsas hua ki main usy chahny laga hun..to mainy iska izhar bi kar diya.. aur usny iqrar bi.. aur jab ham ghr wapis aye to tum aur bhabhi.. dono us halat my thy ki usky bad main sab bhul gaya.. aur jab batany qabil hua.. ti madam ny naya marhala. khara kar diya...." usny juice ka glass hothon sy lagaya..
"chalo akhir my sab kuch thik to ho gaya na yar.. tu bahut lucky hai.. har kusi ki qismat aisi nahi hoti..." ahil k hothon par ek phiki si hansi agyi..
"tu is trh ki baten kyu kar raha hai..yar.. tu bhi to kitna lucky hai jo tujhy bhabhi jaisg biwi mili.."
usny ahil k hath par dabaw dala.."kya us mard ko khud ko lucky kehna chahiye jisky mu par uski biwi apni muhabbat ki dastan sunati hai..kya wo insan khushkismat hota hai..jo ye janta ho ki uska humsafar uski jagah par kisi aur ko dekhta hai..ya phir us insan ko khud par rashq karna chahiye.. ki jski biwi k pichly panch salon sy ek ghair mard k sath taalluqat rahy hon.. wo bi ek aisy mard k sath jiski ankho my haiwaniyat nachti ho....mainy us shaitan ki ankho my dekha tha wo jin nazron sy usy dekhta......cheeeeeee...(usny apny balon ko mutthiyon my jakar liya..) main bahut koshish kar raha hun.. par phir bhi..chah kar bi uski trf nahi badh pa raha hun yar..kyunki usky sath hi mujhy wo shaks yad ajata hai jisy main sabsy zada nafrat karta hun..." uski dimagh ki ragen tani hui thi...aj usny apn anduruni qaifiyat usky samny jo bayan ki thi.. agr ab bhi na karta to shayad uska dil phat jata... usny table par rakhy fork ko etni tezi sy mutthi my daba rakha tha ki usy ehsas tak na hua ki wo hatheli my chubh chuka hai.. wo to jab sam ki nazar us par pari jaha sy ab khoon ris raha tha .
usny tezi sy uski hatheli kholi..jaha kafi gehra zakhm ho gaya..."yar ye kya kiya tuny dekh kitna khoon beh raha hai..bewakoof kahin ka...." wo baukhla gaya tha uski halat par..
"ary ye sab kaisy ho gaya... jaldi sy kou first aid box lekar aao.. ta khuda.. kitna gehra zakham laga hai mery bachchy ko.." zara uski hatheli ko apny dupatty sy dabaye baithi hui roye ja rahi thin..
ESTÁS LEYENDO
DASTOOR-E-MOHABBAT =(COMPLETED)
Romancethis story is full of drama,romance,suspense ,tragedy and comedy.. it means.. full of enjoymnt.. and after read this story you will never forget this ...