Aunty Ghar milega? Ghar?Ghar?

379 34 68
                                    

Kisko expect kar rahe ho? Hongi yaha to mai hi *Hair flips* *hair flip was a disaster, my wig flew away cuz of eclipse.. *

Neda: Bechara

Sanskar: Bechara nahi hai wo...

Nilay: Jodh ko wapas hotel lekar chalo...

Aditi: Hotel? Hotel kyu?

Yukt: Hume abhi tak koi ghar rent par nahi mila hai...

Kavya: Srishti, kya mei jo soch rahi hu, tu bhi wahi soch rahi hai?

Srishti: Mei kuch to soch rahi hu par ye nahi pata nahi ki tu kya soch rahi hai...

Kavya: Tu kya soch rahi hai?

Srishti: Shayad jo tu soch rahi hai?

Kavya: Par tu soch kya rahi hai?

Srishti: Ki raat me Bhindi banau ya karela...

Kavya: Hey Bhagwaan!  Utha le mujhe.

Jasmine: Tum log koi rehne ki jagah khoj rahe ho na?

Trinanjan: Haa, Khoj to rahe hai.

Akshita: To chalo Nalla Gali!

Haryan : Kya Gali?

Yukt: Logo ne tum logo ko ek gali dedicate ki hai, khush raho...

Aarzu: Par abhi to Jodh ko uthao!

Nilay: Are haa!

Yukt ne uthaya wo pani ka botal, khola dhakkan aur pura pani bechare Jodh pe daal diya.

Jodh utha to aise jaise ki use lage chaar sau chalis volt chune se tere.

Jodh: Yukt Bhaiya!

Yukt: Chal ab...

Yukt ne Jodh ka haath pakad use uthne me help ki.

Phur kya tha?

Chale wo sab Nalla Gali.

Jodh: Hum ja kaha rahe hai?

Haryan: Ghar dhoondne...

Jodh: oh ...

Akshita: Tum log decide kar lo. Do ghar khali hai.

Aditi: Ek hai Shanti Niwas aur doosra hai Kolhi Residency.

Aarzu: Dono gharo me Paying Guests ki zaroorat hai.

Srishti: Waha jo seniors rehte the aaj unka last day hai waha par...

Nilay: Ohh....

Wo jab tak Nalla gali pohche, shaam ho chuki thi.

Park me unhone kuch zyada hi time bita diya tha😑.

Wo log jab Gali me ghuse...

Wo Gali nahi thi.

Main road ka hi ek part tha...

Jay: Ise Gali kyu kehte hai?

Jasmine: Hume kaise pata hoga? 😐

Jaya: Pata to hona chahiye ki jis jagah tum log rehti ho, uska naam kaise pada.

Neda: No Shit Sherlock.... 😑

Jasmine: West Bengal me ek jagah hai : Santragachi... To tum batai waha ka naam wo kyu pada? Doosra: Kanchrapara. Waha ka naam bhi waisa kyu pada?

Jay: Easy! Santragachi me bohot sare Santro arthat oranges ke Ghach arthat tree hai, islea Santra Gachi! Aur Kachrapara kyuki uss Para matlab Colony me bohot kachra hai...

PD-nim Bhi Kabhi Student Theजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें