Ik Pannah

13 1 0
                                    

Shaam dhalnay ko thee aur mehmaan sab hamara he intizaar kar rahe thay. Ajab baat hai na, aaj ka jashn hamari taruf se tha aur hum he waqt peh na ponchtay, kuch aisa he aalum lug raha tha.

Baaloun ko sehlati hoi woh chat se gusal khane se bahir aai jaise achanuk he khayaal aaya ho k dair ho rahi hai. Hamesha ki tarhaan apni zulfoun ko lehrati hoi ghoomti vi woh aaine k saamnay ja baithi. Main? Main toh haath main jo kitaab thee uss say nazrain churate churate usse takta raha, per na jane kub hosh na raha aur nazrain uss he peh tehar gai.

Jhuki nazroun say apne haathoun main kangan ko sajati woh aik dum se boli. "Hmm 5 saal ho gai Khan sahub, kuch na badla toh aap ka mujhe youn daikhna jaise aap ki nai naveli dulhan hoon."

Harhbarha k mere haath se kitaab aur uss k laboun se hansi chothi. Maine kitaab sirhane peh rakhi aur uss ki taruf kadum barhaya. Uss k peeche ja k ruk gaiya aur haath bande aaine main uss ki chavi ko takta raha. Apne kaanoun main kaante daalti hoi woh aik dum se ruki aur aaine main meri chavi ko dekh muskura kar boli. "Phir tehr gai aap aur ap k chehre peh tehr gai yeh muskurahut?" Aaine main hamari nuzre mili aur hamesha ki tarhan muskurate muskurate woh halka sa sharmai.

Maine jhuk kar uss k haathoun se haar thaam liya. Uss ne apni zulfoun ko aik taruf jhatka aur maine uss k haar ko dheere se uss k tun peh sajne ki zehmut bakshi, aur uss k kandhoun peh haath rakhte hue, uss k gaal peh apne laboun ka ehsaas chorh diya. Woh phir se sharma k nazre churane lagi aur maine mouqa ka sahi istimaal jan kar uss ka haath tham usse kuch youn ghuma k uthaya k uss ko dono haath mere bazuoun peh aa tehre aur mere uss ki qamar k gird. "Kash waqt bhi tehr jata mohtarma, 5 saal toh beet gai per na toh ap ka yeh na cheez shohar aapke sehar k asar say bahar aa saka, aur na uss ki biwi nay nai naveli dulhan ki tarhaan sharmana bund kiya." Jhuke nazroun se woh phir muskai. Uss ki peshani ko choomte hue maine ussay apni baahoun main lay liya.

Woh aik dum se peeche hoi aur boli "aree hathiye, pehle he bauhat dair ho gai hai hamain". Uss kay laal gaaloun ko dekh meri hansi chooth gai. "Hum se poochain na toh ap itni khoobsurat hain k ap ko sujne ki zaroorat he nahi, aur na he hamain kaheen jane ki." Yeh kehte hue maine phir uss k kareeb aane ki koshish ki per woh jhat se hanste hue meri baahoun k neeche se ja bhagi kehte hue "main apni chapal dhoondhne ja rahi hoon, agar aap ko fursat milay bey-waqt k ishq k izhaar se toh khane k intizaamaat ka maloom kar lain. Agar ap ko yaad ho toh yeh dawat hamari shadi ki salgirah ki hai, yeh kaam hamara hai." Yeh keh kar woh kumre se nikli aur main peeche se "jo hukam aap ka begum sahiba" kehte reh gaya.

5 saal toh beet gai begum per ap aaj bhi waisi he hain, kaash aisi he rahe, aur hamara pyaar bhi.

Kora KaghazWhere stories live. Discover now