Adhoorapun

3 0 0
                                    

Zindagi he adhoori reh gayee toh un lamhon ka kya? Woh jo pooray ho bhi gayay, toh un adhooray palon ka kya hai? Khaalipun waqt ki koi maar toh naheen. Imtihaan hai jo toh batao, un adhooray aasron ka kya? Hum toh waqt kay qaidi hain. Waqt he janay kab rahut naseeb. Iss adhoori rahut ko koson, toh un adhooray khwaabon ka kya? Bhala qismat say bhi bair kaisa. Koi jeet paya hai kabhi uss say bhi koi jung? Jung bhi toh khud he ki khud he haari, phir iss ilzaam tarashi ka koi mol hai kya? Jeeti jung jo haar girayay, aisi hai zindagani ki shatranj. Toh socho phir kya kehna, kya bhirhna. Phir kya dukh, kya ghussa, kya runj? Phisal rahi hai rait haathon say. Toot rahay hain daagay yaadon say. Thaam saktay ho toh thaam lo, baandh lo rishtay phir in aason say. Phir karnay lugna tum youn umeed, kay ruk jayay gi tumhari koshishon say waqt kay iradon ki garhi. Per ikhtiyaar tumhara tub bhi mukhtasir he hai. Hoslay bulund hon bhi toh kya, anjaam toh faqt wohi jo kismat ko manzoor.

Kora Kaghazحيث تعيش القصص. اكتشف الآن