aj un tino ka waleema tha....pura ghar khushiyon my jhoom raha tha....rango noor ki mehfily saji hui thin..
stage par teen behad khoobsurat jorey birajman they...tino ek sy badh kar ek lag rahy thy..."aye haye main sadke jaun...mashaallah mashallah...kya lag rahi hai meri phool si guriya...kjudacnazr-e-bad sy bachaye meri bachchi ko..." dadi phuppo..badh badh kar uski balayen le rahi thin...wo aj lag bi to ghazab ki rahi thi...jo gray colour ka lehenga pehny jis par long full sleeve kurti jo ki puri silver kadhayi sy dhaki thi..sary balon ko curl karky ek side dal kar sar par dupatta liye...abhut khush dikhayi de rahi thi...aur sath khara sameer jo ki gray coat pant ..white shirt sath brown tie my balon ko style sy set kiye huwe kafi smart lag raha tha....
"ary ye kya...bas sari tarifen inky liye hi..aur main....main ky kuch nahi hun.." wo banawti narazgi sy bola..to sab hans diye...
"tu to hira hai hira....naseebon wali hai meri bachchi...jo tu iska humsafar bana hai...hum tumhary ahsanmand hain beta warna kaha tum aur kaha..h..." bolty bolty unki ankh bhig gai to fauran nazdeek chla aya...aur unky hathon ko apny hatho my lekar bola...
"khush kismat to main hun dadi phuppo jo mujy ek sath itny pyary pyary rishty mily hain...ahsan mand to main hu ap sabka..jinhony mujh par itna bharosa kiya ki mujy itni qeemti chiz saunp di...." usky is trh khny par wo bhigi ankho sy muskurakr usy dekhny lagin....
"beta iska bahut zada khyal ralhna ...meri bachchi abi nadan hai...nasamjh hai..kuch bi to nahi ata abi isy...par agr tum isy pyar sy samjhogy na to ye sab sikh jayegi ...main tumhy apny dil ka tukra saunp rahi hun beta..iski hifazat karna..." munazza begum..nam ankho k sath sam sy mukhatib thin jabki unki nazren aliya par thin..jo ki unki baton par tap tap ansu bahany lagi...
"ary aunty...kya apko apny bety par bharosa nahi hai...main wada karta hun apsy kabhi bhi apko shikayat ka mauqa nahi dunga...."wo narmi sy unky hath dabaty huwe bola...to pas khari aliya fakhr sy usy dekhny lagi..
==========================
" hmmmmm...to finally madam aj ap hui hamari....ab zara mujhsy bachkar dikhaiyega..." wo mahrukh hath pakrey photo khichwa raha tha aur sath hi sabki nazar bachakar...usy sata
ny my bi masroof tha...jabki wo jo aj copper colour ka pura bana hua lehenga jis par light pinj aur blue kadhayi thi sath light pink colour ka dupatta odhey balon ko khula chorey huwe ek kamsin haseena si lag rahi thi..ali usy dekh kar bekhud sa hua ja raha tha....aur ali ki jazbon bhari baten uski dharkany betarteeb kiye dy rahi thin...
ESTÁS LEYENDO
DASTOOR-E-MOHABBAT =(COMPLETED)
Romancethis story is full of drama,romance,suspense ,tragedy and comedy.. it means.. full of enjoymnt.. and after read this story you will never forget this ...