Semester Ka Pehla Din (1/2)

503 41 163
                                    

Behno yaha rahungi to mei hi, aadat daal lo...

Parso hi saat namune Kota pahuche the. Rehne ka intezam to kiya nahi tha. To kuch dino ke liye koi hotel me hi rehna, last option tha.

Maze ki baat to ye thi, Hindustan ke kone kone me se ye saat ladke, ek hi din, ek hi jagah pohoch gaye.

Flashback..

Rameshwari Hotel.

Nilay: Are bhaiya koi room to khali hoga?

Receptionist: Sorry sir, abhi aapke budget me koi bhi room khali nahi hai.

Yukt: Can I get a room please?

Receptionist: Kitne dino ke liye sir?

Yukt: Jitne dino ke liye mujhe koi hostle ya rehne ki jagah nahi milti...

Receptionist: Sir aap bhi IIT karne ke liye aaye ho?

Yeh sunkar Dukhiyare Nilay ekdum se Yukt ki taraf dekha.

Yukt: Ha.

Nilay: Meine aapko kahi dekha hai!

Yukt: Meine nahi dekha..

Nilay: Meine to dekha hai na!

Yukt:😑

Ye bolkar Nilay ne Yukt ko side me kheecha.

Yukt: Are ye kya kar rahe ho?

Nilay: Bhaiya Please help kar do meri! Mei bhi IIT karne aaya hu aur rehne ke liye koi jagah nai hai. Ek pura room book karne ke paise bhi nahi hai. Please kya hum dono Room share kar le? Paise divide ho jaenge!

Yukt: Theek hai theek hai... Par pehle mera pair choro.

Nilay Yukt ke charano par gira hua tha aur receptionist unhe taade ja raha tha.

Par Yukt ka reply sunkar Nilay hua khush. Usi taraf Yukt ko fark nahi padta tha ki wo kiske saath rahe. Paise to zyada the nahi, bas kuch kapde aur Papa ka credit card. 😎Swaeg.

Nilay uske charano se utha, tabhi do ladke reception par pahuch gae.

Jodh aur Trinanjan the Bachpan ke mitr, unko pasand nahi aa rahi thi receptionist ka itr.

Ek Bihari Ek Jharkandi do ki banti thi jodi, aisa kehkar mummiyo ne sath IIT karne diya bhej.

Yukt aur Nilay Reception desk par pahuche aur unhone bhi ek room liya.

221.

Unhone dekha ki Bagal wale do ladko ka room unhi ke bagal me tha.

222.

Peeche se thodi chillane ki yaad aayi to charo ladke aur wo bechara receptionist ne aawaz ki taraf dekhe.

Dekha teen ladke, zoro se haste hue reception ki taraf aa rahe hai.

Yaha entry hui Haryan, Jay aur Sanskar ki.

Teeno ne bhi room kiya book, room number 223,aur sare hogaye shook.

Saato me ekdusre se friendship to bohot hi jaldi kar li.

Unlogo ko ye bhi pata chala ki wo log ek hi collage me ja rahe hai.

Saato pagalo ki paltan ban chuki thi aur Receptionist baki guests ke complain call ke liye ready ho gaya.

Flashback ends.

Saato khade the infront of the collage.

DITM.

Dinabandhu Institute of IIT and Management.

Jay: DAITAM..

Sanskar: DAITAM nahi beta, DITM.

Jay: DAITAM.

Sanskar: DITM.

Jay: ᴅᴀɪᴛᴀᴍ

Sanskar: Hey Bhagwan😩

Yukt: Chor de bache ko.

Jay: Mei bacha dikhta hu?

Baki sabhi including jhadu marne wali aunty: Ha!

Jay: 😳

Haryan:Chalo chalte hai

Jodh: AaJ kUcH tOoFaNi KaRtE hAi!

Trinanjan: Ise choro, ise pagalpanti ka daura padta hai kabhi kabhi...

Jodh: Jaise tu need me "Mere Karan Arjun Aayenge, jaroor aayenge" nahi chillata.

Trinanjan: Wo jaroor aayenge! 😤

Nilay: Ye Karan Arjun kaha se tapak gaye?

Jodh: Pata nahi.

Nilay: Tum dono ka kuch nahi ho sakta.

Trinanjan: Yaar, ab to hasna band kardo!

Yukt: Ye nahi rukenge. Mei to chala.

Ye kehkar Yukt apne pehle lecture ke liye nikal liya. Aur peeche peeche baki bhi aa gae.

Pehla lecture:

JYP ka lecture.

Saato ek sath lecture me baithe aur dekha ki saat ladkiya enter maar rahi hai.

Sato ke liye wo 'Tune mari entrya ke dil me baji ghantita re tang tang tang tang' baat ho gayi.

Wo bechare unhi ko taadte rahe.

Lag raha tha ki Slow Motion me hawa chal rahi hai, par unke dil ki dhadkane bohot hi fast ho gai hai.

Haryan: Yaar, Dil ki train ne full speed  le liya hai...

Jay: Bhai Mera to khud bhi yahi haal hai.

Wo ladkiya khusi khusi Haste haste Last bench yani unke peeche wali row me jakar baith gayi.

Jay peeche muda par tab bhi ek Middle aged aadmi ne entry mari. Height to achi thi uski, dikhne me darawna tha. Par yaar, jo kapde pehene the usne. Dekh kar laga ki ulti ho jaegi.

JYP: Bachon! . Ye mera lecture hai! . Yaha aap mere liye nahi . Khud ke liye aaye ho .  Aap log yaha padhai me dhyan de . Ya na de . Isme mera kuch nahi jaegaa . Yeh aap apne bvisya . Ke liye kar rahe ho . Bharat ke bhavisya ke liye kar rahe hai . Aisa desh . Jo Culturally itna rich hai . Jaha aetihasik gyaan ka bhandaar ho . Uss desh ke liye . Jitne bhi kare . Unta bhi kam hai . Koi bhi senior agar . Fail hokar bolta hai . Ki Ho gaya to ho gaya . To unke paas . Kabhi bhi mat rahiye ga. Sathiyo . Mujhe asha hai ki aapko Meri ye bate samajh ayi hogi.

Sanskar: Modi ji ghus gaye kya inme?

Aarzu: Lagta to hai.....

Sanskar peeche muda to dekha ki jis ladki ko wo pehle taad raha tha wo ushi ke peche baithi hai.

PD-nim Bhi Kabhi Student Theजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें