Iltaja

3 0 0
                                    

Yallah iss baar ya toh manzil say milwa dayna, ya khud say. Ab naheen hai sakut beech ki rah ki. Maan lo bus aakhri sada he. Ab naheen daikhna yeh manzar bahum haathoun say phisalti rait. Ab naheen lautna khamoosh chaubaroun peh. Faqt tub bhi aur ab bhi, yakeen toh bus tum peh he tha hamesha. Maan lo kay ab uth chuka pus ab sab say he bharosa. Ab manzil khud khuda ki khudai he hai, ya phir khud ko khojh loun, mun tehra hai iss dohrahay per. Ujala toh dono taruf he hai, darja behtar sab palutnay say ab. Ab ya toh kaam bun jayay ya araam bun jayay. Bus jis main teri raza ho, khud kay liyay wohi aam bun jayay.

Kora KaghazWhere stories live. Discover now